Friends. aapka fir se welcome Explain Me Banking me jaha ham aapke banking ko Aasaan banate hai. Dosto Baroda UP Gramin Bank, Uttar pradesh ka ek pratisthit bank hai. Yah gramin bank kai tarah ke banking and financial services provide karwata hai. Isne apne customers ke easy banking ke liye kai tarah ke facilitys de rakha hai. Inme se ek service baroda uttar pradesh gramin bank ATM PIN generation & activation ka bhi hai.
Agar aap baroda up gramin bank ATM card / debit card ka use karte hai to is service se kai kaam khud se kar payenge. Is process ki jaankari ke liye is post ko dhyan se padhe.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
Baroda Uttar Pradesh Gramin Bank ATM PIN Generate & Activate Karne Ke Benefits.
Iske aane ke baad ab aap khud se neeche ke 2 kaam bina branch visit kiye karwa sakte hai.
- Ab khud se apna New baroda up gramin bank ATM card activate kar sakenge.
- Saath hi agar apna BVPGB ATM PIN bhul jaye to usko bhi forgot / reset khud se kar payenge.
Iske benefits ko jaankar iska process aap jarur jaanna chah rahe honge. Hai na….??
Baroda Uttar Pradesh Gramin Bank ATM PIN Generation And Activation Process.
Chuki yah gramin bank of baroda se juda hua hai isliye iska process aap BOB ya baroda up gramin bank dono me se kisi bhi bank ke ATM machine me kar sakte hai.
Iske process ke liye aap apna card, registered number and account number ko lekar dono me se kisi ek ke ATM me chale jaye.
- Waha jakar apne card ko “SWIPE” kare.
- Ab aaye language me se kisi ek ko select kare.
- Agle screen se “Set / Generate PIN” ko select kare.
- Aapko account number pucho jayega. Apna BUPGB account number pura enter kar de.
- Account number ko verify karne ke liye dubara se BUPGB account number Re-enter kare.
- Isi ke saath registered mobile number pucha jayega. Yaha apna BUPGB registered mobile number enter karke “Enter” button ko select kare.
Itna process follow karne par apke number me ek message aa jayega. Isme 6 digit OTP bhi rahega. Yahi OTP aapka baroda up gramin bank ATM green pin hai.
- Jaise hi OTP aaye usko ATM me enter kare.
- Ab aapko New PIN banane ka option mil jayega. yaha aap ek 4 digit ka New PIN sochkar usko enter kare.
- Usi New PIN ko dubara se Re-enter kare.
- ATM screen me “PIN Changed Successfully” likha aa jayega.
Abhi aapka uttar pradesh gramin bank ATM PIN Generation & Activation process complete ho gaya hai. Saath hi aap jis bhi kaam ke liye isko follow kar rahe the wo kaam bhi complete ho jayega.
- Gramin Bank ATM Card Apply / Application Process In Detail
- Bank Account Address Proof Documents Complete List
Hame aashaa hai ki aapko baroda up gramin bank debit card pin generate and activate karne ka pura tarika samajh me aa gaya hai. Dhanyawad.
Meena says
Sir mere atm card ka pin banna hai kaise banaye
Harish Chandra says
Sir mera ATM card kam nahi kar raha hai please sir ye kese kam karega
Mahender pal s/o damodar says
Mera ATM card aspire ho Gaya Hai kya kare
Team EMB says
Branch me jakar new atm card apply kar lijiye