Kya aap Bank Of Baroda (BOB) ke customer hai ? aur Bank Of Baroda me Mobile Number Register karwana chahte hai ? ya Bank Of Baroda me Mobile number change karwana chahte hai ? to aap sahi jagah par aaye hai, kuki is post me aapko iske baare me detail me jaankari mil jayegi.
Bank Of Baroda Me Mobile Number Register Kyon Karwaye ?
Dosto, agar aapko pata nahi hai ki mobile number registered hone ke kya benefits hote hai to mai neeche kuch benefits de raha hu.
- Isse aap apne BOB Bank Account se related balance enquiry, mini statement and aur bhi bahut sari jankari ghar baithe le sakte hai.
- Agar aap BOB Net Banking, BOB mobile banking se ya kahi bhi BOB ATM Card se payment karna chahte hai to aapke paas registered mobile number hona jaruri hai. Kyoki registered mobile number me hi OTP aata hai.
- Agar aapke BOB Account me kisi tarah ki gadbadi hogi to aapke registered number me usse related SMS Alert aa jayega jisse aap savdhaan ho sakte hai.
Iske aur bhi kaai tarah ke benefits hai. Isliye agar aapne abhi tak bank of baroda me mobile number registered nahi karwaya hai to jitni jaldi ho sake karwa lijiye.
Ya agar aapka purana registered mobile number kisi kaaran se aapke paas nahi rahta hai to usko change karwa lijiye.
Bank Of Baroda Me Mobile Number Register / Change Karwane Ke Tarike
Aise to aap bank of baroda me mobile number kai tarah se register ya change karwa sakte hai . jaise –
- BOB ke kisi bhi branch se,
- Bank Of Baroda net banking se,
- Bank Of Baroda mobile banking se
Lekin ham jante hai ki sabhi ke paas net banking aur mobile banking nahi rahta hai. Isi kaaran se ham is post me aapko iske pahle tarike yan BOB ke kisi bhi branch se mobile number register ya change karwane ke process ko batayenge.
Inhe Bhi Janne :-
- BOB New ATM Card Ka PIN Generate And Activate Kaise Kare ?
- ATM Card Expired Ho Jane Par New ATM Card Kaise Milega ?
Bank Of Baroda Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare ?
Dosto, bank of baroda ke kisi bhi branch se yah kaam karwana bahut hi aasaan hai. Jab aap is kaam ke liye BOB branch me jayenge to waha ke employees aapko mobile number change form de denge.
Aapko is mobile number Registration / Change form ko achhi tarah se fill up karna padega.
Bank Of Baroda Me Mobile Number Change Form Fill Up
Aap is form ko neeche ke image me dekh sakte hai . Isi form ko aapko fill up karna hai. Ise Fill Up karna bahut hi aasaan hai.
- Aap is form me sabse upar us branch ka name likh de jis branch me isko jama karna chahte hai.
- Ab aap apne BOB bank account ka Customer Id ko likh de.
- Iske neeche me aap apne name ko iske boxes me likh de.
- Iske baad apne Date Of Birth jo bhi hai usko DDMMYY format me likh de.
- AB aap apna Aadhaar number and PAN number jo bhi hai unko fill up kar sakte hai.
- Iske baad apna BOB base branch yani Bank Of Baroda ke jis branch me aapka account hai us branch ka name likh de.
- Inke neeche me aapko apne mobile number likhne ka options mil jayega. Iske upar wale option me apna existing mobile number jo abhi tak registered tha usko likhna hai.
- Iske neeche me aap ab jo apna New Mobile Number registered karwana chahte hai usko likh dijiye.
- Ab aapko is mobile number ko change karne ka kya reason hai wah likhne ka jagah mil jayega. Yahan aapka jo bhi kaaran hai usko likh de.
- uske neeche me apko communication address jo bhi aapka hai usko fill up kar dena hai.
- Ab baari aati hai signature ki . Yaha aapke BOB account me jis tarah ka aapka Signature hai usi tarah ka signature kar de.
- Signature ke neeche me aap jis date ko is form ko jama karenge us date ko likh de.
Bas aapko iske baad aur kisi bhi option ko touch nahi karna hai kuki wo Bank Use ke liye hote hai. Bas yah BOB me mobile number registration form fill up ho jayega.
Iske baad aap is form ke saath apna Aadhaar Card ka xerox attach kar de. Ab in dono ko BOB branch me jama kar de. Aapke is form ko jama karne ke baad us mobile number ko aapke BOB Bank account ke saath link / registered kar diya jayega.
Jab yah process complete ho jayega to aapke new number me Bank Of Baroda ki taraf is ek confirmation message bhi aayega. Jab aapko yah Confirmation message aa jaye to samajh lena ki aapka new number registered ho gaya hai.
How To Register / Change Mobile Number In Bank Of Baroda Bank Account ? Detail Hindi Video Tutorial
- ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Karne Ke 2 Aasaan Tarike.
- BSBD Bank Account Ke Features, Benefits & Charges Ki Jaankari.
Bank Of Baroda Me Mobile Number Registration Ke Liye Application Likhna
Kabhi kabhi ham jab iske liye branch me jate hai to hame bola jata hai ki abhi mobile number registration form available nahi hai. Is condition me aap ek plane pepper me chota sa application bhi likh sakte hai.
Chaliye ab mai bata deta hu ki aap application kaise likhenge. Mai iske liye neeche ek sample application likh raha hu isme aap apne detail fill kar de.
सेवा में ,
श्री मान शाखा प्रबंधक महोदय
बैंक ऑफ बडौदा ( ब्रांच का नाम )
विषय :- मोबाइल नंबर रजिस्टर करवाने हेतु / मोबाइल नंबर बदलने हेतु
महाशय ,
मेरा नाम ( आपका नाम ) है | मेरा बैंक अकाउंट कस्टमर आईडी ******** ( आपका कस्टमर आईडी नंबर लिख दें ) और अकाउंट नंबर ****-****-**** ( आपका अकाउंट नंबर लिख दें ) है | मेरा पुराना मोबाइल नंबर इस इस अकाउंट में रजिस्टर्ड था वो +91********** (अपना पुराना नंबर लिख दें ) और मेरा नया मोबाइल नंबर 91********** ( आपका मोबाइल नंबर लिख दें ) है | मै अपने इस नए मोबाइल नंबर को अपने बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करना चाहता हूँ | मै अपना आई.डी. प्रूफ इस आवेदन के साथ जमा कर रहा हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है की मेरे इस नए मोबाइल नंबर को मेरे बैंक अकाउंट के साथ रजिस्टर करने की कृपया करें |
आपका विशवासी
Signature
Name :-
Customer Id :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Yaha par meine ek sample application likhakar aapko bataya hai . Aap chahe to isme apne hisaab se badlaw kar sakte hai aur isko aur bhi achchhe se likh sakte hai.
Jab is tarah se aap application likh lenge to iske saath apna Aadhaar Card ka photo Copy laga de. Iske baad is application aur aadhaar card ke photo copy ko BOB ke kisi bhi branch me jama kar de.
Iske baad us mobile number ko aapke BOB Bank account ke saath registered kar diya jayega. Saath hi jab yah process complete ho jayega to aapke new number me Bank Of Baroda ki taraf is ek confirmation message bhi aayega.
Jab aapko mobile number registration ka Confirmation message aa jaye to samajh lena ki aapka number registered ho gaya hai.
To aapne dekha ki kitni aasaani se app BOB ke kisi bhi branch se Bank Of Baroda me mobile number register ya change karwa sakte hai. Mujhe ummid hai ki is Post se aapko laabh hoga aur is topic par aage se aapko koi pareshani nahi hogi.
Inhe Bhi Jaane :-
- Wrong PIN Se Block Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare ?
- ATM PIN Time-Time Par Change Kyo Karte Rahna Chahiye ?
Is jaankari ka laabh aapke Friends, Family Member bhi le sakte hai iske liye aap Is Post ko unko SHARE kare. Apne Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me ise SHARE karke aap 1 saath bahut saare logo ki madad kar sakte hai. Dhanyawad
Sunar Singh Bisht says
Mobile namber in update bank of baroda
EMB Team says
Is post me maine bob mobile number update karne ka process bataya hai ise acche se padhe.
Abhishek says
Online method se number change jaise hoga
EMB Team says
Abhi online method nahi hai, aapko is post me bataye gaye method se hi karna padega.
Harishnker damor says
Mere nober bank of broda me verify krna he
EMB Team says
Is post me batayae method ko follow kare.
Rinku says
Sir jaisa ki mera bank up ka hai to mai delhi me no cheng from kisi bhi bank me jama kar sakta hu
Suraj Kumar says
Aap BOB ke branch me jakar pata kar lijiye, agar wo karenge to Mobile Number change ho jayega.
Satyam says
Mobile no. registered kaise kare
Suraj Kumar says
Is post ko acche se padhe.
ADV. raju dhakna says
Absultly Right
Deepak says
Ghar bethe kar skte bob me mobail nambar rjistar
Suraj Kumar says
Agar hoga to hum iske upar ek alag se post likh kar post karne ki kosis karenge.
Golu bhaiya says
Monday ko pata karta hu
s.parmar says
bhai is branch me apna ac hai usi branch me jana padega koi bhi branch me nhi ja skte bhai apki ye bat galat hai is bat ko bank wale ne khud kaha hai aur yaha tak li bank ke custmoer care me bhi kaha hai
Deepika Pandey says
Sir ,mai apna pin Kaiser pta kru
Suraj Kumar says
Aap apne bank ka naam bataiye tab hum aapko perfect suggestion de payenge
Kapil Bunker says
B o b A/C me apna no. Rejissted kiya huaa mobile no. Pta nhi Hai to Change karna ka upaye btaiye
Suraj Kumar says
Agar aapko apna BOB Registered Old Number pata nahi hai to apne branch me jakar isi Form ko fill up karke jama kar dijiye aur Old Number wala box khali chod dijiyega. Jab aap ye form jama karenge to waha ke employees ko apna problem bata dijiyega wo aapka New Number registered kar denge.
LAL SINGH says
SIR MAI BOB KAI KISI BHI BANK MAI JAKE WITHDROW SLIP BHAR KAI PESA NIKAL SAKTA HU
Suraj Kumar says
Nahi
Anuj Srivastav says
Kya sir hmobile number kisi b branch m krwa kkte hain
Suraj Kumar says
Yes, aap Bank of Baroda ke kisi bhi branch se apna mobile number register ya change karwa sakte hai.
Golu bhaiya says
Monday ko jata hu bhiwadi haryana branch me dekhta hu karte hai ki nahi mera acount up ke branch me hai
Rahul says
शुक्रिया sir आपका बहुत बहुत आभार बैंक से जुड़ी महत्वपूर्ण जानकारी देने के लिए। यूँ ही ज्ञान देते रहिये। धन्यवाद
Suraj Kumar says
हमारा मनोबल बढाने के लिए आपका बहुत-बहुत धन्यवाद.
Rahul Kumar says
Mera number kho gaya hai our Mai Gujarat me hu mera khata up me khula hai mai apna new number kai se jodu please help me
Sumit Rock says
क्या मैं अपना मोबाइल नंबर अपने फोन से चेंज नहीं कर सकता अगर मेरे मोबाइल से हो जाए तो मुझे उत्तर प्रदेश नहीं जाना पड़ेगा मैं गुजरात में हूं मुझे जानकारी दो कैसे होगा
Suraj Kumar says
Aisa aap nahi kar sakte sumit ji.