Hello Friends, Hamne kai baar apna Indian bank ATM card 3 times wrong PIN enter karke block karwaya hai. Hota ye hai ki Indian bank ATM PIN enter karta rahta tha. Jab aisa 3 times ho jata tha to wah indian bank ATM card block kar diya jata tha.
Mujhe lagta hai ki aapne bhi ye galti kar diya hai. Kya aapka Indian bank ATM card block ho gaya hai? Agar iska jawab “HA” hai to ye post specially aapke liye likha gaya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Indian Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Full Detail
- Indian Bank Balance Enquiry Number, Missed Call Se Balance Kaise Check Kare?
Is post me aapko wrong PIN se blocked indian bank ATM card unblock karwane ke 02 sabse aasaan tarike milenge. Inka istemal karke aap turant apne card ko unblock karwakar kisi bhi tarah ka transaction karna start kar sakte hai.
Indian Bank Debit Card Unblock Karwane Ke 2 Aasaan Methods
Iske liye neeche bataye dono methods available hai.
- Automatically indian bank atm card unblock karwana.
- ATM PIN generation ki sahayta se blocked indian bank debit card unblock karwana.
Iske liye aapko dono methods achchhe se janna hoga taki pata chal sake ki aapke liye kon sa method sutable rahega.
1. Automatically Indian Bank ATM Card Unblock Karwana.
Indian bank ne wrong PIN se blocked card ko automatically unblock karwane ke liye ek blocking period rakha hai. Ye blocking period 24 ghante hai. Yani agar 24 ghante tak us blocked card ko use na kiya jaye to wah apne-aap unblock kar diya jayega.
Wah iska matlab hai ki is method se apna indian bank atm card unblock karwane ke liye bas 24 hours tak wait karna padega. Iske baad aap original purane PIN se us card ko istemal karna start kar sakte hai.
Leking abhi bhi agar aapko apna original PIN yaad nahi hai tab aapke paas kewal iska 2nd method bachta hai jiska use karke apna indian baan debit card unblock karwa sakte hai.
2. ATM PIN Generation Se Blocked Indian Bank ATM Card Unblock Karwana.
Is 2nd methad ke liye apna indian bank account number, blocked card, registered mobile number ko lekar kisi bhi najdiki Indian Bank ATM Machine me chale jaye.
Aage ka process wahi par ho sakta hai jo neeche bataya ja raha hai.
- Apna blocked card “SWIPE” kar lijiye.
- Language wale screen se “Generate / Set PIN” option ko select kare.
- Aaye hue option me “Genetate OTP” ko select kare.
- Ab apna account number enter kar dijiye. Iske baad screen ke “Correct” par click kare.
- Dubara se apna indian bank account number Re-enter kar dijiye aur “Correct” ko click kare.
- Ab screen me aapka details dikhaya jayega. Agar screen me dikhaya gaya details sahi hai to “Confirm” ko select kare.
- Screen me “OTP Generated” likha hua aa jayega.
Iske baad turant aapke number me ek message aayega. Isi message me ek 6 digit ka OTP likha rahega. Jab yah message aa jaye to neeche bataye aage ka process kare.
- Apne usi card ko “SWIPE” kare.
- Fir se “Generate / Set PIN” ko select kare.
- Is baar screen me aaye option me se “Set PIN” ko Click kare.
- Ab apna registered mobile number pura enter karke “Correct” Ko click kare.
- Iske baad message me aaya hua 6 digit OTP enter kar de. OTP enter karke isi screen ke “Correct” ko select kare.
- Isi ke saath aapko ek new PIN banane ke liye ek accha sa 4 digit ka New PIN soch lijiye jo baad me yaad rah sake aur usko enter kar dijiye.
- Fir se Dubara New PIN “Re-enter” kar de.
- Isi ke saath screen me “Your PIN Changed” likha hua aayega.
Jab ATM me ye likha hua aa jaye to aap samajh lena ki wrong PIN se blocked indian bank ATM card unblock ho chuka hai. Abhi aapne jo New PIN banaya hai uska istemal kijiye aur koi bhi transaction kar lijiye.
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- Bank Account Me Mobile Number Register Application In Hindi & English
Waaaaw aapne to apne problem “how to unblock indian bank atm card / debit card blocked due to wrong PIN?” ke 2 solution seekh liya hai.
Aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” me bhi banking se related video tutorials dekh sakte hai aur banking se related bahut kuch seekh sakte hai.
Isi tarah se banking ko aasaan banate rahne ke liye hamare saath jude rahe. Dhanyawad.
Leave a Reply