Dosto, Jab bhi kabhi ham koi information bhul jate hai to usse hane wale pareshani ko har koi janta hai, aur agar kabhi ATM PIN bhul jaye tab ki baat aur bhi buri hoti hai. Pahle mai bhi jab apna uco bank atm pin bhul jata tha to pareshan ho jata tha, lekin ab mai uco bank atm pin forgot / reset karna sikh gaya hu, isse ab mai turant apna new pin bana leta hu bina kisi pareshani ke.
Is post me mai khud jo uco bank atm pin recovery ka tarika istemal karta raha hu usi ke bare me detail se batane jaa raha hu. Agar aap bhi apna uco ATM PIN Forgot / Reset karna chahte hai to iska process agle 2 minute me sikh jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- UCO Bank Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call Ya SMS Se Kaise Kare?
- UCO Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Puri Jankari
UCO Bank ATM PIN Forgot Karne Ke Liye Jaruri Information
Is process ko karne ke time aapke paas 3 jaankariyo ka hona jaruri hai.
- Jis ATM Card ka PIN bhul gaye hai wo card.
- Aapka bank account me registered mobile number
- Aapka UCO bank account number
upar bataye chijo ko lekar aap kisi bhi uco bank ke ATM me chale jaye. Aage ka process wahi par karna padta hai.
UCO Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
Iske liye neeche ka process follow kijiye.
- Apna card uco bank ATM machine me “SWIPE” kar le.
- Ab language wala screen aa jayega. Isi screen me ek option “GREEN PIN” wala milega. Is option ko select kare.
- Ab 2 option aayega. Inme se abhi “GENERATE OTP” ko select kar le.
- Agle screen me aapko account number enter karne ko bola jayega. Yaha aap apna UCO Bank Account Number ko enter karke isi screen ke “PRESS IF CORRECT” ko select kare.
- Iske baad “Your Transaction Is Complete” likha hua aa jayega.
Isi ke saath UCO bank atm green pin generation ka Process pura ho jayega. Ab turant aapke mobile number par bank ki taraf se ek message aayega. Is message me 6 digit ka OTP likha hua rahta hai. Isi OTP ka use karke aap apna uco atm pin reset kar sakte hai.
Jab OTP wala message aapko aa jaye tab neeche ka process follow kare.
- Dubara se apna card ATM machine me “SWIPE” kare.
- Fir se “GREEN PIN” option ka select kare.
- Fir se 2 option aayenge. Abki baar inme se “VALIDATE OTP” ko select kare.
- Apna uco bank account number enter karke “PRESS IF CORRECT” ko press kare.
- Ab aapko OTP enter karne ke liye bola jayega. Yaha aapke message me aaya hua 6 digit green pin OTP ko enter kar de. Iske baad “PRESS IF CORRECT” ko click kare.
- Isi ke saath ab aapko “New PIN Enter” karne ka option de diya jayega. Yaha se aap apna uco bank atm pin reset kar sakte hai. Ab aap ek new pin soch le jo aapko yaad rah sake aur usko yaha enter kar de.
- Iske turant baad dubara se apna New PIN “Re-enter” kar de.
- Ab “YOUR TRANSACTION COMPLETE” likha hua aa jayega.
Jab screen me yah likha hua aa jayega iska matlab yah hai ki aapne apna uco atm pin reset kar liya hai.
Iske baad aap New PIN ka istemal karke us ATM card se koi bhi transaction kar sakte hai.
- UCO Bank Me Mobile Number Change / Register Kaise Kare?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi and English
Congratulations, aapne UCO Bank ATM PIN Forgot / Reset karne ka process sikh liya hai. Meri tarah aap bhi ab apna debit card pin bhulne par tension nahi lenge.
We hope aapke problem ko aasaan solution aapko mil gaya hai. Isliye is post ko “SHARE” jarur kare. Dhanyawad.
pradeep madasar says
thnx for help bro. i am looking fir this
Amit shrivastav says
I have forgotten the UCO bank ATM pin code, so how can I find it out?