ATM card ka PIN ya Debit card PIN 4 digit ka ek number hota hai. Iska istemal karke ham apne card se kai tarah ke transactions (Jaise – ATM transaction, online transaction pos transaction etc) kar pate hai. Agar hamara ATM PIN kisi ko pata chal jaye to wah PIN ka galat use karke hamare savings (Paise) ko chura sakta hai. Isi karan se harek bank apne card holders ko apna PIN kam se kam 6 months me 1 baar jarur change karne ko bolti hai.
ATM card PIN change nahi karne se hone wale nuksaan ki adhik jankari ke liye yaha click kare
Agar aap bhi uco bank ke card ko use karte hai aur apne paise ko secure rakhna chahte hai to aapko bhi apna uco bank ATM PIN / debit card PIN change karte rahna chahiye. Is post me ham isi ka complete process batane ja rahe hai.
UCO Bank Debit Card PIN / ATM PIN Change Karne Ke Tarike
Is bank ne apne card holders ko PIN change karne ke 2 tarah ka suvidha deta hai.
- ATM Machine se UCO Bank ATM PIN change karna.
- Online apna UCO bank debit card PIN change karna.
Online wale process ke liye aapke paas uco bank net banking or mobile banking ka hona jaruri hai. Ham jante hai ki maximum logo ke paas net banking ya mobile banking nahi rahta hai, isliye abhi ham iska pahla wala process batane ja rahe hai. Yah sabhi ke liye useful sabit hoga.
UCO Bank ATM PIN / Debit card PIN Change Karne Ka Process.
Yah process bhi bahut aasaan hai. Aap ise 2 minutes se bhi kam time me kar sakte hai.
- Apne card ko ATM machine me “SWIPE” kare.
- Language wala screen aane par apna pasand ka koi ek “Language Select” kar le.
- Agle screen me kai tarah ke options aa jayenge inme se “PIN Change” ko select kare.
- Iske baad aapko ATM PIN enter karne ko bola jayega. Yaha abhi tak aapka jo bhi ATM PIN tha usko enter kar de.
- Abki baar aapko New PIN enter karne ko bola jayega. Yaha aap jo bhi New PIN rakha chahte hai usko enter kar de, Aur “PRESS HERE” ko select kare.
- Dubara se apna New PIN ko Re – enter kar de. Iske baad isi screen ke “PRESS HERE” ko select kare.
- Isi ke saath “Your Transaction Is complete” likha hua aa jayega.
Jab ATM screen par ye likha hua aa jaye to aap samajh lena ki aapka UCO bank ATM card PIN change ho gaya hai. Iske baad aapka New PIN hi kaam me aayega.
- UCO Bank New ATM Card Activate Kaise Kare?
- UCO Bank Balance Check Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
To aapne dekha uco bank debit card PIN change karna kitna aasaan hai. Agar aapke paas uco bank mobile banking ya net banking hai to hame comment box me likhkar bataiye. Ham iska Online ATM PIN change karne ka process bhi batayenge.
I hope aapko information mil gaya hai. Isliye is post ko SHARE karke dusre jaruratmand logon ki Help kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply