Kya aapne apne bob net banking registration process ko complete kar liya hai aur ab aapke man me kuch is tarah ke sawal aa rahe hai- “Apna bank of baroda net banking first time login kaise kare? how to login bank of baroda internet banking first time?…. etc”
Is tarah ke sabhi sawala ke jawab is post me aapko aasaan sabdo me mil jayega. Aur agar abhi tak aapne apna bank of baroda internet banking registration nahi karwaya hai to neeche ke links ko follow kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Of Baroda Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
- BOB ATM Pin Change Kaise Kare? How To Change Bank Of Baroda ATM Pin?
Bank Of Baroda Net Banking First Time Login (Activation) Ke Liye Jaruri Information.
Is process me aapke neeche bataye chijo ki jarurat padegi.
- Aapka bob internet user id.
- Signon password & transaction password.
- Bank account me registered mobile number.
- Registration ka confirmtion message.
Agar ye sabhi chije aapke paas hai to aap taiyar hai. Bas aap neeche bataye steps ko achchi tarah follow kijiye aapka kaam ho jayega.
Bank Of Baroda Net Banking First Time Login (Activation) Process.
Iska process bahut aasaan hai- Is process ko follow karne se pahle ye insure kar le ki aapka bob net banking registration kiye 24 hours ho gaya hai aur aapko confirmation message bhi aa gaya hai.
STEP 1
Iske liye aap bank of baroda online banking official website, www.bankofbaroda.in me chale jaye. Yaha available options me se “Retail User” ke link ko click kar de.
STEP 2
Ab aapke saamne ek new page khulega. yaha-
- Aapko jo “User id” mila hai usko enter karke “Enter” par click kare.
- Isi ke saath iske neeche password enter karne wala box aa jayega. Yaha apna “Signon password” enter karke “Enter” ko select kare.
STEP 3
Ab aapke screen me “Term & Condition” aa jayenge. Inko aap padh sakte hai aur kai tarah ke jaankari le sakte hai. Iske baad page ke last me available “Agree” button par click kar de.
STEP 4
Is step me registration process me banaya hua signon password and transaction password banna padega. Abhi aap apne liye ek new strong signon password and ek new strong transaction password bana lijiye.
- Sabse pahle left side ke sabse upar wale box me apna “Existing Signon Password” enter par de.
- Iske neeche apna ek “New signon password” enter kar de.
- Fir se apna new signon password ko dubara se same-to-same “Confirm Signon Password” wale box me enter kare.
- Ab right side ke sabseupar wale box me “Existing Transaction Password” ko enter kar de.
- Iske neeche apna ek “New Transaction Password” enter kare.
- Isi same new transaction password ko “Confirm Transaction Password” wale box me enter kare.
Upar ke sabhi boxes ko fill karne ke baad “Ok” button par click kare.
STEP 5
Ab aapke saamne ek page me kuch likha hua aa jayega. Process ko aage badane ke liye “Enroll Now” par click kare.
STEP 6
Aage ke 2 steps security ke liye hote hai. Yaha aapko kuch puche jayenge, jinke jawab aapko dene hai. Ye tab kaam aate hai jab aap bob online banking ke kuch details bhul jayenge aur unko forgot karna chahenge.
- Iske sabse upar wale box me apne man se ek message likh dena hai jo aapko yaad rah sake.
- Iske neeche me aapko bahut saare questions likhe hue milenge. Yaha diye hue questions me se kisi bhi 5 ya usse jyada question ko select kar lena hai. Ab inke answer ko iske right side wake box me likh de.
- Ab fir se aapko apna signon password change karna hai. Iske “Existing Signon Password” wale box me apna abhi ka signon password enter kar de.
- Iske baad ek naya signon password banakar usko “New Signon Password” wale box me enter kare.
- Fir se naye signon password ko “Confirm Signon Password” wale box me enter kare.
- Pichle step me aapne jo transaction password banaya tha usko last wale box me enter kar de.
Jab upar ke sabhi chije fill up ho jaye to “Submit” button ko click kare.
STEP 7
Isi ke saath screen me ek pop up message aayega. Iske “OK” button ko click kare.
Hurrrrrreeeeee aapka bank of baroda net banking first time login complete ho gaya hai. Isi ke saath aapka bob net banking activation bhi complete ho gaya hai.
Abhi aap apne net banking me login karke iska maza lena start kar sakte hai. Kya aap isme login karne ka process bhi sikhna chahenge.
Bank Of Baroda Internet Banking Login Process After Activation.
Iske liye aap fir se bob net banking ke official website www.bankofbaroda.in me chale aaye. Yaha ke “Retail User” ke option ko click kare. Next page khul jayega-
- Yaha apna “User Id” jill karke “Enter” par click kare.
- Isi ke saath page ke right side me ek box aa jayega. Yaha apne bank account me registered mobile number enter karke “Submit” par click kare.
- Ab aapke isi number me ek otp aa jayega. Is otp ko aaye hue box me enter karke “Submit” par click kar de.
- Abhi turant aapko bank ki taraf se message. Is message me ek otp likha rahega usko uske box me enter karke “Submit” button par click kar de. Is box me apna signon password enter karke “Login” par click kare.
Ye hue na baaaaaat. Turant aapka internet banking khul jayega. Ab aap yaha se apne banking ke saare kaam online kar sakte hai.
Aapne bade pasence ke saath saraa bank of baroda net banking first time login (activation) ka process biye. Ab aap iska maza lene ke liye puri tarah taiyar hai.
- Bank Of Baroda Net Banking Online Registration & Activate Kaise Kare?
- Bank Of Baroda Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
Is tarah ke information video format me free me dekhne ke liye hamare YouTube channel “Explain Me Banking” ko subscribe kar sakte hai.
Hamare saath jude rahne ke liye aur apne banking ko aasaan banane ke liye Dhanyawad.
Munn iDevi says
Bandhan bank mai dusra no kaise kare
Team EMB says
Iske liye humne alag se ek post likha hua hai usko padh le.