Dosto pahle aur abhi ke time me bahut badlaw ho gaya hai. Isi tarah banking ke kamo ko bhi karne ka tarika badal gaya hai. Abhi aap apne banking ke sabhi kaam ghar baithe online kar sakte hai. Iske liye aapke paas bas internet banking ya mobile banking hone chahiye. Is post me ham “BOB Net Banking Registration and Activation” ka complete process bata rahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Of Baroda ATM Card / Debit Card Apply Kaise Kare?
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
Agar aapke paas bank of baroda ka bank account hai aur aap bhi apna banking ka pura kaam ghar baithe karna chah rahe hai to post ko pura padh jaiye. Is post ko pura padhne ke baad aap kai chije sikh jayenge. Jaise-
- Bank of baroda net banking first time registration process.
- BOB internet banking activation process.
- Signon password banana.
- BOB transaction password banana.
- BOB net banking first time login process.
- Bank of baroda internet banking login process.
Bank Of Baroda Net Banking Activation Ke Liye Jaruri Information
Iske liye sabse pahle aap neeche bataye chijo ko jama kar lijiye.
- Bank account passbook
- Aapka bob atm card / debit card
- Aapke bank account me registered mobile number.
In sabhi chijo ki jarurat bob net banking register and activate karne ke process me padegi. Agar ye sabhi chije aapke paas hai to chaliye start karte hai-
Bank Of Baroda Mobile Number Registration / Change Form Fillup Kaise Kare?
BOB Net Banking Registration & Activation Process
Yeh process bahut aasaan hai. Bas aap neeche ke steps ko follow kijiye.
STEP 1
Iske liye sabse pahle aap bank of baroda net banking ke official website bobibanking.com me chale jaye. Yaha aapko ek “Not Registered Retail User (Click Here)” ke link par click karna hai.
STEP 2
Agle page me aapko ek capcha code likho dikhega. Is capcha code ka same-to-same iske samne wale box me enter karke “Validate” par click kar dijiye.
STEP 3
Agle page me aapko aapka bob debit card ya atm card ka details enter karna hai.
- Sabse pahle aap apne card ka 16 digit number enter kar dijiye.
- Iske neeche apne card ka expiry date enter kar dijiye.
- Ab apne atm pin jo use karte hai usko enter kar de.
- Iske neeche aapko ek captcha code likha hua milega isko left side ke box me same-to-same enter kar de.
Ye sare details enter karne ke baad “Validate” button par click kar de.
STEP 4
Itna process follow karte hi aapke bob bank account me registered mobile number me ek otp wala message mil jaye to isme likha hua otp next page me enter karke “Next” par click kare.
STEP 5
Next step me aapke bob bank account se related bahut sare detalis jaise- name, address, fathers name,…… etc dikhaye jayenge.
- Sabse pahle “Type Of Facilities” me jis tarah ka facilityes aapko chahiye usko select kar le. (View Rights, Both View & Transaction Rights).
- Ab aapko apne bob internet banking ke liye 3 user id fill karne ke boxes milenge. Inme apne hisab se aapko jo bhi best user id loge unko fill kar de. Agar aapke fill kiye hue user id available honge to wo mil jayega.
- Ab apne liye aap ek signon password banakar “Enter Signon Password” wale box me enter kar de.
- apne isi same signon password ko dubara se “Re-enter Signon Password” wale box me enter kar de.
- Isi tarah se apne liye ek transaction password bana lena hai our usko “Enter Transaction Password” wale box me enter kar dena hai.
- Fir se same transaction password ko “Re-enter Transaction Password” wale box me enter kar dena hai.
Upar ke sare information achchhe se fillup karne ke baad “Next” button par click kare.
STEP 6
Waaaaaw aapne bob net banking registration ka process complete kar liya hai. Agle page me aapko congratulations wala message mil jayega. Isi page me aapko apne bob online banking ka user id bhi likha hua mil jayega.
Bank Of Baroda Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
BOB Internet Banking Activation Process
Dosto jab aap itna process complete kar lenge to aapka registration process ho jayega lekin activation process abhi baaki hai. Registration process complete ho jaane ke 24 hours tak hame wait karna padta hai. Is dauran bank apne taraf se verify karte hai.
Jab bank ka verification karna pura ho jata hai to aapko registered number me ek message mil jayega. Message milne ke baad aap iske activation process ko complete kar sakte hai.
Bank of baroda net banking first time login process ko hi activation process bola jata hai. To chaliye iske process ko bhi sikh lete hai.
BOB Net Banking First Time Login (Activation) Process
Dosto Jab aapka bob net banking registration ka 24 hours complete ho jaye aur bank ki taraf se sms aa jaye to neeche bataya process follow kare.
STEP 1
Aap fir se bob internet banking ke login wale page me aa jaye. yaha available options me se “Retail User” wale link ko click kar de. Iske baad-
- Aapko jo user id mila hai usko fill karke “Enter” button ko press kare.
- Abhi isi ke neeche password enter karne ka box aa jayega. Yaha aap apna signon password enter kar de aur “Enter” button ko click kar de.
STEP 2
Isi ke saath aapke saamne bob online banking ke term and condition aa jayenge. Inko aap padh sakte hai aur jab process me aage badhna ho to page ke sabse neeche me “Agree” ko select kare.
STEP 3
Is page me aapko apna banaya hua signon password and transaction password change karna hai. Isliye aap apne liye fir se ek new signon password and ek new transaction password bana lijiye.
- Left side ke pahle “Existing Signon Password” wale box me aapne registration process me jo password banaya tha usko enter kar de.
- Ab “New Signon Password” wale box me ek naya signon password banakar enter kare.
- Aapne abhi jo new signon password enter kiya usko dubara se “Confirm Signon Password” wale box me enter kar de.
- Right side ke pahle “Existing Transaction Password” wale box me aapne registration process me jo transaction password banaya tha usko enter kar de.
- Ab “New Transaction Password” wale box me ek naya transaction password ko banakar enter karna hai.
- Aapne jo new transaction password upar wale box me enter kiya us ko “Confirm Transaction Password” wale box me bhi enter kar dena hai.
Sabhi details fill up karne ke baad “OK” button par click kare.
STEP 4
Next page me aapko kuch likha hua milega. Process ko aage badhane ke liye “Enroll Now” par click kare.
STEP 5
Aage ke do steps security purpose ke liye hai.
- Is page me sabse upar ke box me ek message likh de.
- Iske neeche me aapko bahut sare question likhe hue milenge. Yaha diye hue question me se kisi bhi 5 ya usse jyada question ko aapko select karna hai aur uske baad sabhi question ke answer unke right side wale box me likh lena hai.
- Neeche me aane par aapke 3nd time apna signon password change karne ko bola jayega. Iske “Existing Signon Password” wale box me aapne pichle step me jo signon password banaya tha usko enter kar de.
- Abhi fir se aap ek new signon password bana le aur usko “New Signon Password” wale box me enter kar de.
- Dubara se new signon password ko “Confirm Signon Password” wale box me enter kar de.
- Iske neeche me aapne pichle step me jo transaction password banaya tha usko enter kar de.
Sare details ko enter karne ke baad “Submit” button par click kar de.
STEP 6
Ab aapke saamne ek pop-up aayega uske “OK” button par click kare.
Yeeeee yaha aapko bob internet banking activation and first time login ka process complete ho jayega.
Ab aap apne net banking me login karke isko use karna start kar sakte hai.
Bank Of Baroda New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare?
Bank Of Baroda Internet Banking Login Process
Aapne net banking me login karne ke liye bob internet banking ke official wedsite bobibanking.com me aa jaye.
- Yah available options me se “Retail User” wale option ko select kare.
- Next page me apna user id enter kare aur “Enter” ko select kare.
- Ab right side me ek box aa jayega. Is box me apna bob bank account me registered mobile enter karke “Submit” ko select kare.
- Isi ke turant baad aapko ek message milega isme aaya hua otp ko enter karke “Submit” button ko select kare.
- Ab next page me apna signon password enter kar de aur “Login” button me click kare.
Isi ke saath aap apne net banking me login kar jayenge. Yaha se ab aap apne banking ke sabhi kaam online karna start kar sakte hai.
BOB Net Banking Registration, Activation & First Time Login Video Tutorial
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
- Bank Of Baroda Mobile Banking Online Registration Aur Activate Kaise Kare?
We hope aapko bob net banking registration. bob internet banking activation and how to login bank of baroda internet banking first time inke process achchhe se samajh me aa gaya hoga.
Agar abhi bhi aapka koi confusion hai to comment me likhe. Aur agar aapko madad is post se hua hai to isko “SHARE” bhi kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply