Kya aap ( Orientel Bank Of Commerce ) OBC ATM Green PIN Generate karne ka detail jankari lena chahte hai ? Agar “Ha” to aap sahi jagah par aaye hai. Is post me ham aapko isi topic “OBC ATM Green PIN Generate and usko Validate kaise kare ? How to Generate OBC ATM Green PIN in hindi ?” ke baare me detail se batne ja rahe hai.
Dosto, Sabse pahle jaan lete hai ki OBC ATM Green PIN Generate And Validate karke ham kya-Kya kar sake hai and isse hame kya benefits hoga.
Inhe Bhi Jaane :-
- OBC Balance Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare ?
- Paytm Password Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Karne Ka New Process.
OBC ATM Green PIN Se ham Kya-Kya Kar Sakte Hai ?
Agar aap ( Orientel Bank Of Commerce ) OBC ke customer ho to yah aapke kai problem ko solve kar sakta hai. jaise –
- Agar aapne OBC ka New ATM Card liya hai to isse aap is New ATM Card ko Activate kar sakte hai.
- Jab aap kabhi OBC ATM Card ke PIN ko bhul jayenge tab isse us ATM PIN ko Forgot / Reset kar sakte hai.
Iska sabse bada benefit yah hai ki in dono kaamo ke liye aapko bank jaane ki bhi jarurat nahi padegi. Iske liye bas aapke paas OBC me registered mobile number and OBC ATM Card hona chahiye.
Ab ham OBC ATM Green PIN Generate And Validate karne ke benefits jaan chuke hai. To aap iske process ko janne ke liye bhi betab honge. To chaliye ab iske detail process ko ham jaan lete hai taki aap iska benefit utha sake.
OBC ATM Green PIN Generate Kaise Kare ?
Iske liye aap apne OBC ATM Card and usme registered mobile number ko lekar kisi bhi ( Orientel Bank Of Commerce ) OBC ATM me chale jaye. Iske baad neeche ke process ko follow kare.
- Sabse pahle apne OBC ATM Card ko waha ke ATM Machine me “Swipe” kar le.
- Ab aapke saamne kuch language aa jayenge. Aap aage ke options jis bhi bhasha me dekhna chahte hai usko select kar le.
- Iske baad ATM Screen me bahut saare options aa jayenge. In Options me se “PIN Management” ke option ko select kare. Yah option aapko left side me mil jayega.
- PIN Management ko select karte hi aapke samne 2 option aa jayega. Inme se aap “Green PIN” ko select kare.
- Iske baad fir se 2 option aayega. Ab inme se “OTP Generation” ko select kare.
- Ab thodi der screen me “Your transaction is being proceed. Please wait” likhkar aayega. Yaha aap thodi der wait kijiye, thodi der me aapka agla screen aa jayega. Jaise hi agla screen aayega aapse OTP yani One Time Password enter karne ko bola jayega.
Itna Process karne ke baad aapke Registered Mobile Number me OBC ki taraf se ek Message aayega. Is Message me aapke ATM Crad ke liye 6 digit OTP likha rahega. Yahi 6 digit OTP aapka Green PIN hai jise aapne abhi abhi Generate kiya hai.
Lekin yaha par aapka kaam complete nahi hota hai. Ab aapko is Green PIN ko Validate karna padega tabhi aapka kaam complete hoga.
Inhe Bhi Jaane :-
- OBC ATM / Debit Card PIN Change Kaise Kare ? Puri Jaankari
- Galat PIN Se Block Hue ATM Card KO Unblock / Restart Kaise Kare ?
OBC ATM Green PIN Validate ( Activate ) Kaise Kare ?
Dosto jab aap is PIN ko Generate karne ka process complete karnege tab aapke saath 2 baate ho sakti hai.
- OTP yani Green PIN Turant aa jayega.
- OTP yani Green PIN kuch der baad aayega.
In dono hi condition me is Green PIN ko Validate karne ka process alag-alag hai. Chaliye ab ek-ek karke in dono process ko jaan lete hai.
1. PIN Turant Aane Par OBC ATM Green PIN Validate Kaise Kare ?
Jab aap isko generate kar rahe honge tab “OTP Generation” par click karte hi agar yah PIN turant aa jaye to neeche ke steps ko follow kare.
- OTP Generation me click karne ke baad agle screen me aapse yah OTP yani Green PIN enter karne ko bola jayega. Agar aapka PIN turant aa jaye to yaha aapke mobile number me aaye 6 digit OTP ko enter kar de.
- OTP enter karne ke baad Press if ” YES “ par click kare.
- Iske baad aapse New PIN enter karne ko bola jayega. Yaha aap aage ke dino ke liye jo bhi PIN rakhna chahte hai us PIN ko enter kar de.
- Jaise hi aap New PIN enter karnege waise hi agla screen aa jayega. Is baar aapko New PIN Re-enter karne ko bola jayega. Yaha aapne abhi abhi jo PIN enter kiya tha wahi PIN same to same dubara se enter kar de.
- Jaise hi aap PIN Re-enter kar denge waise hi ATM screen me “Your PIN is set successfully.” likha hua aa jayega.
Ab aapka Process yaha complete ho jayega. Yah tha PIN validate karne ka pahla tarika.
2. PIN Der Se Aane Par OBC ATM Green PIN Validate Kaise Kare ?
Kai baar yah PIN aane me der ho jata hai aur ATM me time out ho jata hai. Is tarah se aap pahle process ko follow karke is PIN ko Validate nahi kar sakte hai. Iske liye alag process hai.
Agar aapka PIN der se aaye to use validate karne ke liye is process ko follow kare.
- Is condition me ATM process time out hokar hat jata hai. Isliye aap fir se usi ATM Card ko “Swipe” kar le.
- Ab aapke saamne kuch language aa jayenge, yaha aap apne pasand ka Language chun le.
- Iske baad ATM Screen me bahut saare option aa jayega. In Options me se “PIN Management” ke option ko select kare.
- PIN Management ko select karte hi aapke saamne 2 option aa jayega. Inme se aap “Green PIN” ko select kare.
- Iske baad fir se 2 option aayega. Abki baar inme se “OTP Validation” ko select karna hai.
- Jaise hi aap is option ko select karenge agle screen me aapse OTP enter karne ko bola jayega. Yaha aapke mobile number me aaye 6 digit OTP ko enter kar de.
- OTP enter karne ke baad Press if ” YES “ par click kare.
- Iske baad aapse New PIN enter karne ko bola jayega. Yaha aap aage ke dino ke liye jo bhi PIN rakhna chahte hai us PIN ko enter kar de.
- Jaise hi aap New PIN enter karnege waise hi agla screen aa jayega. Is baar aapko New PIN Re-enter karne ko bola jayega. Yaha aapne abhi abhi jo PIN enter kiya tha wahi PIN same to same dubara se enter kar de.
- Jaise hi aap PIN Re-enter kar denge waise hi ATM screen me “Your PIN is set successfully.” likha hua aa jayega.
Iske baad aapka Process complete ho jayega. In dono me se jis bhi condition me aapka Green PIN aaye ab aap use Validate karne sikh chuke hai.
Jaise hi aap itna process complete karnege aapka wo kaam ho jayega jiske liye aapne Green PIN Generate kiya tha.
OBC ATM Green PIN Generation And Activation Detail Video Tutorial In Hindi
Inhe Bhi Jaane :-
Mujhe ummid hai ki aapko yah Process achhi tarah se samajh me aa gaya hoga. Agar abhi bhi kuch confusion hai to Comment Box me likhkar hamse puch sakte hai.
Apne Friends, Family Member ki help karne ke liye Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media Friends (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me unke saath bhi is Post ko Share karke apna Value badha sakte hai. Dhanyawad
Kamlesh kumar Verma says
Obc mobile number registration
Suraj Kumar says
Is topic par humne alag se post likha hua, use padh le aapko solution mil jayega.
Rup says
Thank you…it helped…it timed out as you said the second method worked perfectly…the OTP is valid for 5 minutes