helooooo Dostooooo, ab ham sabhi jaan chuke hain ki agar hamare bank account mein KYC complete nahi rahega to uska banking ka kaam stop / band kar diya jata hai. Agar aapke paas JRGB bank account hai aur uska kyc update nahi hai to aapka bhi bank account stop kar diya jayega. Isliye is post me ham aapko jharkhand rajya gramin bank kyc update karwane se related puri jaankari denge. Jaise-
- JRGB Kyc Documents Kya -Kya Hai?
- Jharkhand Rajya Gramin Bank Kyc Online Process.
- Jharkhand Gramin Bank Kyc Update Karwane Ka Offline Process.
- Jharkhand Rajya Gramin Bank Kyc Form Kaise Bhare?
Iska matlab yah hua ki agar aapne is post ko pura padh liya to aapko itna jaankari ho jayega ki dusro ko iske baare me aap batane lagenge.
- ATM Card Expired Ho Jane Par New Card Kaise Milega पूरी जानकारी यहाँ से लें
- Mutual Fumds Kya Hai ? इसके बारे में पूरी जानकारी यहाँ से लें
Jharkhand Rajya Gramin Bank KYC Online Process.
Jaise -jaise ham digital hote jaa rahe hai, waise- waise ham apne saare kaam online karna chahne lage hai. Kya aap jrgb kyc online karna chahte hai?
Lekin abhi ke time me is bank ke paas jharkhand rajya gramin bank kyc online karne ka koi bhi process available nahi hai. Agar future me aisa koi facility available karwaya gaya to ham uspar alag se post jarur likhenge.
Ab is condition me aapke paas kewal ek option hai branch me jakar kyc karwana. Iske liye aapko apna kuch documents lekar branch me jana hai.
JRGB KYC Documents.
Iske liye aapko 2 tarah ke documents lekar jana hai. Inke baare me ham neeche detail me bata rahe hai.
i. Jharkhand Gramin Bank KYC Document For Identity Proof.
Ye us type ke documents hote hai Jisse aapki pahchan ho sake. Is type ke documents me aapka photo jarur rahta hai.Jaise-
aadhar card, passport, pan card, voter id … etc
“Bank Account KYC Documents For Identity Proof pura List”
ii. JRGB KYC Documents For Address Proof.
Ye us type ke documents hote hai, jisse aapke address ka pata chal sake. Isse aapko address verify karke aapke bank account me enter kiya jata hai. Isme mainly aapka complete Address detail me likha rahta hai. Jaise- aadhar card, passport, electricity bill, bank account statement, ration card, voter id… etc.
“Bank KYC Documents For Address Proof Ka pura List Jane”
Jharkhand Rajya Gramin Bank KYC Kaise Kare?
Dosto iske liye aap apna bank passbook, upar bataye hue documents ko lekar apne JRGB branch me chale jaye.
Branch me jakar waha ke employee ko jharkhand rajya gramin bank kyc form mang lijiye. Form mil jane ke baad usko fillup karna rahta hai. Chaliye sabse pahle isko bharne ka tarika sikhte hai uske baad aage ka process jaanenge.
“Jharkhand Rajya Gramin Bank KYC Form Pdf Download Yaha Se Kar Sakte Hai”
Jharkhand Rajya Gramin Bank KYC Form Kaise Bhare?
Agar aapne is form ko properly Fillup nahi kiya to ek hi kaam ke liye kai baar branch ke chakkar lagana padega. Isliye neeche bataye steps ko dhyan se padhe. Is form ko bharna bahut aasaan hai.
STEP 1
- Sabse pahle apne “Branch” ka name likh de.
- Ab apna name “Prefix, First Name, Middle Name & Last Name” ke format me likh de.
- Iske neeche apna “Bank Account Number” likhe.
- Apne “Residential Status” ko apne hisab se tick kar le.
- Iske neeche apna “Occupation” jo bhi hai usko options me se tick kar le.
- Aapna “Actual Income / Turnover” jo bhi hai usko calculate karke likh de.
- In information ke right side me photo chipkane ka jagah milega. Yaha apna ek pasport size photo chipka de.
STEP 2
- Abhi “IDENTIFICATION INFORMATION” wala section milega. Isme sabse pahle apna “Aadhar Number” and “PAN Number” likh de.
- Ab aap jo bhi document is form ke saath submit karenge usko tick kar le. Aur us document ka number isi ke neeche likh de.
Step 3
Agla section hai “CURRENT / PERMANENT / OVERSEAS ADDRESS DETAILS” ka. Isme-
- Isme aapka address kis type ka hai usko “Address Type” wale boxes me se tick kare.
- Ab aap address proof me kon sa document submit karenge usko tick kare. Yaha aap jo bhi document tick karenge uska “Document No.” iske neeche likhe.
- Apna jo bhi “Current / Permanent Address” hai usko detail me likh de.
- Iske neeche apna “Correspondence / Local Address” ko pura likh de.
Step 4
- CONTECT DETAILS wale section me “mobile Number” & “E-mail Id” likh de.
STEP 5
- Is section me wah “Date”likh de jab is form ko branch me submit karenge. Iske baad “PLACE” likh de or last me “Full Signature” kar de.
STEP 6
- ये सेक्शन खाली छोड़ देना है क्योंकी यह ” OFFICE USE” के लिए है।
इस तरह से यह jharkhand gramin bank kyc form fillup करना पूरा हो जाएगा।
JRGB KYC फॉर्म फिलअप करने का कम्पलीट प्रोसेस विडियो आप हमारे YouTube Channel में देख सकते है
Jharkhand Gramin Bank KYC Form भरने के बाद
अब इस अच्छी तरह भरे हुए फॉर्म के साथ अपना एक आईडेंटिटी प्रूफ और एक ऐड्रेस प्रूफ का फोटो कॉपी सेल्फ अटेस्टेड करके अटैच कर दे। अब इस तरह से तैयार पूरे सेट को अपने jrgb branch में जमा कर दें।
इस फॉर्म के जमा करने के बाद 1-2 working days में आपके बैंक खाते में kyc कर दिया जाएगा। इसके बाद आप अपने बैंकिंग के सारे काम करना शुरू कर सकते हैं।
आप इस पूरे प्रोसेस को फॉलो करके कभी भी अपने बैंक खाते में के.वाई.सी. करवा सकते हैं।
इन्हें भी जाने
- ATM Transaction Fail हो जाने पर अपना पैसा वापस लेने वाला फॉर्म डाउनलोड कैसे करें ?
- Loan Kya Hota Hai? लोन क्या होता है? Type Of Loan इसके फायदे, नुकशान पूरी जानकारी यहाँ से ले
हमें पूरा उम्मीद है कि अब आप jharkhand rajya gramin bank kyc करवाना सीख गए होंगे इसलिए इस पोस्ट को कहीं ना कहीं शेयर जरूर करेंगे। इस पोस्ट को पूरा पढ़ने के लिए आपका बहुत-बहुत धन्यवाद
Leave a Reply