Union Bank Of India Kai aise services provide karte hai jiske bare me logon ko pata hi nahi hai. In services ka istemal karke ham banking se jude kai kaam ghar baithe kar sakte hai. Inhi me se ek service UBI SMS Banking hai. Aaj is post me ham union bank of india mobile number register, change kaise karte hai uske baare me batane jaa rahe hai.
Jaise hi aap UBI sms banking me number register karwa lenge to inke services ka istemal karna start kar sakte hai, Jinke baare me hamne last me bataya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- ATM Card Expired Ho Gaya Ya Expire Hone Wala Hai New ATM Card Kaise Milega?
- UBI Account Transfer Application Letter Kaise Likhe? English & Hindi
To der kis baat ki hai chaliye jaldi se ham UBI mobile number update karwana sikh lete hai.
Union Bank of India Mobile Number Register Kaise Kare? For SMS Banking.
Dosto, iske liye aap apna passbook, new mobile number ko iekar branch me chale jaye. Branch me jakar UBI SMS banking mobile number registration form le-le. Jab aapko yah form mil jaye to achhe se isko fillup kare.
UBI SMS Banking Mobile Number Registration Form Fillup.
Is form ko neeche ke photo me dekh sakte hai.
- Sabse upar apna name likh de.
- Apna bank me registered Adderss achhe se likhe.
- Branch ka name likhe de.
- Apna ubi account number likhe.
- Aap apna jo mobile number register karwana chahte hai usko without country code likhe de.
- Ab apna country code likhe jaise india ke liye +91………. etc.
- Ab aapko is mobile number me kis tarah ka alerts chahiye uske bare me “ALERTS DESIRED” wale section me mention kar de.
- Is form ke neeche me aakar signature, place and date fill kar de.
Yaha aapka union bank of india mobile number registeration form for sms banking pura fillup ho gaya hai. Is form ko apne branch me jama kar de. Aapke is form ko jama karne ke 1-2 days me sms banking us number me activate kar diye jayega.
Union Bank Of India Mobile Number Change Kaise Kare ?For SMS Banking
Agar aapka koi number pahle se is service ke liye registered hai aur ab dusra number register karwana, chahte hai to upar ka pura process follow karke – yani isi form ko fillup karke branch me submit karke number change bhi karwa sakta hai.
Jab is tarah se aap apna ubi sms banking me mobile number update karwa lenge to iske services ka istemal karke ghar baithe maza le payenge.
Union Bank of India SMS Banking Services.
Iske tahat jo-jo services aate hai unka list ham neeche de rahe hai.
- Balance enquiry ,
- Mini statement
- Cheque status
- Know the nearest branch
- Know the nearest ATM
- Aadhar number seeding
- Block UBI ATM card/Debit carb.
Upar bataye hue services ka maza aap ghar baithe le sakte hai. Kya aapko inko istemal karne ka complete information chahiye ????? comment Box me likhkar bataiye.
- Union Bank Of India Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
- Wrong Pin Se Blocked UBI ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare?
We hope ki aapko union bank of india mobile number register, change karwane ka process pata chal gaya hai. To ab is jaankari ka laabh uthaiye aur iska maza lijiye. Dhanyawad.
M.Ansari Basha says
My old number new number change
Guman Singh says
Mera number register karana hai sms nahi aata
Vijaykumar says
Mobile number link Karna hai sar