Dosto, ATM PIN bhul jane ke baad jin pareshaniyo ka saamna karna padta hai uske bare me har person jaanta hai. Pahle ham bhi jab apna hdfc bank atm pin bhul jate the to pareshan ho jate the. Lekin ab aisa nahi hota hai. Kyoki hamne hdfc bank atm pin ko forgot / reset karne ka aasaan tarika dhundh nikala hai.
Is post me ham khud jo hdfc bank atm pin reset karne ka aasaan tarika use karte hai uske bare me step-by-step batane ja rahe hai. Agar aap bhi apna hdfc bank debit card pin forgot / reset karna chahte hai to agle 3 minute me sikh sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- HDFC Bank Mobile Banking Register & Activate Kaise Kare?
- [HDFC] Quick Access PIN Forgot / Reset Kaise Kare ? HDFC MobileBanking
HDFC Bank ATM PIN Reset Karne Ke Liye Jaruri Information.
Is process ko karne ke time aapke paas kuch chijo ka hona jaruri hai. Jaise-
- Aap jis card ka pin bhul gaye hai wo ATM / Debit card.
- Aapke bank account me registered mobile number.
Agar aapke paas ye chije hai to aap puri tarah taiyar hai.
HDFC Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
Is kaam ke liye bas aapko ek SMS type karke rakhna rahta hai.
Is SMS me sabse pahle aap capital letter me “REPIN” type kijiye, Iske baad ek space dekar apne card ke number ka “Last 4 digit” type kar dijiye.
Format:- REPIN <space> Last 4 digit of ATM Number
Example:- REPIN 1234
Is tarah se typed message ko apne registered mobile number se 5676712 me bhej dijiye. Is SMS ko bhejne ke thodi der ke baad aapko bank ke taraf se ek SMS milega jisme 6 digit OTP likha hua rahega.
Isi OTP ke sahayta se aap apne HDFC ATM Card ka pin reset kar sakte hai. Iske liye is SMS ke aane ke baad apna SMS registered mobile number aur card ko lekar kisi bhi HDFC ATM Machine me chale jaye. Aage ka process whi par kiya ja sakta hai.
Green PIN OTP Se HDFC Bank ATM PIN Forgot / Reset Karna
Iske liye neeche ka process follow kijiye.
- Apne card ko waha ke ATM Machine me “INSERT” kar de.
- Ab Language wale screen se “Input Your One Time Password To Create The New ATM PIN” ko select kare.
- Agle screen me aapko OTP enter karne ko bola jayega. Yaha aapke message me aaye hue OTP ko enter karke “Correct” par click kare.
- Ab aapko Registered Mobile Number manga jayega. Yaha apna registered mobile number enter karke “Correct” ko select kare.
- Isi ke saath aapko new PIN banane ka option mil jayega. Yaha aap apne card ke liye koi bhi New PIN soch lijiye jo aapko baad me yaad rah sake aur usko enter kar de.
- Iske turant baad apne New PIN ko Re-enter yani dubara se enter kar de.
- Isi ke saath ATM screen me “Your PIN Has Been Changed” likha hua aa jayega.
Jab aap itna process complete kar lenge to aapka hdfc bank atm pin reset ho jayega. Yaha ke baad aap ab us card se koi bhi transaction kar sakte hai.
- HDFC Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
- HDFC New ATM Pin Generate & Activate Kaise Kare?
Hame aasha hai ki aapko yah HDFC Bank ATM PIN Forgot / Reset karne ka process aasaani se samajh me aa gaya hoga.
Ye post ab khatam hota hai. Lekin is website me aapko aur bhi bahut sare jankariya mil jayengi jisse aapka banking aasaan ho sakta hai. Dhanyawad.
Amir khan says
ATM ka pin banana hai
Amir khan says
ATM pin generate karna hai