Dosto, Jab bhi ham koi jaruri jankari bhul jate hai to usse related problem hame jarur hoti hai. Isi tarah agar ham apna ATM PIN bhul jaye to paresaniyo ka pahad tut padta hai. Pahle jab bhi mai apna Indian Bank ATM PIN bhul jata tha to kaphi problem hoti thi. Lekin ab mai indian bank atm pin forgot / Reset karne ka aasaan tarika jan gaya hu. Is tarike ko janne ke baad ab mujhe koi problem nahi hoti hai.
Mai Jo aasaan tarika use karta hu usi ke baare me is post me acche se batane ja raha hu. Agar aap bhi indian bank atm card pin bhul gaye hai to pareshaan mat hoiye agle 2 minutes me aap bhi apna atm pin / debit card pin forgot karna sikh jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Indian Bank New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
- HDFC Bank Mobile Banking Register And Activate Kaise Kare?
Indian Bank ATM PIN Forgot Karne Ke Liye Jaruri Information
Is aasaan tarike se apna indian bank debit card pin forgot / Reset karne ke liye aapke paas kuch jankariyo ka hona jaruri hai. Jaise-
- Indian bank account number
- Bank account me registered mobile number.
- Indian bank debit card jiska pin aap bhul gaye hai.
Aap upar bataye chijo ko lekar kisi bhi Indian Bank ATM me chale jaye. Iske baad neeche bataye process ko follow kare.
Indian Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
Iska process 2 bhaago me bataa hua hai.
- Indian Bank ATM PIN Generation (OTP Generation)
- OTP ka istemal karke ATM PIN Reset karna.
Chaliye ham in dono process ko bari – bari se detail me jaante hai.
1. Indian Bank ATM PIN Generation (OTP Generation)
- Kisi bhi indian bank ATM me jakar apna ATM card waha ke machine me “SWIPE” kar le.
- Iske baad Language wala screen aa jayega. Isi screen ke “Generate / Set PIN” wale option ko select kare.
- Agle screen me 2 option aa jayenge. Inme se “Generate OTP” ko select kare.
- Ab aapko Account Number enter karne ko bola jayega. Yaha aap apna Indian bank account number ko enter kar de aur isi screen ke “Correct” option ko select kare.
- Agle step me dubara se apna indian bank account number ko “Re-enter” karke “Correct” option ko select kare.
- Isi ke saath ATM screen me aapko aapka “Name, Account Number, Mobile Number” dikhaya jayega. Agar screen me dikhaya gaya detail sahi hai to “Confirm” ko select kare.
- Ab “OTP Generated (OTP received in registered mobile number)” likha hua aa jayega.
Yaha aapka 1st step pura ho jayega. Saath hi turant aapke registered mobile number me bank ki taraf se ek sms aa jayega. Is sms me aapko ek 6 digit OTP likha hua milega. Isi OTP ka use karke aap apna indian bank debit card PIN forgot kar sakte hai. Isliye jab aapko yah OTP wala message mil jaye to second step ke liye neeche bataya hua process kare.
Bank Of India Net Banking Online Registration / Apply Kaise Kare?
OTP Ka Use Karke Indian Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
- Message milne ke baad dubara se usi debit card ko “SWIPE” kare.
- Language wale screen se “Generate / Set PIN” ko select kare.
- Agle screen me 2 option ko select karna hai. Is baar inme se “Set PIN” ke option ko select karna hai.
- Isi ke saath aapko registered mobile number entre karne ko bola jayega. Yaha aap apna registered mobile number ko enter karke “Correct” option ko select kar le.
- Ab aapse OTP manga jayega. Yaha aapke SMS me aaya hua 6 digit OTP enter kar de uske baad “Correct” option ko select kare.
- Agle step me new PIN enter karne ka option mil jayega. Yaha se aap apne us indian bank ATM card ke liye new pin bana sakte hai. Ab aap koi new PIN soch le jo baad me yaad rah sake aur us New PIN ko enter kar de.
- New PIN ko verify karne ke liye aapko fir se New PIN “Re-enter” karne ko bola jayega. Yaha aap usi new pin ko dubara se enter kar de.
- Isi ke saath “Your PIN changed” Likha hua aa jayega.
Jaise hi atm screen me yah likha hua aa jaye to aap samajh lena ki aapka Indian bank ATM / Debit card PIN Forgot / Reset ho gaya hai. Iske baad abhi-abhi banaya hua New PIN hi aapka ATM PIN ban jayega.
Iska matlab yah hai ki New PIN ka istemal karke ab aap apna Indian bank ATM card ko use karna start kar sakte hai.
- Indian Bank Balance Enquiry Missed Call Se Kaise Kare?
- Bank Account Mobile Number Change Application Kaise Likhe? Hindi & English
Indian bank se relatd aur kon si jankariya aap jaanna chahte hai iske bare me hame comment karke jarur bataiye.
Agar is jaankari se aapka kaam aasaan hua hai to is post ko SHARE karke hamari madad aur bhi logon ka problem solve karne me kar sakte hai. Dhanyawad.
Dinesh says
Good . Detail me bataya hai step by step