Dosto, bahut sare logo ko lagta hai ki bandhan bank mobile number change or registration karwane ka process bahut hard hoga. Kya aapko bhi yahi lagta hai? Aur kya aap bandhan bank mobile no registration / change karwane ka aasaan and complete process jaanna chahte hai?
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application Hindi & English Me Kaise Likhe?
- Gramin Bank ATM Card Apply / Application Process In Detail
How To Register / Change Mobile Number In Bandhan Bank Online Process
Abhi tak is bank ne is kaam ke liye koi bhi online process available nahi karwaya hai. Yani ki bandhan bank online mobile no change karwane ka koi bhi tarika abhi nahi hai.
Bandhan Bank Mobile Number Change / Registration Kaise Karwaye?
Dosto chuki iske liye koi bhi online process available nahi hai isliye aapko iske liye branch jana padega. Aap apna passbook, new mobile number and ek id proof ka xerox lekar apne bank ke branch me chale jaiye.
Branch me jakar bandhan bank mobile number change form mang le. Jab yah form aapko mil jaye to isko achchhe se fillup karna bahut jaruri hota hai. Chaliye iska process bhi batate hai.
Bandhan Bank Mobile Number Change Form Fillup Process
Aap is form ko neeche ke image me dekh sakte hai.
- Aap sabse pahle is form ko jis date me jama karenge uska date likh de.
- Iske baad branch name and branch code likh de.
- Ab apna name, cif id and account number likh de.
- Iske baad “Mobile Alerts Registration” ko tick kar de.
- Abhi iske duser option “Mobile / Phone No. Change Request”. option me mobile no wale boxes me apna new number likh de.
- Agar is form ke kisi aur option ko update karwana hai to usko fillup kar de.
- Declatarion ke neeche date and place likh de.
- Apna signatur kar de.
- Baki ke option khali chod de.
Wow bas ho gaya aapka bandhan bank mobile number change form fillup complete. Isko jama karke aap apna kaam karwa sakte hai.
Isi form ke saath aap apna ek id proof ka xerox attach kar de. In dono ko apne branch me jama kar de. Aapke is form ke submit karne ke 2-3 dino me aapka number update kar diya jayega.
Bandhan Bank Mobile Number Register / Change Karwana Through Application
Sochiye agar aap branch gaye hai aur bola jaye ki abhi yah bandhan bank customer request form hamare paas nahi hai to aap letter likhkar jama kar sakte hai. Tab kya karenge?
Ghabraiye nahi is application ko likhne ka pura jaankari ham neeche de rahe hai.
Bandhan Bank Mobile Number Change Application Writting
To,
The Branch Manager
Bandhan Bank, Name of Branch,
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
My name is ____(your name)____ . I have bank account number 1592****2951 (your bandhan bank account number), cif id 12592107 (your cif id) in your branch ____(current branch name)____ . My old registered mobile number is +9190******09 which is i am not using presently. My new mobile number is +9178******09. I want to register my new mobile number with my bank account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
CIF Id :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Isi tarah se aap bhi bandhan bank mobile number change application likh le. Ab is letter ke saath ek id proof ka xerox lagakar apne branch me submit kar de. aapke in dono ko submit karne ke 2-3 days me number update kar diya jayega.
- New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? How To Activate New ATM Card In Hindi?
- Application For Closing Bank Account. Bank Account Band Karne Ke Liye Application.
Is tarah se aapko ab bandhan bank mobile no update karwane ka complete information mil gaya hai. Agar yah jaankari acha laga to “SHARE” jarur kare. Dhanyawad.
Leave a Reply