Namashkar Dosto, Jab bhi ham koi information bhul jate hai to usse hone wali pareshani ke bare me har koi janta hai. Aur agar kabhi ATM / Debit card PIN bhul jate hai tab to condition aur bhi kharab hoti hai. Pahle mai bhi jab pnb atm pin bhul jata tha to pareshan ho jata tha. Lekin ab mai PNB ATM PIN Forgot / Reset karna sikh gaya hu. Isse ab turant mai apna new pin bana leta hu aur us card ko use karna start kar deta hu.
Inhe Bhi Jaane:-
- PNB Mobile Number Online Register / Change Kaise Kare?
- PNB Balance Enquiry / Check Sirf 1 Mised Call / SMS Se Kaise Kare?
Is post me mai khud jis pnb bank atm pin reset karne ke tarike ka istemal karta hu uske bare me puri information dene ja raha hu. Agar aap bhi apna PNB ATM PIN Forgot / Reset karna chahte hai to iska process agle 3 minute me sikh jayenge.
PNB ATM PIN Forgot Karne Ke Liye Jaruri Information
Is process ke liye aapke paas apne bank account se related 3 jaankariyo ka hona jaruri hai.
- Aapka apna PNB Debit Card / ATM card
- Bank account me registered mobile number
- Aapka PNB Bank account number
Iska process 2 bhago me bata hua hai.
- PNB atm green pin OTP Generate karna
- Green pin OTP ke sahayta se pnb atm pin reset karna.
Chaliye in dono process ko alag-alag detail me jante hai.
PNB ATM Green PIN OTP Generate Karna
Iske liye aap apne mobile ke message box me jakar ek message type kar lijiye.
Sabse pahle capital letter me likhe “DCPIN” fir ek space deka apne pnb debit card ka “16 digit Number” type kar dijiye.
Format :- DCPIN <Space> 16 Digit ATM Number
Example :- DCPIN 1234123412341234
Is tarah se type kiye hue message ko aap apne registered number se “5607040” me send kar de.
Iske turant baad aapko bank ki taraf se ek sms aayega jisme ek 6 digit ka OTP likha hua hoga. Yahi OTP aapka pnb atm green pin hai. Jab ye message aa jaye to iska dusra process kar sakte hai.
PNB ATM PIN Forgot / Reset Karna (Using Green PIN OTP)
Is OTP wale sms ko lekar kisi bhi PNB Bank ATM me chale jaye. Aage ka process wahi kiya ja sakta hai.
- ATM me jakar apna card waha “SWIPE” kar le.
- Language wale screen se apne pasand ka Language select kar le.
- Agle screen me aapko bahut sare option dikhaye jayenge. Inme se “Enter Green PIN (OTP)” wale option par click kare.
- Ab “Please enter your Green PIN OTP” likha hua aa jayega. Yaha aapke message me aaya hua 6 digit OTP enter karke “Yes” button ko select kare.
- Agle step me New PIN enter karne ka option mil jayega. Yaha se aap apna pnb atm pin forgot / reset kar sakte hai. Aap apne liye ek PIN soch kar usko yaha enter kar de uske baad “PRESS HERE” ko click kare.
- Ab fir se apna New PIN Re-enter karke “PRESS HERE” ko select kare.
- Iske baad “Your PIN Change Successfully” likha hua aa jayega.
Jab ye likha hua aa jaye to aap samajh lijiye ki aapka PNB ATM PIN Reset ho gaya hai. Ab aap apne us pnb debit card ko istemal karke koi bhi transaction kar sakte hai.
NOTE:- Jo pnb atm pin generate hota hai uska validity sirf 72 hours ke hoti hai. Isliye jaise hi aapko ye OTP wala message aaye uske 72 hours ke ander hi is process ko complete kar le.
Agar aapka OTP expire ho jaye to kya karna hai uski jaankari ke liye neeche ka video dekh sakte hai.
Congratulations, aapne PNB ATM PIN Forgot / Reset karne ka process seekh liya hai. Meri tarah aap bhi ab apna debit card pin bhulne par tension nahi lenge.
- PNB ATM Green Pin Generation Se Jude Aapke Sabhi Sawalo Ke Jawab FAQ
- PNB Account Transfer Application Letter In Hindi & English Kaise Likhe?
Hame aasha hai ki aapko yah PNB ATM PIN Forgot / Reset karne ka process aasaani se samajh me aa gaya hoga.
Ye post ab khatam hota hai. Lekin is website me aapko aur bhi bahut sare jankariya mil jayengi jisse aapka banking aasaan ho sakta hai. Dhanyawad.
Leave a Reply