Namaskar Dosto, Ham kai baar apna HDFC bank ATM card 3 times wrong PIN enter karke block karwa chuke hai. Hota tha wo mai bhul jata hu aur yaad karke wrong PIN enter kar – kar ke sahi pin hone ka ummid karta rahta hu. Jab aisa 3 times ho jata hai to wah hdfc debit card block ho jata hai.
Mujhe lagta hai aapne bhi yah galti kar diya hai aur aapka hdfc ATM card block ho gaya hai. Agar aapka jawab “HA” hai to ye post aap ke liye hi likha gaya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- HDFC Cheque Book Request Through Missed Call Number Se Kaise Kare?
- HDFC New ATM Card Activate Kaise Kare? Detailed Jankari
Is post me ham wrong PIN se blocked hdfc bank ATM card unblock karwane ke 2 sabse aasaan tarike batane ja rahe hai. Iska istemal karke aap turant apna blocked hdfc band ATM card unblock karwakar transaction karna start kar sakte hai.
HDFC Bank ATM Card Unblock Karwane Ke 2 Aasaan Tarike
Iske liye aap neeche bataye 2 aasaan method use kar sakte hai.
- Automatically HDFC bank ATM card unblock karwana.
- PIN generation se blocked hdfc bank debit card unblock karwana.
Ab aapko in dono method ko detail me janna hoga taki pata chal sake ki aapke liye kon sa method achchha rahega.
1. Automatically HDFC Bank Debit Card Unblock Karwana.
Is bank ne wrong PIN se blocked ATM card ke liye ek blocking period rakha hai. Yah blocking period 24 ghante hai. Yani agar aap 24 ghante tak us card ka istemal nahi karenge to wah automatically (apne – aap) unblock / restart ho jayega
Is method se apna hdfc bank ATM card unblock karwane ke liye aapko bas 24 hours wait karna hai. Iske baad original PIN se us card ko use karna start kar sakte hai.
Abhi bhi agar aapko apna original ATM PIN yaad nahi hai to fir is situation me iske 2nd method ka use karke hdfc bank debit card unblock karwana padega.
2. ATM PIN Generation Se Blocked HDFC ATM Card Unblock Karwana.
Iske liye aap apne moblie ke message box me jakar ek SMS type kijiye. Is SMS me capitle letter me likhe “REPIN” uske baad ek space dekar apne blocked hdfc debit card ke number ka “Last 4 Digit” type kar dijiye.
Format :- REPIN <space> Last 4 Digit of ATM Number
Example :- REPIN 1234
Ab is SMS ko apne registered number se 5676712 me send kar de. Iske thodi der me aapko bank ki taraf se ek SMS aayega usme ek 6 digit ka OTP likha hua rahega.
Isi OTP ki sahayta se ab aap apna hdfc bank ATM card unblock karwa sakenge. Isko lekar aap apne najdiki HDFC ATM Machine me chale laye aur neeche ka process follow kare.
- Apne blocked card ko “Insert” kar de.
- Agle screen se “Input your One Time Password to create the new ATM PIN” ko select kare.
- Ab apne SMS me aaya 6 digit OTP ko enter kar de fir isi screen ke “Correct” option ko select kare.
- Agle step me apne hdfc bank me registered mobile number ko enter kar de aur uske baad “Correct” option ko select kare.
- Agle screen me ek new PIN banane ke liye bola jayega. Ab aap ek yaad rahne wala 4 digit New PIN soch lijiye. Is New PIN ko machine me enter kar dijiye.
- Fir se apna New PIN “Re-enter” kar dijiye.
- Ab screen me “Your PIN Has Been Changed” likhkar aa jayega.
Jab screen me ye likhkar aa jaye to aap samajh lena ki aapka wrong PIN se blocked hdfc bank ATM card unblock ho gaya hai. Aapne abhi – abhi jo New PIN banaya hai usko yaad rakhe aur koi bhi transection karne ke liye taiyar ho jaye.
- HDFC Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
- HDFC Bank MobileBanking Register And Activate Kaise Kare?
Yahaaa aapne apne problem “How to unblock hdfc atm card / debit card blocked due to wrong PIN?” ka solution paa liya hai. Khush ho jaiye aur is jaankari ka labh uthaiye.
Aap ke hi tarah is jaankari ko kai log dhundh rahe honge. Is post ko Facebook, WhatsApp, Instagram……etc me SHARE karke unki help aap kar sakte hai. Dhanyawad.
Manish kumar says
Sir me aapna atm cards unblock kar sir request hai
Team EMB says
Iske liye aap apne branch me contact kar sakte hai ya customer care se bhi ho jayega.