Agar aap apne Bank of Baroda ATM PIN bhul gaye hai aur aap ise Forgot / Reset karna chahte hai to is post ko ant tak jarur padhe kyonki maine is post me bataya hai ki aap kaise apne Bank of Baroda ATM PIN ko Forgot / Reset karke dubara naya pin set kar sakte hai aur iske baad us atm card ko use karna start kar sakte hai.
Abhi ke samay me hamare paas bahut saare accounts, cards, wallets, etc, ho gaye jis kaaran se hum kayi baar apne accounts, card, ya aur kisi bhi chiz ka password ya PIN bhul jate hai aur phir jab hame uski jarurat padti hai to hum paresaan ho jate hai aur uske baad hame bahut saari paresaniyo ka bhi samna karna padta hai.
Agar aap is problem ko face kar rahe hai to is post ko ant tak jarur padhe.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Of Baroda Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
- Punjab National Bank ATM Green Pin Generate & Activate Kaise Kare?
Bank Of Baroda ATM Pin Forgot / Reset Karne Ke Liye Jaruri Information
Agar aap apne ATM / Debit Card ka Pin forgot ya reset karna chahte hai to iske liye aapke paas kuch Information ka hona jaruri hai, jo neeche di gayi hai.
- Aapke Bank Of Baroda ka Account Number,
- Aapke Bank Of Baroda ka ATM Card, aur
- Bank Of Baroda Registered Mobile Number
Agar aapke paas upar ki chize hai to aap taiyar hai apne Bank of Baroda ATM PIN Forgot / Reset karne ke liye, ab chaliye hum iske process ko detail me jaan lete hai.
Bank Of Baroda ATM PIN Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
Dosto yah process kaafi aashan hai, kewal aapko neeche bataye gaye steps ko follow karna hai.
- Sabse pahle upar bataye gaye sabhi information ko lekar aap kisi bhi Bank of Baroda ke ATM me chale jaye.
- Ab aap waha ke ATM Machine me aap jis BOB ATM Card ka Pin Forgot / Reset karna chahte hai use “Swipe” kar le.
- Iske baad aapko atm screen par kuch “Language” dikhai jayegi, to aap aage ke options jis bhi language me dekhna chahte hai use Select kar le.
- Agle screen me aapke saamne 2 Options aayenge, inme se aap “Set/Regenerate Pin” ko Select kar de.
- Iske baad aapse aapke Bank of Baroda ka 14 Digit Account Number Daalne ke liye bola jayega, yahan par aap apne BOB Account Number ko enter kar de aur wahi par right side me diye gaye “CORRECT” ke option ko select kare.
- Agle screen me aapko phir se aapke BOB Bank account Number ko Re-enter karne ko bola jayega, yahan par aap apne Bank of Baroda Account number ko phir se enter kar de aur “CORRECT” ke option ko select kar de.
- Ab next screen me aapse aapke Bank of Baroda Account me Registered Mobile Number enter karne ko bola jayega, yahan par aap apna Registered mobile number daal de aur “Press If Correct” ke option ko select kare.
Itna process karne ke baad aapke Bank of Baroda Registered Mobile Number me turant ek SMS aayega jisme ek OTP diya hua hoga, isi OTP ki madad se aap apne Bank of Baroda ATM PIN ko reset kar payenge.
- Jab aapke mobile me OTP aa jaye to yahan par us OTP ko enter kar de aur “Press If Correct” ke option ko select kare.
- Jaise hi aap OTP daal denge aapka mobile number aur OTP dono hi verify ho jayega, saath hi agle screen me “Please enter your new PIN” likha hua aa jayega, matlab ki aapko apke ATM Card ke liye new pin daalne ko bola jaa raha hai. Yahan par aap jo bhi 4 digit ka pin rakhna chahte hai use daal de.
- New PIN daalte hi aapse dubara usi pin ko re-enter karne ko bola jayega, yahan par aap phir se same to same usi pin ko daal de jo abhi abhi aapne pichle step me daala tha.
- 2 baar new pin daalte hi aapke saamne “PIN Changed Successfully” likha hua aa jayega, iska matlab hai ki aapke BOB ATM Card ke liye new pin jo abhi abhi aapne dala tha use set kar diya gaya hai aur ab aap is pin ka use karke apne atm card ko future me use kar payenge.
Ab mujhe aasha hai ki agar aap future me apne Bank of Baorda ATM Pin ko bhul jaate hai to ise aap khud se forgot / reset kar payenge aur uske baad apne BOB ATM Card ko phir se use karna shuru kar payenge, aur aage aapko isse related koi dikkat nahi hogi.
- Bank of Baroda Mobile Banking Registration Aur Activate Kaise Kare?
- SBI ATM PIN Bhul Jane Par Ise Forgot / Reset Kaise Kare? Without Visiting Branch
Kya aapne abhi tak hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe nahi kiya hai? to abhi turant SUBSCRIBE kijiye aur hamare saath apne Banking ko aasaan banane wale Videos ke Notification FREE me pate rahiye.
Agar aapko is post ya website se related kisi tarah ki Question ya Suggestion hai to aap hame Comments me bata sakte hai, hum aapko jaldi se jaldi reply dene ki kosis karenge.
Apne Friends, Family Member ki madad karne ke liye is Post ko unke sath SHARE karna bilkul na bhule, Saath hi Social Media (Facebook, WhatsApp, Twitter…etc) me Share karke aap ek saath bahut saare logo ki madad kar sakte hai.
Vikas kumar says
Sar main apna ATM ka pin number bhul Gaya Hun mujhe naya pin number chahie
EMB Team says
Is post me bataye gaye process ko follow kare aapko aapke atm card ka naya pin banane ka option mil jayega jisse aap apne atm / debit card ka naya pin bana sakte hai.
Md azad alam says
Mera abhi tak atm card nahi aaya h akhir kyu mera name md azad alam h or ise namese ATM h
Suraj Kumar says
aap apne branch me jakar complain kijiye.