Agar aap search karte hue yaha tak aaye hai iska matlab yah hai ki aap Union Bank Of India (UBI) ke customer hai . Saath hi aap Union Bank Of India me Mobile Number register ya change karwana chahte hai.
Agar yah sahi hai to aap sahi jagah par aaye hai . Is Post me aapko Union Bank Of India me mobile number registration / change karwane ki puri jaankari mil jayegi.
Union Bank Of India Me Mobile Number Register / Change Karwane Ke Tarike
Dosto aap UBI me mobile number kai tariko se registration ya change karwa sakte hai. Jaise –
- Union Bank Of India mobile number registration / change through online process
- Offline UBI Branch se mobile number update karwke
Chuki iske pahle wale process me aapko UBI net banking ya UBI mobile banking ki jarurat padti hai aur ham jaante hai ki ye services harek ke paas nahi hota hai. Isliye iska upyog sabhi log nahi kar sakte hai.
Jabki iske 2nd process yani UBI ke branch me jakar apne mobile number update karwana sabse aasaan hai . Is process me aapko 5 minute se bhi kam time lagega. Isliye yaha ham isi process ke bare me batayenge.
- ATM PIN Bhul Jane Par, PIN Forgot / Reset Karne Ke 2 Aasaan Tarike.
- ATM Card Expire Hone Par New Card Kaise Milega ?
Union Bank Of India Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare ?
Is process se mobile number change ya registration karwana sabse aasaan hot hai. Isme aapko bas UBI ke Branch me jana hoga. Waha jakar aap number registration / change karwana hai bolenge to aapko ek Union Bnak Of India me mobile number registration form de denge.
Aapko is form ko bas fill up karke jama karna padega. To chaliye ham dekh lete hai ki yah Union Bank Of India me mobile number change form kon sa hai aur isko fill up karne ka process kya hai.
Union Bank Of India Me Mobile Number registration / Change Form Fill Up
Chuki is form me jyada details bharna nahi padta hai, isliye isko fill up karna bahut hi aasaan hai .
- Is form ke sabse upar me aap apna name likh de jis tarah ka name UBI account me hai.
- Iske neeche aap apna UBI account number likh de jisme mobile number register / change karwana chahte hai.
- Ab aapko apna address likhna hai jo aapne apne bank account me diya hua hai.
- Iske baad aap apna mobile number likh sakte hai ya fir isko khali bhi chod dakte hai.
- Iske baad aapko PAN Number enter karne ka boxes mil jayega . Yaha par agar aap chahe to apna PAN Number likh sakte hai.
- Iske neeche aapko bahut saare options mil jayenge. Insme aap “Mobile par SMS suvidha” wale option ko tick kar de. Is option ko tick karne ke baad isi me aapko apna new mobile number aur purana number dono likhne ka jagah mil jayega. To apne hisaab se aapka jo bhi Old mobile number and New mobile number hai usko likh de.
- Ab is form ke sabse neeche aa jana hai aur iske left side me wah date likh de jab isko aap jama karenge.
- Is form ke sabse neeche right side me aapko signature karne ka jagah milega. Yaha apne UBI account me aapka jaisa bhi signature hai waisa hi signature kar de.
Bas ho gaya aapka Union Bank Of India Me mobile number registration / chnage form fill up complete. Ab is form ko aap UBI Branch me jama kar de.
NOTE :- Kabhi Kabhi is form ke saath aapko ID Proof bhi manga jata hai . Aap jab iske liye jaye to apna Aadhaar card ya koi bhi Identity Proof lekar jaye.
Is form ko jama karne ke baad waha ke employee aapke New Mobile Number ko aapke UBI account me register kar denge. Jab aapka mobile number registration ho jayega to new number me 1 confirmation message bhi aayega.
Yahi Confirmation message aapke number registration ka proof hoga.
Union Bank Of India Me Mobile Number Registration Change Complete Process Video Tutorial In Hindi
- UBI New ATM Card Ko Ghar Baithe Activate Kaise Kare ?
- SBI Net Banking Online Activate Kaise Kare ? Puri Jaankari
UBI Union Bank Of India Me Mobile Number Registration Ke Liye Application Likhna
Kabhi kabhi jab ham iske liye UBI branch me jate hai to bola jata hai ki abhi mobile number change / registration form available nahi hai. Saath hi bolte hai ki iske liye aap ek application likhkar jama kar de.
Aap is condition me ek plane paper me chota sa application likhkar jama kar sakte hai. Chaliye ab mai bata deta hu ki aap application kaise likhenge. Mai iske liye neeche ek simple sa application likh raha hu isme aap apne detail fill kar de.
सेवा में ,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
यूनियन बैंक ऑफ़ इंडिया ( ब्रांच का नाम )
विषय :- मोबाइल नंबर रजिस्टर करवाने हेतु / मोबाइल नंबर बदलने हेतु
महाशय ,
मेरा नाम ( आपका नाम ) है | मेरा यूनियन बैंक ऑफ़ इंडिया अकाउंट नंबर ****-****-**** ( आपका यू. बी. आई. अकाउंट नंबर लिख दें ) , मेरा ब्रांच ………………( आपका ब्रांच का नाम लिख दें ) है | मेरा पुराना मोबाइल नंबर इस अकाउंट में रजिस्टर्ड था वो +91********** (अपना पुराना नंबर लिख दें ) और मेरा नया मोबाइल नंबर 91********** ( आपका नया मोबाइल नंबर लिख दें ) है | मै अपने इस नए मोबाइल नंबर को अपने इस बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करना चाहता हूँ | मेरा मोबाइल नंबर बदलने / रजिस्ट्रेशन का कारण…………………………. ( अपना कारण लिख दे ) है | मै अपना आई.डी. प्रूफ इस आवेदन के साथ जमा कर रहा हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है कि मेरे इस नए मोबाइल नंबर को मेरे यूनियन बैंक ऑफ़ इंडिया अकाउंट के साथ रजिस्टर करने की कृपया करें |
आपका विशवासी
Signature
Name :-
UBI Account Number :-
New Mobile Number :-
Yaha par meine ek sample application likhakar aapko bataya hai . Aap chahe to isme apne hisaab se badlaw kar sakte hai aur isko aur bhi achchhe se likh sakte hai.
Jab aap is tarah se is Union Bank Of India me Mobile number registration application likh lenge to isko UBI Branch me jama kar de. Dhyaan rakhe ki iske saath kabhi kabhi identity proof manga jata hai.
Is application ko jama karne ke baad waha ke employees application me likhe New Mobile Number ko aapke UBI account me register kar denge. Jab aapka mobile number registration ho jayega to new number me 1 confirmation message bhi aayega.
Jab apako yah confirmation message mil jaye to samajh lena ki aapka number registration complete ho gaya hai.
To aapne dekha ki Union Bank Of India me mobile number change / registration karwana kitna aasaan hai. Agar aapke man me abhi bhi kisi tarah ka sawal hai to Comment Box me likhe, hame aapki madad karke khudhi hogi.
Inhe Bhi Jaane :-
- SBI New ATM Card Ka PIN Generate & Activate Kaise Kare ?
- Wrong PIN Se Block Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare ?
Is jaankari ka laabh aur bhi log utha sakte hai isliye apne Friends, Family Member ko is Post ko SHARE kare. Apne Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me ise SHARE karke ek saath bahut saare logo ki help aap kar sakte hai. Dhanyawad
Ashish kumar says
Mera union bank me khata khula mujhe apna tmobile bomber change marwana h please sir upate kar do
EMB Team says
Is post ko acche se padhe, hamne detail me ise bataya hua hai.
Aditya Gupta says
Mai jab apne branch par jakr bolta hu ki mera registered mobile number change krna hai to wo log mujhe SMS form dete hai. Kya SMS form se bhi mobile number change ho jayega?
EMB Team says
Yes, ho jayegi
Rathva sunilbhai says
Mera purana nambar band
Hogaya he Naya nambar
Ragistar karna he
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko follow kare.
NAVEEN BUNKAR says
agar old mobile no. pata nahi ho to
EMB Team says
Agar aapko apna old mobile number pata nahi hai phir bhi aap is process ko follow karke apna mobile number change karwa sakte hai.
SUNILKUMAR says
MERA. A/C.3071020xxxxxxx HE.ESME MERA MOBAIL NAMBAR LINK KARNE KI KRIPA KARE 9742xxxxx HE IFSC UBIN0530719 HE CHADNICHWK NEW DELHI
EMB Team says
Sunil bhai, Humlog aapka mobile number change nahi kar sakte. Is post me maine jo process batya hai usko acche se padhe aur isko follow kare aapka mobile number change kar diya jayega.
Shad says
Suraj Sir m apne branch me nhi hu toh mere jagah pe mere dad num change krwa sakte h
Team EMB says
Ek baar aap apne branch me jakar pata karwa sakte hai.
Riyaz ahmed says
Sir Mera Jo old number hena bank ki registered karvayahena vo. Number abb dead hochukahe isliye Mera new number update karvanahe …isliye mai ne 4 days se aapki ubi costumer care valonko call kiyatho BHI response Nahi dere he .abb lock down chalrahaghena isliye muje sakthe zyada zaroori he sir plzzz help me sir Mera atm bhi work Nahi horaha he plzz sir.
EMB Team says
Riyaz ahmed ji aapko apna mobile number apne branch jakar offline hi change karwana hoga kyonki iske alawa aur koi bhi process available nahi hai union bank of india me mobile number change karwane ka. Aap is post ko acche se padhe aapko saari information mil jayegi.
Vishal says
हमारा मोबाइल नंबर हमारे बैंक के अकाउंट में रजिस्ट्रेशन नहीं हुआ
EMB Team says
Apne branch me jakar pata kare.
Kundan says
मुझे अपना मोबाइल नंबर बैंक में ऐड करना है
EMB Team says
Is post me to humne details me bataya hai, is post ko acche se padhe.
Sohan bawri says
Mera mobile number change Karna hay
Aleya begam says
Mera mobile number change korna he
Suraj Kumar says
Is post me batye tarike ko follow kare.
Prasantakumarjena says
Bhi mera mobile number change karnahe
Suraj Kumar says
Iske liye aap apne branch me jaiye aur is post me bataye process ko follow kijiye.
SAROj yadav says
me.online.mobile.no.union.bank.of.india.me. register karna hai
Suraj Kumar says
Iske liye agar koi online process hoga to hum iske upar post likhne ki kosis karenge
Saroj Yadav says
Mera Union Bank Mein Khata Hai mera mobile Kho Gaya number change karna hai
Suraj Kumar says
is post me bataye tarike se apna mobile number change kar lijiye.