Agar aapka bank account Punjab National Bank me hai to PNB balance enquiry karne ki jarurat aapko hamesha padti hi rahti hogi.Is tarah se aap apne bank account me kitne paise hai yah jaan sakte hai.
Isi kaaran kya aap hamesha apna pnb balance check karne ke sabse aasaan tarike ki talash me rahte hai ? Agar “HA” to yah post aapka yah talash end kar dega.
Inhe Bhi Jaane:-
PNB Balance Enquiry Number (Toll Free)
Neeche hamne aapko PNB balance check number diya hai, jiska istemal karke aap turant apna PNB bank balance sirf 1 missed call karke jaan sakte hai. yah ek toll free number hai. yah bilkul free hota hai.
PNB Balance Enquiry Missed Call Number :-
- 18001802223
- 01202303090
Aapko apna bank balance jaanne ke liye upar bataye dono me se kisi bhi ek number me apne registered mobile number se call karna hai. Call karne par 3 times ring hone ke baad bola jayega “Thankyou for calling Punjab National Bank you will receive sms with account balance shortly” and call automatically kat jayega aur missed call ho jayega.
Iske thodi der ke baad aapko bank ki taraf se SMS aa jayega jisme aapka PNB bank balance likha hua rahega.
PNB Balance Enquiry SMS Number
Bahut sare banko ki tarah Punjab National bank bhi sms se balance enquiry karne ka facility provide karta hai. sms se Pnb balance enquiry karne ke liye neeche ka process follow kare.
Iske liye apne mobile me ek sms type kare. Is sms me sabse pahte capital letter me “BAL” likhe fir ek space de uske baad apna “16 digit PNB account number” Type kar de.
Format :- BAL <space> 16 digit PNB Account Number
Example :- BAL 1234123412341234
Is tarah se type kiye hue sms ko apne registered number se PNB Balance Enquiry SMS Number :- 5607040 me send kar de.
Aapke sms send karne ke thodi der ke baad aapko reply me ek message milega. Is message me aapka PNB account balance likha hua rahega.
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- SBI New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? Sabse Aasaan Tarika
To aapne dekha PNB balance enquiry missed call and sms se karna kitna aasaan hai. Ab aapko apna balance jaanne ke liye koi tension lene ki jarurat nahi hai.
I hope aapko is post me puri information mil gaya hai. Agar yah post aapko kaam ka sabit hua to ise aur bhi logon ko SHARE karke unki madad kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply