Hello Dosto aapka fir se swagat hai “Explain Me Banking” me jaha ham aapke banking ko aasaan banate hai. Is post me ham aapko “kvb mobile number register online kaise karwaye? or karur vysya bank online mobile number change karwane ka process” batayenge. Isse aap ghar baithe apna kvb mobile number update karwa lenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- Blocked ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Karur vysya bank apne customers ko moblie number update karwane ke liye 2 process available karwata hai.
- KVB online mobile number registration / change process through internet banking
- KVB mobile number register / change karwana through branch (offline process) [Link]
Yaha ham iska online process jaanne jaa rahe hai.
Karur Vysya Bank Online Mobile Number Change / Registration Ke Liye jaruri Information.
Is kaam ke liye aapke paas neeche ke information hona jaruri hai.
- KVB internet banking
- New mobile number
Agar aapke paas ye hai to chaliye iska process bhi jaan lete hai.
ATM Ka Pin Bhul Jane Par Ise Forgot / New Pin Set Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
KVB Mobile Number Register / Change Online Process
Iske liye neeche ka process follow kijiye.
- Aap apne kvb internet banking me username and password se login kar le.
- Upar bahut sare option mil jayenge inme se “Profile” ko click kare.
- Yaha aapko aapka apna saara derails dikh jayega. Isme neeche aapko mobile number bhi milega. Iske right side me “Change” ka option milega isko click kare.
- Agle page me aapko new mobile number enter karne ka option mil jayega. Yaha sabse pahle apna country select kar le. Iske baad apna new mobile number enter kar de. Dubara se isi new mobile number ko “Retype Mobile Number” wale box me type kar de.
- Is page me sabhi details ko fill karne ke baad “Submit” par click kare.
- Ab agle page me sabse pahle apna net banking “Transaction PIN” enter kare. Iske neeche aapko ek “OTP” milega usko enter kare. Dono information bharne ke baad “Submit” par cilck kare.
- Agle screen me mobile number successfully change ka message likha hua aa jayega.
Yaha aapka ya process complete ho jayega. Iske turant baad aapka kvb mobile number change online ho jayega.
Ab aapka kvb bank se related details, alerts, OTP hai ye sabhi aapke new mobile number me aane lagega.
- Gramin Bank ATM Pin Generation and Activation Complete Process
- SBI Internet Banking Password Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
To dosto ab aap is process ko jaan chuke hai isliye apna kvb mobile number register / change online ghar baithe karwa lijiye.
Isi tarah ke aur bhi banking jaankariya free me dekhne ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko subseribe jarur kare. Dhanyawad.
Leave a Reply