Hello Dosto, Kya aapke paas andhra bank ka account hai? Aur aap sirf 1 missed call ya SMS se apne bank account ke details lena chahte hai. Iske liye andhra bank me mobile number register hona jaruri hai. Is post me ham aapko andhra bank me mobile no register kaise karte hai uska pura information denge.
Is tarah se number ilnk karke aap kahi se aur kabhi bhi apna account ka datails jaan sakte hai. Iske liye bas aap agle 2 minute is post ko pura padh lijiye.
Inhe Bhi Jaane:-
- Andhra Bank ATM Apply / Debit Card Apply Kaise Kare? Puri Jankari
- Bank of India Me Mobile Number Register Kaise Kare? Puri Jankari
Andhra Bank Me Mobile Number Registration / Change Karne Ke Tarike
Aap apne bank account me mobile number 2 tarah se register / change karwa sakte hai.
- Andhra bank mobile number registration process through branch.
- Andhra bank mobile number link Karwana through ATM machine.
Iska first process ke liye branch jane ka jarurat padegi. Isliye ham is post me second process batane jaa rahe hai.
ATM Machine Se Andhra Bank Me Mobile Number Change Karwane Ke Liye Jaruri Information
Is process ke liye aapke paas kuch information ka hona jaruri hai. Jaise-
- Aapka andhra bank ATM / debit Card.
- Mobile number jisko registered karwana hai.
Is process ke liye aap in dono ko lekar kisi bhi andhra bank ATM me chale jaye.
Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
Jab aap ATM me chale jaye to neeche ka process follow kare.
- Apne card ko machine me “Insert Kare”
- 2 option aayenge inme se “SERVICES” ko click kare.
- Ab apne pasnd ka ek language select kare.
- Yaha apna ATM PIN enter karke process ko aage badhaye.
- Ab bahut sare option aa jayenge. Inme se “SMS REGISTRATION” ko select kare.
- Agle screen me term and condition aa jayenge yaha “AGREE” ko select kare.
- Ab aapko mobile number enter karne ko bola jayega. Yaha aap jis bhi number ko register karwana chahte hai Usko enter karke “CORRECT” ko select kare.
- Abhi fir se mobile number confirmation ke liye usi number ko re-enter karne ko bola jayega. Yaha aap dubara se apna number enter karke “CORRECT” ko select kare.
- Isi ke saath bank account type pucha jayega. Yaha aapka jis tarah ka account hai usko select kare.
- “YOUR TRANSACTION IS COMPLETE” likha hua aa jayega.
Bas yaha par aapka andhra bank me mobile no register karwane ka process complete ho jayega. Is process ko karne ke 24-48 working hours me yah kam ho jayega.
- SBI Registered Mobile Number Kho, Band Ho Jaane Par New Number Register Kaise Kare?
- Punjab National Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Union Bank Of India Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
Kya aap iska ek aur branch wala process janna chahte hai? hame comment box me likhkar bataiye.
Ab hame ummid hai ki aasaani se aap apne andhra bank account me mobile number register / change karwa lenge.
Aap hamare saath kisi bhi social media me “Explain Me Banking” search karke jud sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply