Dosto aapka swagat hai “Explain Me Banking” ki duniya me. Yaha ham aapke banking ko aasaan banate hai. Aaj ke digital world me bank ke kisi bhi kaam ko karna aasaan hota jaa raha hai. Isme sabse bada condition yah rahta hai ki aapke bank account me mobile number register rahna chahiye. Bina registered mobile number ke aap digital banking and security ka benefits nahi le sakte hai.
Waise to is website me lagbhag sabhi banko ke mobile number register / change karwane ka pura process aapko mil jayega. Lekin hamare kuch subscribers ne hamse is kaam ke liye kitne option available hai uske baare me ek alag se post ka dimand kiya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
Isiliye is post me ham bank account mobile number register karwane ke available sabhi 4 aasaan methods ke baare me batayenge. Pahle is post ko pura padhe uske baad jo aasaan lage usko follow karke apne account me mobile number change / register karwa lijiyega.
1. Bank Account Me Mobile Number Register Karwana Through Branch.
Dosto sabse pahle hame yahi ek option diya gaya tha. Yah sabse purana aur kuch condition me aasaan tarika bhi hai.
Harek bank branch se mobile number register / change karwane ke 2 tarike available karwata hai.
(1) Branch Se Bank Account Me Mobile Number Register Karwana Through Form
Harek bank ka apna-apna mobile number registration form rahta hai. Isse is kaam ko karwane ke liye neeche ka step follow kare.
- Apne branch me visit kare.
- Waha ke employees se bank account mobile number registration form mang le.
- Ab is form ka achchhe se bhare. Isme apna bank account and mobile number dhyaan se likhe.
- Isi bhare hue mobile number registration form ko branch me jama kar de.
- Is form ke jama / submit karne ke 3-4 working days me aapka number register ho jayega.
Ho sakta hai iske saath ek id proof manga jaye. Isiliye apna ek id proof ka xerox lekar jaye.
(2) Application Likhkar Bank Account Me Mobile Number Register Karwana
Hamne dekha hai ki kai baar yah form nahi rahne par application likhkar jama karne ko bola jata hai. Iska process ke liye neeche ka step follow kare.
- Sabse pahle ek page me branch manager ke name par bank account mobile number registration ke liye application likh le. Iske complete information ke liye neeche ka video dekh sakte hai.
- Is letter ko lekar branch me jaye. Aur waha is application ko submit kar de.
- Application jama karne ke 2-5 dino ke andar number register kar diya jata hai.
Ye dono process branch me jakar hi kiya jaa sakta hai. Ab badhte hai aise tariko ki taraf jo isse bhi easy ho sakte hai.
- SBI Mobile Number Registration Application Kaise Likhe? Hindi & English
- BOI Mobile Number Registration Application In Hindi & English
Bank Account Mobile Number Register Application In Hindi, Video Tutorial
2. Bank Account Mobile Number Register Through ATM Machine
Yah process sabhi bank ke paas nahi hai lekin bank abhi ye service available karwa rahe hai. Process-
- Apne bank atm card and bank account ke details ko lekar bank ke ATM Machine me chale jaye.
- Apna card “SWIPE” kare.
- Language select kare.
- Apna ATM PIN enter kare.
- Ab aapko kuch steps follow karne padenge. Ye steps sabhi banko ka alag-alag hota hai. Isme mobile number update ke option me jaye.
- Apna New Mobile Number enter karke steps ko follow kare.
- Kuch steps ko follow karke process ko complete kare.
- Ab Mobile Number Registeration Successful ka message aa jayega.
Agar aapka bank yah process deta hai to aapke liye yah aasaan ho jayega. Aur 48 hours me aapka yah kaam ho jayega.
- OBC Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Through ATM Machine
- Axis Bank Mobile Number Register / Change Through ATM Machine
3. Bank Account Me Mobile Number Register Karwana Through Internet Banking
Abhi ke time me ab ye kaam aap ghar baithe bhi kar sakte hai. Iske liye aapke paas internet banking hona jaruri hai.
- Apne bank ke net banking ke secured website me jaye.
- Apna net banking username and password se isme login kare.
- Isme “Mobile Number Update” wale option ko dhundhe. (alag-alag bank ke net banking me yah option alag-alag jagah par hota hai). Is option ko dhundhkar isme click kare.
- Iske aage ka process follow kare, Apna New Mobile Number, Confirmation ke liye OTP ye sabhi information ko enter karte hue steps ko complete kare.
- Iske baad your mobile number registration successful ka message aa jayega.
Is process ko pura karne ke 24-48 ghante ke andar aapka mobile number bank account me register kar diya jayega.
4. Online Bank Account Me Mobile Number Register Karwana Through Mobile Banking
Yah online mobile number update karwane ka sabse latest tarika hai. Isme aap apne mobile se hi yah kaam ghar baithe karwa sakte hai. Bas aapke pas mobile banking hona jaruri hai. Agar aapka bank yah service provide karwata hai to neeche ka process follow kare-
- Apne bank ke mobile banking app ko open kare.
- Mobile banking app me apna username aur password ya easy pin enter karke login kar le.
- Ab “Mobile Number Update / Change” is tarah ka option dhundhe. (alag-alag bank mobile banking app me yah option alag-alag jagah par provide karwaya jata hai.). Is option ko dhundhkar click kare.
- Apna New Mobile Number enter kare.
- Confirmation ke liye dubara se new number enter karke process ko aage badhaye.
- Verification ke liye aaye One Time Password (OTP) ko enter kare.
- Aage ke steps ko complete kare.
Jab aapka yah process complete ho jayega uske 24-48 hours me new mobile number apke account me add (update) kar diya jayega.
Bank Account Me Mobile Number Register Kaise Karwaye? Video Tutorial
Mazzzzzaaa aa gaya na??? aapke man me jo sawal the… “how to register mobile number in bank account? bank account me mobile number registration ke kitne tarike hai?” inke jawab aapko mil gaye hai.
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
- ATM Card Expired Ho Gaya Ya Expire Hone Wala Hai New ATM Card Kaise Milega?
Dosto ab aap in 4 me se jisse chahe apne account me mobile number register karwa sakte hai.
Is tarah ke banking ko aasaan banane wale video tutorial dekhne ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko jarur se SUBSCRIBE kare. Dhanyawad.
Suleman says
Phone number link karvana hai
Team EMB says
Is post ko acche se padhe.
Bunti says
Namber register karwana hai
EMB Team says
Is post me bataye gaye kisi bhi ek process ko follow kariye, aapka mobile number change kar diya jayega.