Namaskar dosto, Aapka fir se swagat hai Explain Me Banking me jaha hamlog banking ko aasaan banate hai. Agar aapke paas syndicate bank ATM PIN generation ka process available karwa diya hai. Yah post aap dhyaan se padhe aapka kai tarah ka problem chutki bajaate hi solve ho jayega.
Syndicate Bank ATM PIN Generation Ke Benefits
Sabse pable aaiye jaante hai ki isse aapko kya kya benefits hai. syndicate bank debit card pin generation se aap neeche ke 3 kaam khud se bina branch jaye kar payenge.
- Aap khud se apna New syndicate bank ATM card activate kar sakte hai.
- ATM PIN bhul jane par khud se apna syndicate bank ATM PIN forgot / reset kar sakte hai.
- 3 times wrong pin se blocked syndicate bank debit card unblock / restart bhi karwa sakte hai.
Agar upar bataye hue 3 me se koi bhi kaam aapko karwana hai to neeche ka process follow kijiye. Aapka kaam aasaani se ho jayega.
Syndicate Bank ATM PIN Generation & Activation Process
Iske liye apna ATM card aur bank account me registered mobile number ko lekar kisi bhi syndicate bank ATM machine me chale jaye.
- Apne card ko “SWIPE” kare.
- Aaye hue Language me se apne pasand ka Language select kar le.
- Ab 3 options aayenge inme se “Green PIN” ko select kare.
- Iske baad apna registered 10 digit mobile number enter kare. Enter karne ke baad “Submit” button ko select kare.
Jaise hi aap itna process kar lenge to usi mobile number par bank ki taraf se ek SMS rahega. Yahi OTP aapka syndicate bank ATM green pin hai.
- Jab aapko OTP mil jaye to usko ATM machine me enter karke “Submit” ko press kare.
- Iske baad New PIN Enter karne ko bola jayega. Aap apne card ke liye ek 4 digit PIN sochkar machine me enter kar de.
- Dubara se usi New PIN ko Re-enter kar de.
- Isi ke saath “Your Transaction Is Complete” likha hua aa jayega.
Jaise hi yah message ATM screen me aa jaye aapka kaam complete ho jayega. Yani ki syndicate bank debit card pin generation aur activation ka pura process complete ho jayega.
- Bank Account Address Proof Documents Complete List
- ATM Card Unblock Application In Hindi & English Format
Is chate se process ko follow karke aap upar bataye 3 kaam aasaani se kar payenge.
We hope ki aapko syndicate bank ATM pin generation ka pura process samajh me aa gaya hai aur apna kaam aap aasaani se karwa payenge. Isiye is post ko kam-se-kam ek jagah par SHARE jarur kare. Dhanyawad.
Leave a Reply