Dosto, I hope aapko pata hoga ki abhi ke time me hamara moblie number bank account me registered hona kitna jaruri hai. Isliye harek bank apne customers ko batata rahta hai ki wo safe banking ke liye apna number hamesha update rakhe. HDFC bank bhi apne account holders ko apna HDFC bank mobile number registered karwa kar rakne ke liye bolti hai.
Bahut sare logo ko lagta hai ki apna mobile number hdfc bank me registered ya change karwana bahut muskil wala kam hai. Isliye jab unka registered number kho jane ya band ho jane par new number update karwane se darte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- HDFC Bank Balance Check / Enquiry Missed Call Ya SMS Se Kaise Kare?
- SBI New ATM Card Ko Activate Kaise Kare?
Is post ko padhne ke baad aapka yah bharam khatm ho jayega. HDFC bank me phone number change karwana bahut aasaan hai. Chaliye mai aisa kyon bol raha hu usko neeche aap bhi jaan lijiye.
HDFC Bank Mobile Number Register / Change Karwane Ke Tarike
Yah ek aisa bank hai jo apne customer ko is kaam ko karwane ke kai aasan tarike provide karta hai.
- HDFC bank mobile number change through ATM machine.
- HDFC mobile number online register / change karwana through net banking.
- Branch se offline mobile number update karwana.
Inme se sabse aasaan tarika iska pahla wala method yani HDFC ATM machine se apna mobile number register ya change karwana hai. Isliye is post me ham aapko isi ka complete process batane ja rahe hai.
HDFC Bank Mobile Number Register / Change Through ATM Machine Kaise Kare?
Iske liye aap apne HDFC ATM card ko lekar kisi bhi HDFC ATM me chale jaye. Uske baad neeche bataye process ko follow kijiye-
- Sabse pahle apna card waha ke ATM machine me “Insert” kar de.
- Iske bad aapke samne kuch Language aa jayenge. Dikhaye gaye bhasha me apne pasand ka Language select kar le.
- Agle screen me 2 options aa jayenge. Inme se “Main Menu” ko select kar le.
- Abki baar aapke saamne bahut sare option aa jayenge. Isi screen ke “More Options” ko select karke process ko aage badhaye.
- Iske baad fir se kayi tarah ke options dikhaye jayenge, Inhi me ek option “Update Mobile Number” ka milega. Is option par click kare.
- Agle step me aapko new mobile number enter karne ko bola jayega. Ab yaha aap apne new number jo register karwana chahte hai usko enter kar de. Iske baad isi screen ke “CONFIRM” par click kare.
- Iske bad fir se dubara new mobile number re-enter karne ko bola jayega. Ab fir se apne mobile number ko enter kar de aur “CONFIRM” ko select kare.
- Ab aapko aapka ATM PIN manga jayega. Yaha aap ke ATM card ka jo 4 digit PIN hai usko enter kar de.
- Iske baad screen me likha hua aa jayega- “Your request has been accepted. Your mobile number will updated within 2 working days”
Yaha aapka process complete ho jayega aur 24-48 ghanto me aapka HDFC bank mobile number aapke bank account me update kar diya jayega. Iske baad aap apne new number se banking ke sabhi kaam kar sakte hai.
HDFC Bank Mobile Number ATM Machine Se Register / Change Kaise Kare? Video Tutorial
- BOI ATM Transaction Failed But Amount Debited, Online Paise Refund Kaise Le?
- Wrong ATM Pin Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Hame ummid hai ki ab aapko bhi HDFC bank me mobile number change karwana aasaan lagne laga hoga. To jaiye aur is kam ko karke apne banking ko secure kar lijiye.
Isi tarah banking se related tutorial videos dekhne ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE kar sakte hai.
Agar aapko iska aur koi tarika janana hai to hame comment box me likh kar bataiye, sath hi is post ko SHARE karke aap aur logon ki madad kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply