Hello Dosto, Kya aapke paas indian bank me bank account hai? Aur aapko lagta hai ki indian bank mobile number register / change karwana ek muskil kaam hai? Isme bahut time aur paresani lagti hai?
Hamara jawab hai “Nahi” Agar aapka jawab “HA” hai to iska sabse aasaan process jaanne ke liye agle 2 minutes lagakar is post ko pura padh lijiye. Is post me ham indian bank mobile number change or registration karwane ka sabse aasaan tarika batane jaa rahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Indian Bank ATM Card Green Pin Generate & Activate Kaise Kare? Puri Jankari
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
Indian Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Iske liye aap apna indian bank passbook aur apna ek id proof lekar apne branch me chale jaye. Waha jakar neeche ka process follow kare-
- Apne branch me jakar waha se ek mobile number registration / change form mang lijiye.
- Ab sabse bada kaam isko achchhe se fillup karna rahta hai. Aap is form ko achchhe se bhare. Isme apna bank details and new mobile number dhyan se fillup kare.
- Jab aapka yah mobile number change form completely fillup ho jayega to isko apne branch me submit kar dijiye.
- Kabhi-kabhi is form ke saath id proof manga jata hai. Jab aapko bhi bola jaye to apna id proof ka photo copy iske saath attach karke dono ko branch me jama kare.
- Jab aap yah jama karenge uske 2-3 working days me aapke indian bank account me mobile number update kar diya jayega.
To aapne dekha yah kitna aasaan hai.
Indian Bank Mobile Number Change / Register Karwana Through Application Letter
Maan lijiye aap iske liye apne branch me gaye hai aur pata chale ki form us branch me nahi hai. Tab aap kya karenge?
Aap turant ek simple sa bank account me mobile number change application likhkar yah kaam karwa sakte hai.
Indian Bank Mobile Number Change Application Letter
To,
The Branch Manager
Indian Bank, Branch Name
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(name)____ . I have bank account number 2413****3142 (your indian bank A/c number), in branch ____(current branch)____ . My old registered mobile number is 97******35 which is i am not using presently. My new mobile number is 67******97. I want to register my new mobile number with my bank account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Is aasaan process se aap is mobile number registration letter ko likh le. Ab iske saath apna koi bhi ek id proof lagakar branch me submit kar dijiye.
Aap dekhenge ki iske turant 2-3 working dino me number registered kar diya jayega.
- Indian Bank Balance Enquiry Number, Missed Call Se Balance Check Kaise Kare?
- Indian Bank ATM Pin Forgot / Reset Kaise Kare? Detailed Process
Yaaaa Huuuu ab aapne kaphi information le liya hai. I hope aap iske baad aasaani se indian bank me mobile number register / Change karwa lenge.
Agar aapko lagta hai ki yah information achhi hai to isko “SHARE” jarur kare. Dhanyawad.
Vinesh Kumar says
Muje benk Ka link Chahiye
Km print yadav says
Link ny Mobile numder with bank account
EMB Team says
Is Post me bataye gaye process ko follow kare aur aapko mobile number change kar diya jayega.
Bangali mahto says
Indian Bank me mobalie number change karna hai
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko acche se follow kare.
Sanjeev kumar says
Mobile number change krna h
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko follow kare.