Dosto, kisi karan se jab bhi ham koi jaruri information bhul jate hai to usse related pareshani hame jarur hoti hai. Isi tarah ham agar kabhi apna ATM PIN bhul jaye to hampar pareshaniyon ka pahad tut padta hai. Pahle mai bhi jab apna Axis bank ATM PIN bhul jata tha to pareshaan ho jata tha. Lekin ab mai Axis bank debit card pin forgot / reset karne ka aasaan tarika jaan gaya hu.
Mai jo aasaan tarika use karta hu usi ke baare me aaj is post me puri jankari detail me dene ja raha hu. Agar aap bhi apna Axis bank debit card pin bhul gaye hai to tension mat lijiye, agle 2 minute me aap bhi apna pin forgot / pata karna sikh jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Me Mobile Number Change Application Kaise Likhe? Hindi & English
- SBI Mobile Number Online Change Kaise Kare? Without Visiting Branch
Axis Bank ATM PIN Forgot Karne Ke liye Jaruri Information.
Is aasaan tarike se apna axis bank debit card pin forgot karne ke liye aapke paas apne bank account se related information ka hona jaruri hai. Jaise –
- Axis bank account me registered Date of Birth.
- Bank account me registered mobile number.
- Aapka axis bank ATM / Debit card.
Upar jo bhi chije likhi hui hai unko lekar kisi bhi axis bank ATM me chale jaye. Aage ka process wahi par karna padega. Iske baad neeche bataya process follow kijiye.
Axis Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
- Jis card ka pin aap bhul gaye hai usko axis bank ATM me “SWIPE” kar de.
- Iske baad Language wala screen aa jayega isme aapko jo language pasand hai usko select kar le.
- Ab aapke saamne bahut sare options aa jayenge inme se “Set New PIN” Ke option ko select kare.
- Iske baad aapko registered mobile number enter karne ko bola jayega. Yaha aapke axis bank account me registered mobile number enter kar de, aur “Press Yes” ko select kare.
- Ab agle step me Date of Birth enter karna padega. Apne date of birth ko DDMMYYYY ke format me enter kar de, Iske baad isi screen ke “Press Yes” ko select kare.
- Isi ke saath screen par “Enter Passcode” likha hua aa jayega.
Itna process karte hi aapke mobile me axis bank ki taraf se ek message aa jayega. Is SMS me 4 digit OTP likha hua milega. Yahi OTP aapka Passcode hai jisko ATM enter karne ko bol raha hai.
- Jaise hi aapko yah message mile to usme likha hua 4 digit passcode ko ATM me enter kar de.
- Ab aapko New PIN enter karne ka option mil jayega. Yaha apne ATM card ke liye koi bhi new pin soch le jo future me aapko yaad rah sake, taaki baad me fir se PIN bhulne ka dar na ho aur us New PIN ko enter kar de.
- Agle step me New PIN ko verify karne ke liye fir se Re-enter kar de.
- Jaise hi aap itna process pura karenge ATM screen me “Thank you, your Transaction was successful” likha hua aa jayega.
Jaise hi yah likha hua aa jaye to aap samajh lena ki aapka axis bank atm pin reset ho gaya hai. Iske baad abhi – abhi banaya hua New PIN hi aapka ATM PIN ban jayega.
To aapne dekha Axis Bank ATM PIN Forgot / Reset karna kitna aasaan hai. Hame ummid hai ki ab aapka tension khatm ho gaya hoga.
Aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” me bhi apne banking se related problems ka solution dhundh sakte hai aur apne banking ko aasaan bana sakte hai.
Isi tarah aur bhi log paresaan honge aap is post ko Social Media (Facebook, Whatsapp, Instagram) me SHARE karke unke tension dur kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply