Hamara manna hai ki abhi ke time me ab sayad hi koi person hai jisko ATM card / debit card ke bare me pata nahi hai. Ab bina in cards ke banking ke kamo ko kar pana muskil hai. Isliye aaj ke post me indian orerseas bank atm card apply karne ke complete process ke bare me detail se batayenge.
Kya aapko abhi tak apna card mila hi nahi hai??? ya purana card expired or blocked ho gaya hai???? Aap is tarah ke kisi bhi situation me ho chinta karne ki koi jarurat nahi hai. kyonki is post me indian overseas bank debit card apply karne ka pura jaankari milega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
Aap agle 2 minutes ke baad khud se apna new card apply karne ke liye bilkul taiyar honge.
Indian Overseas Bank ATM Card Apply Online Process.
Dosto, har koi chahta hai ki uska sabhi kaam ghar bhithe ho jaye. Aap bhi soch rahe honge ki yah kam agar online ho jata to achha rahta. Lekin abhi tak indian overseas bank debit card apply online karne ka koi bhi process available nahi hai. Aapke paas iob net banking and mobile banking hote hue bhi yah kaam online ghar baithe kar paana possible nahi hai.
Agar future me koi online process bank ne banaya to uspar bhi ham post jarur likhenge.
Indian Overseas Bank ATM Card Apply / Debit Card Apply Kaise Kare?
Chuki abhi tak iska koi bhi online process nahi hai isliye offline hi ek option bachta hai. Offline process me branch jana padta hai. Apna bank passbook, registered mobile number and other details ko lekar apne branch me chale jaiye. Waha jakar indian overseas bank atm card application form mang lijiye. Form milne
par isko dhyan se aur achchhe se fill up karna padega.
Indian Overseas Bank ATM Card Application Form Fill Up Process
Agar aapko yah form nahi mil raha hai to neeche ke link se download kar sakte hai.
“Indian overseas bank atm card application form pdf download link”
Is form ko fill up karna bahut aasaan hai.
- Sabse upar apna iob branch name and branch code likh de.
- Ab apna customer id enter kar de.
- Iske neeche apna name likhe. Yaha jo name likhenge wahi name card me print hokar aayega.
- Uske baad aapko “Residence Or Office Address” dono me se jis address me card ko mangwana hai usko fillup kar de.
- Ab apna account type ke box me tick karke apna iob account number mention kar de.
- Aapko new card chahiye ki replacement card uske box me tick kar de.
- Agar replacement card select kar rahe hai to purana card ka kya hua uske reason wale box me tick kar de.
- Aap kis address me card mangwana chah rahe hai usko tick kar de. And nationality ko specify kar de.
- Aapka card kewal domestic use ke liye rahega ki domestic & lnternational use ke liye usko tick kar de. Saath hi iske bagal me apna “Date Of Birth” DDMMYYYY ke format me likh de.
- Apna pan/gir no. likhe. Agar passport no and anual income likhna chah rahe hai to usko bhi mention kar sakte hai.
- Ab declaration ko padhkar iske neeche me apna name likhkar uske bagal me signature kar de. Agar joint bank account hai to sabhi ke name & signature hona jaruri hai.
Is tarah se aapka indian overseas bank atm card application form fillup complete ho jayega. Is form ko ab apne branch me submit kar sakte hai.
Aapke form ko submit karne ke 20-30 working days me aapke liye ek new card banakar usko aapke diye hue address me bhej diya jayega. Uske baad usko activate karke use karna start kar sakte hai.
Indian Overseas Bank ATM Card Apply Application Letter Writting
Kai baar branch jaane par yah form nahi milta hai. Is tarah ke situation me neeche ka letter likhkar bhi yah kaam karwa sakte hai.
To,
The Branch Manager
Indian Overseas Bank
Name Of Branch
Subject :- Application for apply a new ATM card / Debit card.
Respected Sir,
I ……(your name)…… holding a bank account number 1593****3951 ……(your iob account number)……customer id 12345678 (your iob customer id) in your branch ……(branch name )…… . I want to attract your attention that i have a lot of difficulty in money transactions and online transactions. So i want to apply a new ATM card.
I request you to issue a new ATM card for me as soon as possible, I will always be grateful for this.
Your Faithfully
Signature
Name :-
Customer Id :-
Account Number :-
Contact Number :-
Upar ke letter me bas aapko apne bank account se jude details replace karna padega. Jaise hi aap aisa karenge aapka indian overseas bank debit card apply application letter taiyar ho jayega.
Ab is letter ko likhne ke baad apna ek photo id proof ka xerox iske saath attach karke branch me submit kar dijiye. Aapke inko submit karne ke 20-30 working days me ek new debit card banakar aapke bank me diye hue address me send kar diya jayega.
- Bank Account Me Mobile Number Change Kaise Karwaye? 4 Sabse Aasaan Tarike
- ATM Card Expired Ho Gaya Ya Expired Hone Wala Hai New ATM Card Kaise Milega?
Jab aapko new card mil jaye to usko activate karke kisi bhi tarah ka transaction jaise- atm transaction, pos transaction, online transaction karna start kar sakte hai.
We wish you all the best for complete information of indian overseas bank atm card apply and debit card apply process in hindi.. Dhanyawad.
Leave a Reply