Kya aapne apna Bank Of Baroda ATM Card use karte samay 3 times wrong PIN enter kar diya hai? Aur ab iske karan aapka BOB ATM card block ho gaya hai? aur aap apna BOB ATM Card Unblock karwana chahte hai, to aapko pareshaan hone ki jarurat nahi hai.
Is problem ka solution paane ke liye aap sahi jagah par aaye hai. Ham is post me aapko batane ja rahe hai ki wrong PIN se blocked BOB ATM card Unblock / Restart karne ka kya Tarika hai. Is Post ko ant tak padhne ke baad aap apne blocked BOB debit card unblock karke usko use karna start kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank of Baroda Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- BOB mPassbook Register Karke Apna Passbook Mobile Me Kaise Dekhe?
3 Times Wrong PIN Enter Karne Se Bank Of Baroda ATM Block Kyun Hota Hai
Iska solution janne se pahle hame yah janana jaruri hai ki is tarah se atm card block kyun hota hai, Kya ye accha hai ya bura?
Jab bhi ham Bank Of Barod ATM / Debit card use karte hai aur lagatar 3 times wrong PIN enter karte hai to bank ke system ko lagta hai ki is ATM card ko koi unauthorised use kar raha hai isliye bar – bar wrang PIN Enter kar raha hai. Isliye hamare paiso ko safe rakhne ke liye bank ka system 3 times wrong PIN enter karte hi usko Block kar deta hai.
Mere anusar yah ek accha baat hai kyunki agar mera ATM card kisi ke paas hai aur wo mere card ka galat istemal karne ka kosis karega to wah block ho jayega aur hamara paisa bach jayega. Aap apni ray hame comment box me likhkar bata sakte hai.
Wrong PIN Se Blocked BOB ATM Card Unblock / Restert Kaise Kare?
Jab bhi kisi ka BOB debit card wrong PIN se block hota hai to usko unblock karwane ke 2 tarike hote hai. In dono hi tariko ko ham neeche bata rahe hai.
- Automatically BOB ATM Unblock hona.
- PIN Reset Karke BOB debit card Unblock karwana.
Chaliye ab ham in done tariko ko detail me jante hai.
Automatically BOB ATM Card Unblock Hona
Jab bhi koi 3 times wrong PIN enter karta hai to Bank Of Baroda us BOB ATM / Debit card ko temporary block karta hai. Yah blocking kewal 24 hours ke liye hota hai.
Iska matlab yah hai ki is tarah se blocked debit card 24 ghanto ke baad automatically unblock ho jata hai. Agar aapko apna BOB ATM PIN yaad hai to 24 hours ke baad usko istemal karna start kar sakte hai. Iske liye aapko koi process karne ki jarurat nahi hai bas 24 hours intijar karna hai.
PIN Reset Karke Blocked BOB ATM Card Unblock / Restart Karwana
Agar aapko apna bob atm pin yad nahi hai to aapke liye thoda muskil ho jayega. Is condition me aap is dusre process ko follow karke apna debit card unblock karwa sakte hai.
Is process ko karne ke liye apne BOB debit card, registered moblie number aur bob account number lekar kisi bhi Bank Of Baroda ATM Machine me jana padega. Waha jakar neeche bataye process ko follow kare.
Process:-
- Sabse pahle apne blocked BOB Debit Card ko waha ke ATM machine me “Swipe” kar le.
- Iske bad language wala screen aa jayega. Yaha se apne pasand ka “Language Select” kar le.
- Agle screen se “Set / Regenerate PIN” ko select kar le.
- Ab aapko Account Number enter karne ko bola jayega. yaha apna BOB Account Number Enter kar de aur “Correct” option ko select kare.
- Ab dubara se apna BOB Account Number Re-enter karke “Correct” option ko select kare.
- Iske baad apna Registered Mobile Number enter karke “Press If Correct” option ko select kare.
- Agle step me aapko “OTP” enter karne ko bola jayega.
Jaise hi aap itna process karenge aapke Registered mobile Number me Bank Of Baroda ki taraf se ek SMS aa jayega. Is SMS me aapko ek 4 digit ka OTP likha hua milega. Isi OTP ko ATM me aapko enter karne ko bola ja raha hai.
- Jab aapko SMS mil jaye to usme likhe OTP ko yaha enter karke “Press If Correct” ko select kare.
- Isi ke saath aapko new PIN enter karne ka option milega. Yaha aap ek new PIN soch le jo aage yaad rah sake aur us PIN ko “Enter” kar de.
- Dubara se apne new PIN ko “Re-enter” kare.
11. Isi ke saath “PIN Changed Successfully” likha hua aa jayega.
Jaise hi ATM screen me yah likha hua aa jaye to aap samajh lena ki wah BOB ATM Unblock ho gaya hai. Ab aap abhi-abhi banaye New ATM PIN ka istemal karke usko use karna start kar sakte hai.
BOB ATM Card Unblock / Restart Kaise Kare? Video Tutorial
- SBI Green Channel Fund / Money Transfer Karne Ka Pura Process
- PNB Balance Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
Ab aap wrong PIN se blocked BOB ATM card unblock / Restart karwana seekh chuke hai. Hame ummid hai ki aap apne card ko jarur se unblock karwa lenge.
Agar aapko is post se madad mili hai to Isko SHARE jarur kare. Isse aap dusre logo ki madad kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply