Dosto, Jitni speed se hamara desh digital hota ja raha hai utni hi speed se hamare banking ke kam bhi digital hota ja rahe hai. pahle ham banking ke harek kaam ke liye bank jaya karte the lekin ab ham sabhi mobile banking ka use karke ghar baithe ye kaam kar lete hai.
Harek bank ka alag- alag mobile banking app hai Jaise bank of baroda ka bob m-connect app. Agar aap bob ke customer hai to is app ko jarur se istemal karte honge. Sochiye agar kabhi aap apna bank of baroda m pin bhul jaye to kya hoga. Aapne bilkul sahi samjha iske baad aap apne kaam is app se nahi kar payenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank of Baroda New ATM Card Activate Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
- BOB Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
Ho sakta hai aap already apna bank of baroda m pin lost kar chuke hai aur kaphi pareshaan hai. Is condition me aap bilkul bhi tension na le kyoki bank of baroda m connect password / m pin ko forgot karna bahut hi aasaan hai. Ye kaam aap 2 minutes se bhi kam samay me kar sakte hai.
Is post me ham aapko bob M pin forgot karne ka sabse easy method batane jaa rahe hai. Bas aap last tak is post ke saath bane rahiye.
Bank Of Baroda m Pin Forgot Karne Ke Liye jaruri Information
Hum jo method aapko batane ja rahe hai uske liye aapke paas kuch chijo ko hona jaruri hai. Jaise-
- BOB ATM card / BOB debit card
- Bank me registered mobile number
Iske process ke liye upar bataye chijo ko lekar aap kisi bhi BOB ATM me chale jaiye. Aage ka kaam aapko ATM machine me hi karna padega.
Bank Of Baroda M pin Forgot / Reset Kaise kare?
Iske liye bas aap neeche ka process follow kijiye. –
- Sabse pahle apne card ko BOB ATM machine me “SWIPE” kar le.
- Language wale screen se apne pasand ka Language select kar le.
- Agle screen se “Enter PIN” ko select kare.
- Ab aap apna BOB ATM PIN enter kar de.
- Isi ke saath bahut sare option aapke saamne aa jayenge. Inme se left side ke option “M-Connect (Mobile Banking)” ko select kare.
- Ab aapko 3 option dikhaya jayega. Inme se “Forgot Login Password / M pin” ko select kare.
- Isi ke saath aapko registered mobile number enter karne ko bola jayega. Yaha aap apne bob bank account me registered 10 digit mobile number ko enter kar de aur isi screen ke “Press If Correct” ko click kare.
- Agle step me mobile number ko verity karne ke liye fir se apna 10 digit registered mobile number “Re-enter” kar de. Iske baad “Press If Correct” me click kare.
- Ab aapko apne bank account type (Savings or Current) ko select karna hai. Aapka bank account jis bhi type ka hai, diye gaye options me se chun le.
- Isi ke saath screen me “YOUR TRANSACTION COMPLETED SUCCESSFULLY PLEASE TAKE CARD AND RECEIPT. Your passward / mpin will be sent on your Registered Mobile Number” likha hua aa jayega.
Congratulations, aapne apna bhula hua Bank of Baroda m pin forgot kar liya hai. Jaise hi itna process aap karenge aapke registered mobile number me ek sms aayega. Is SMS me aapka BOB mobile banking passward / m pin likha hua rahega.
Is sms me aaye hue bob m pin ka use karke aap fir se bank of baroda mobile banking m Connect app ka use karna start kar sakte hai.
- Bank of Baroda Mobile Banking Register & Activate Kaise Kare?
- BOB Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
Ab aapne dekh liya ki bank of baroda m pin lost ho jane par isko forgot / reset kaise karte hai. Ab hame aashaa hai ki yah process aapko aasaan lag raha hoga.
Agar aapke man me abhi bhi koi confusion hai to comment me likhkar bataiye. Aur agar aap dusre logo ki bhi help karna chahte hai to isko SHARE kar sakte hai. Dhanyawad.
Lakhpati says
Mpin भूल गए हैं सर
EMB Team says
Is post me humne bataya hai isko aap acche se padhe.