Dosto, Jab bhi ham koi jaruri information bhul jate hai to usse related paresani hame jarur hoti hai. Aur agar kabhi apna ATM PIN bhul jaye to iski baat hi mat kijiye paresaniyo ka pahad tut padta hai. Pahle mai bhi jab apna icici bank atm pin bhul jata tha to kafi paresaan ho jata tha. Lekin ab mai ICICI bank ATM PIN Forgot / Reset karne ka aasaan tarika jaan gaya hu.
Mai jo aasaan tarika use karta hu usi ke bare me is post me detail se batane ja raha hu. Agar aap bhi apna icici atm pin bhul gaye hai to tension mat lijiye agle 2 minute me aap bhi apna atm pin reset karna seekh jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- ICICI ATM Pin Generate & Activate Kaise Kare? Through ATM Machine
- SBI Net Banking Online Ghar Baithe Activate / Registration Kaise Kare?
ICICI Bank ATM PIN Forgot Karne Ke Liye Jaruri Information.
Is aasaan tarike se apna icici debit card pin forgot karne ke liye aapke paas kuch information ka hona jaruri hai, Jaise –
- ICICI ATM Card.
- Bank account me Registered Mobile Number.
- ICICI Bank account me Registered Date of Birth.
Aap upar bataye information ko lekar kisi bhi ICICI ATM me chale jaiye. Iske baad neeche bataye process ko follow kijiye.
ICICI Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
Iske liye jo process hai wo 2 bhago me bata hua hai.
- ICICI ATM PIN Generation (OTP Generation)
- OTP ka use karke ATM PIN Reset karna
Chaliye ham in dono process ko bari – bari se jaan lete hai.
1. ICICI ATM PIN Generation (OTP Generation Process)
- Aap jis ATM card ka pin bhul gaye hai usko icici ATM Machine me “SWIPE” kar le.
- Iske baad language wala screen aa jayega isi screen me ek option “Generate ATM PIN” milega, Is option ko select kare.
- Agle screen me 2 options aa Jayenge. Inme se “Generate OTP” ko select kare.
- Ab aapko registered mobile number enter karne ko bola jayega. Yaha aapke icici bank account me registered mobile number ko enter karke isi screen ke “Yes” button ko select kare.
- Isi ke saath ab date of birth enter karne ko bola jayega. Yaha apna DOB “DDMMYYYY” ke format me enter karke “Yes” ko select kare.
- Itna process karte hi “Thank you your OTP has been sent on your Registered Mobile Number” likha hua aa jayega.
Yaha aapka first step complete ho jayega. Saath hi turant aapke Reg. mobile number me bank ki taraf se 1 SMS aa jayega. Is sms me aapko 6 digit ko OTP likha hua milega. Jab aapko yah OTP wala message mil jaye to second step ke liye neeche ka process follow kare.
2. OTP Ka Use Karke ICICI Bank ATM PIN Forgot Karne Ka Process
- SMS milne ke baad dubara se usi card ko ATM machine me “SWIPE” kare.
- Language wale screen se “Generate ATM PIN” ko select kare.
- Agle screen me 2 option aayega. Inme se “Already have OTP Generate ATM PIN” ko select kare.
- Ab OTP enter karne ko bola jayega. Yaha aapke message me aaye 6 digit OTP ko enter kar de aur “Yes” jo select kare.
- Agle step me aapko New PIN Enter karne ka option mil jayega. Yaha se aap apne us ICICI ATM Card ke liye new pin bana sakte hai. Ab aap koi 4 digit ka new PIN Soch le Jo baad me yaad rah sake taki baad me fir se pin bhulne ka dar na ho aur usko enter kar de.
- New PIN ko verify karne ke liye fir se aapko New PIN Re-enter karne ko bola jayega. Yaha aap usi new pin ko dubara se enter kar de.
- Isi ke saath “Your PIN has successfully changed” likha hua aa jayega.
Jaise hi ATM screen me yah likha hua aa jaye to aap samajh lena ki aapka kaam ho gaya hai, Iske baad New PIN hi aapke ICICI ATM PIN ban jayega.
- Wrong PIN Se Blocked ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
- UCO Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Iska matlab yah hai ki is new pin ka use karke ab aap apne ATM card ko istemal karna start kar sakte hai.
ICICI Bank ATM PIN Forgot / Reset karne ka yah aasaan tarika aapko kaisa laga Comment box me likhkar bataiye.
Agar is post se aapka kaam aasaan hua to ise SHARE Karke hamari madad aur logo ka problem solve karne me kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply