Hello Dosto, ATM card se ham sabhi paise nikalte hai yani ki transaction karte hai. Kai baar hamara atm transaction failed ho jata hai. Atm transaction failed kai kaarna se hota hai jaise – Atm machine ka server down ho jana, atm machine ka power cut ho jana, bank ka link failed ho jana… etc. But problem tab hoti hai jab hamara atm transaction failed ho jane ke bawjud hamare bank account se paise (money, amount) debit (kaat) liye jate hai. Is tarah ke condition me hi aapko “ATM transaction failed complaint form” ki jarurat padti hai.
ATM transaction failed but amount debited form account wale condition me refund claim ham kai tarah se kar sakte hai. Jaise-
- Branch
- Customer Care
- Online Through Banks Website,
Inme se agar aap branch se apna complaint karna chahte hai to aapko “ATM transaction failed complaint letter ya ATM transaction failed complaint form” ki jarurat padegi. Inki sahayata se aap aasaani se apne kate hue paiso ko wapas le sakte hai.
Agar aapke saath aisa kuch ho gaya hai aur aapko bhi atm withdrawal failure complaint form ki jarurat hai to isko aap neeche se aasaani se download kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane :-
- India Post Payments Bank Me Ghar Baithe Online Account Kaise Khulwaye ?
- BOI ATM Transaction Failed But Amount Debited Online Refund Claim Kise Kare ?
ATM Transaction Failed Complaint Form Pdf Download.
Agar aapko ye form chahiye to neeche ke “Failed ATM Transaction Complaint Form Pdf Download” wale link par click kare. Isi ke saath ye form aapke screen me khul jayega. Abhi yaha se aap isko save ya download kar lijiye.
“Failed ATM Transaction Complaint Form Pdf Download”.
Ab is form ko aap aasaani se print karwa sakte hai. Is tarah se yah atm withdrawal failure complaint form aapke paas aa jayega.
Disclaimer :- Is Form ka copyright related bank ke paas hai. Ham is form ko yaha par kewal education & helping purpose se provide kar rahe hai. Agar yah form change ho gaya hai ya isme kisi tarah ka problem hai to hame comment me bataye. thanks
Inhe Bhi Jaane :-
- ATM Green PIN Kya Hai ? Iske Generation Benefits & Features Ki Puri Jaankari.
- PNB Mobile Number Register / Change Form PDF Download
ATM Transaction Failed Complaint Form Fill Up process.
Is tarah se aapke paas ye form aa jayega. Ab aagar is form ko aap properly fillup nahi karenge to aapke paise / amount refund hone me kaphi dikkat hogi. Aapka form baar-baar reject ho jayega. Isko fill up karne ka pura process hamne neeche bataya hai. –
STEP 1
- Sabse upar apne bank ka name likh de.
- Ab apne branch ka name likhe.
- Aapka branch kis city me hai us city / sahar ka name likh de.
STEP 2
Is section me aapko apna aur apne bank ka detail dena hai.
- Sabse pahle aap apna name likhe.
- Ab aap apna bank account number likh de.
- Aap jis atm se ye transaction kar rahe the uska 16 digit number likh de.
STEP 3
Is section me aapko us atm machine se related details dene hai jisse paise nikal rahe the.
- Sabse pahle us atm machine ka atm id likh de. Yah aapko usi atm machine ke aas-paas likha hua mil jayega, ya fir transaction silp nikla hai to usme likha hua mil jayega. Agar kisi bhi tarah se yah id nahi mil rahi hai to yahaa atm machine kis place / jagah par hai uska name likh de.
- Aap jis atm machine se money withdrawal kar rahe the wah machine kis bank ka hai uska name likhe.
STEP 4
Ab aapko apne failed transaction ke baare me detail se batana hai.
- Sabse pahle aapne atm machine me kitna amount enter kiya tha usko likh de.
2 - Iske neeche aapko transaction ke baad atm machine se kitna paisa nikla usko likh de.
- Ab aapke bank account se kitna paisa kat gaya wo amount likhna hai.
- Aapko transaction kis date me failed hua hai wo “Date” likh de.
- Yah transaction kis time me failed fua tha wo “Time” likh de. Ye aapko transaction slip me mil jayega.
- Agar aapka card atm machine me hi fash gaya hai to iske “Card captured by ATM” wale section me likh de.
- Agar aapka complaint kisi other type ka hai to iske “Other Complaint” wale section me likh de.
STEP 5
Ab is atm transaction failed complaint form ka last portion bacha hai.
- Iske neeche me jis date ko form aap branch me submit karenge wo “Date” likh de.
- Right side me apna “Signature” kar de. Iske neeche me apna ek “Contact Number” bhi likh de.
Yaha aapka ye failed atm transaction complaint form fill up complete ho jayega.
Inhe Bhi Jaane :-
- Bank Account Me Mobile Number Change Karwane Ke 4 Sabse Aasaan Tarike.
- ATM Card Expire Ho Gaya Hai Ya Expired Hone Wala Hai. New ATM Card Kaise Milega ?
ATM Transaction Failed But Amount Debited From Account How To Claim For Refund ?
Is tarah se ab aap is form ko apne branch me submit kar dijiye. Aapke form ko submit karne ke 7 working days ke andar aapka paisa wapas mil jayega.
Agar next 7 working days me paise refund nahi hua to dubara aap branch se contact karke iska kaaran and status puch sakte hai.
We hope ki ab aap apne debit ( kate ) hue paiso ko aasaani se refund karwaa lenge.
Aap hame comment me likhkar bataiye ki aur kon-kon sa form aapko download karna hai. Ham jaldi-se-jaldi wah Form yaha available karwane ki kosis karenge. Dhanyawad
Leave a Reply