Dosto, Ab wo samay nahi raha jab log apna bank balance check karne ke liye branch me jakar apna pasbook update karwate the. Abhi ke time me sabhi bank’s ne bank balance enquiry ke kai tarike provide karwa diye hai. Is race me gramin Bank bhi piche nahi hai. Abhi gramin bank balance enquiry ke bhi kai tarike available hai.
Is post me ham aapko gramin bank balance check karne ke 4 sabse aasaan tarike batane jaa rahe hai. Ye sabhi tarike bahut hi simple and easy hai. Aap pahle sabhi tariko ko achchhe se padhe fir apna tarika chune.
Inhe Bhi Jaane:-
- Gramin Bank ATM PIN Generation And Activation Complete Process
- Chhattisgarh Rajya Gramin Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Gramin Bank Balance Enquiry Through Missed Call Toll Free Number
Dosto, is method ke liye aapke paas aapka bank account me registered mobile number rahna jaruri hai.
Harek bank ka apna ek gramin bank balance enquiry number hota hai. Aapko sabse pahle is toll free number ka pata lagana padega. Jaise – Baroda up gramin bank balance enquiry number – 9986454440 hai.
Jab aapko apna gramin bank balance check number mil jaye to usme apne registered number se sirf ek missed call karna hai. Iske turant baad aapko message aayega jisme aapka bank balance likha hua rahega.
Gramin Bank Balance Check Through SMS
Sabhi bade banko ke paas SMS banking service rahta hai. Isme aapko sirf ek message bhejna rahta hai. Iske turant baad aapko account balance bata diya jata hai.
Lekin hame bade afsos ke saath batana pad raha hai ki abhi tak gramin bank me is tarah ka SMS banking start nahi kiya gaya hai. Agar future me ye service aayega to ham jarur se bata denge.
Gramin Bank Balance Enquiry Through ATM
Is process ke liye aap apna gramin bank ATM card / debit card lekar kisi bhi ATM machine me chale jaye.
- Waha apna card “SWIPE” kare.
- Apne pasand ka Language select kare.
- Apna ATM PIN enter kare.
- Ab bahut saare option aa jayenge. Inme se “Balance Enquiry” select kare.
- ATM screen me aapka bank account balance dikha dega.
Is tarah se aap jitni baar chahe apna account balance check kar sakte hai.
Gramin Bank Balance Check Karne Ka Online Process
Ab aap ghar baithe apne laptop / computer ya mobile se bhi apna account balance check kar sakte hai.
Gramin Bank Balance Enquiry Online Process Through Internet Banking
Agar aapke paas apne bank ka internet banking hai to neeche ka process follow kijiye.
- Apne gramin bank ka internet banking website me jaye.
- Waha apna login user id and password enter karke apne net banking me login kar le.
- Aapko apne home page me hi account balance likha hua mil jayega.
- Agar home page me na mile to “Account Information” wale option me mil jayega.
Gramin Bank Balance Check Online process Through Mobile Banking
Abhi ke samay me net banking ke jagah par mobile banking jyada use hota hai. Iske liye neeche ka steps follow kare.
- Apna gramin bank mobile banking app open kare.
- Isme mobile banking user id and password ya fir mPIN enter karke login kar le.
- Aapko iske front page (home page) me hi account balance likha hua mil jayega.
Abhi aap gramin bank balance enquiry karne ke 4-5 tarike sikh chuke hai. Hame ummid hai ki ab aap aasaani se apna gramin bank balance check kar payenge.
Agar aapko is post se laabh hua hai to hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko subscribe kar sakte hai. Dhanyawad.
Chaitany says
Gramin bank of maharashtra links for mobile number
Team EMB says
Is post me bataye gaye process ko follow kare
Amresh Kumar says
ak9762273@gmail.com Angar ghat