Dosto aapka swagat hai is blog Explain Me Banking me jaha ham aapke banking ko aasaan banate hai. Gramin Banks hamare desh ke gramin chetro me financial services pahuchane ka ek bahut achchha medium hai. Gramin bank ke lakho branch aaj logo ki seva me lage hue hai. Aaj ye chote-chote gramin bank bhi bade banko ki tarah internet banking, mobile banking, ATM card, debit card, loan, FD, RD, jaise sabhi services provide karne lage hai.
Bade banko ki tarah ab dhire-dhire ye bhi gramin bank ATM PIN generation and activation ka service provide karne lage hai. Agar aap gramin bank ATM card / debit card use karte hai to iska istemal karke aap kai tarah ke kaam bina branch visit kiye khud se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Chhattisgarh Rajya Gramin Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
Gramin Bank ATM PIN Generate And Activate Karne Ke Benefits
Iska istemal karke aap khud se 2 kaam kar payenge.
- Apna New gramin bank ATM card activate khud se kar sakenge.
- Agar kabhi apna gramin bank ATM PIN bhul jaye to khud se ATM PIN forgot / reset bhi kar sakte hai.
In dono kamo ke liye aapko branch me jane ki koi jarurat nahi hai. To chaliye iske process ko bhi jaan lete hai.
Gramin Bank ATM PIN Generation And Activation Complete Process
Iske liye apne debit card and registered mobile number ko lekar ATM me chale jaye.
- Waha apna card “SWIPE” kare.
- Apne pasand ka ek language select kare.
- Ab “Generate ATM PIN / Set PIN” ko select kare.
- Aaye hue options me se “Generate OTP” ko select kare.
- Abhi screen me “OTP has been send to your registered mobile number” jaisa likha hua aayega.
Isi ke saath aapke mobile me bank ki taraf se ek message aayega. Is message me 6 digit OTP likha rahta hai. Yah OTP aapka gramin bank ATM green pin hai jisko aapne generate kiya hai.
- OTP aane ke baad fir se card “SWIPE” kare.
- Apna language select kare.
- Is baar bhi “Generate ATM PIN / Set PIN” ko press kare.
- Abki baar aaye hue options me se “Validate OTP” ko select kare.
- Ab message me aaya 6 digit OTP enter kar de.
- Abhi screen me New PIN Enter karne ka option aa jayega. Yaha apne card ke liye 4 digit PIN sochkar usko enter kar de.
- Usi PIN ko fir se Re-enter kare.
- Ab screen me “Successfully” wala message aa jayega.
Yani ki gramin bank debit card PIN generation aur activation ka process pura ho gaya hai. Saath hi aapka kaam bhi ho jayega.
Gramin Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Gramin Bank ATM Pin Generation & Activation Video Tutorial
NOTE :- Abhi harek gramin bank me debit card green pin generate karne ka facility provide nahi kiya hai. Saath hi sabhi ka process ek jaisa nahi rahta hai. upar hamne iska ek common process bataya hai, real process thoda moda alag ho sakta hai.
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
- Bank Account Address Proof Documents or Bank Account Address Change Documents Complete List
Waaaaawww Aapne to is gramin bank atm pin generation (generate) karne ka pura process jaan liya hai. Isi baat par is post ko “SHARE” bhi kar sakte hai.
Isi tarah ke banking wale VIDEOS dekhne ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko subscribe bhi kar sakte hai. Dhanyawad.
Mumit Ahmed Choudhury says
My atm card all ready recived 8month bt atm card is no active no otp
Sushil Saikia says
Is post me bataye gaye process me jane se bhi nahi hua. Last me unable to process dikha raha ha kiya karu ?
Team EMB says
Fir se try kare.
Amankashyap says
Nice
Naresh Kumar says
My atm card not activate
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko follow kare aapka atm card activate ho jayega.
Amankashyap says
Nice