Hi Dosto, Mai kai bar apna ICICI Bank ATM Card 3 times wrong PIN enter karne ke wajah se block karwa chuka hu. Hota ya hai ki mera icici bank debit card PIN kya tha wo mai bhul jata hu aur yad kar-kar ke wrong PIN enter karke sahi PIN hone ka ummid karta rahta hu. Jab aisa 3 times ho jata hai to wah ATM Card block ho hata hai.
Mujhe lagta hai ki aapne bhi meri hi tarah yah galti kar diya hai jisse aapka icici debit card block ho gaya hai. Agar aapka jawab hai “HA” to yah post aaphi ke liye likha gaya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
Is post me ham wrong PIN se blocked icici debit card unblock / Restart karwane ke 2 sabse aasaan tarike batane ja rahe hai. Iske baad turant aap apna icici atm card unblock karwake use karna start kar sakte hai.
ICICI ATM Card Unblock Karwane Ke 2 Aasaan Tarike.
Iske liye aap 2 methad use kar sakte hai.
- Automatically ICICI debit card unblock karwana.
- ICICI ATM PIN Generation Se Unblock Karwana.
Ab ham dono ko detail me jan lete hai taki pata chal sake ki aapke liye kon sa method acha rahega.
1. Automatically ICICI Debit Card Unblock Karwana
Is bank ne wrong pin se blocked ATM card ke liye ek blocking periods rakha hai. Yah blocking period 24-48 hours hai. Iska matlab yah hai ki agar aap 24-48 hours tak us card ko rakh denge to wah automatically unblock ho jayega.
Yani ki is method se apna icici bank debit card unblock karwane ke liye aapko bas 24-48 ghane wait karna hai. Iske bad apne original PIN se us card ko use karna start kar sakte hai.
Ab agar aapko abhi bhi apna original icici ATM PIN yaad nahi hai to fir iske liye 2nd method ka istemal karke apna card unblock / restart karwana padega.
2. PIN Generation Ke Sahayta Se Blocked ICICI Debit Card Unblock Karwana
Iske liye aap apna card, registered mobile number, Date of birth lekar kisi bhi ICICI ATM Machine me chale jaye. Iske baad neeche ka process follow kare.
- Apne blocked card ko waha “SWIPE” kare.
- Language wale screen se “Generate ATM PIN” select kare.
- Agle screen se “Generate OTP” ko select kare.
- Ab apna Registered Mobile Number Enter Karke “Yes” button par Click kare.
- Apna Date Of Birth DDMMYYYY format me enter karke “Yes” button ko click kare.
- Ab screen me “Thank you your OTP has been sent on your Registered Mobile Number” likha hua aa jayega.
Iske turant baad apke number me bank ki taraf se ek 6 digit ka OTP aayega. Isi OTP ka use karke aap apna icici atm card unblock karwa sakte hai. Jab aapko yah OTP mil jaye to neeche ka process follow kijiye.
- Apna card fir se “SWIPE” kar le.
- Language screen se “Generate ATM PIN” ko click kare.
- Is baar screen me aaye hue options me se “Alrady Have OTP Generate ATM PIN” ko click kare.
- Ab mobile me aaye hue 6 digit OTP ko enter karke “Yes” ko select kar le.
- Agle screen me aapko ek new PIN banane ka option mil jayega. Ab aap ek 4 digit ka New PIN soch le jo yaad rah sake aur usko enter kar de.
- Ab fir se apna New PIN dubara enter kar de.
- Screen par likha aayega “Thank you your PIN has successfully changed.”
Ab aapka wah blocked ICICI debit card unblock / restart ho gaya hai. Abhi -abhi aapne jo new PIN banaya uska istemal karke us card ko use karna start kar sakte hai.
- ICICI Bank ATM Pin Forgot Reset Kaise Kare? Full Jankari
- Bank Account Transfer Application Letter Kaise Likhe? In Hindi & English
Ahaa aap icici debit card unblock karwane ke dono method jan chuke hai. Inme se aapko jo achchha lage uska istemal kar sakte hai.
Hame ummid hai ki ab aap aasaani se apna icici atm card unblock karwane me safal ho jayenge. Dhanyawad.
Leave a Reply