Dosto, Hame ummid hai ki aapko pata hoga ki abhi ke samay me mobile number hamare bank account me registered hona kitna jaruri hai. Isliye harek bank apne account holders ko safe banking tips me mobile number hamesha updated rakhne ki salah deta hai. Axis bank bhi apne customers ko apne Axis bank mobile bumber registered karwakar rakhne ki salah deta hai.
Bahut sare logon ko lagta hai ki apna mobile number axis bank me register ya change karwana bahut mushkil wala kaam hai. Isliye jab unka registered number kho ya band ho jata hai to apna new number bank me update karwane se darte hai.
Inhe Bhi Janne:-
- Axis Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
Is post ko padhne ke baad aapka yah dar khatam ho jayega. Axis bank me mobile number change karwana bahut aasaan hai. Aisa mai kyo bol raha hu uske bare me aapko is post ke last tak pata chal jayega.
Axis Bank Mobile Number Register / Change Karwane Ke Tarike
Axis bank kuch gine chune banko ki tarah mobile number update karwane ke kai tarah ke option provide karta hai.
- Mobile number change through ATM machine.
- Branch se offline apna mobile bumber registration karwana.
- Axis bank mobile number online register / change karwana through net banking.
Inme se iska pahla wala method yani Axis bank atm machine se mobile number register / change karwana sabse aasaan hota hai. Isliye is post me ham aapko isi method ko step-by-step batane ja raha hu.
Axis Bank Me Mobile Number Change / Register Karwana Through ATM Machine. Complete Process
Iske liye apna Axis bank ATM card lekar kisi bhi Axis ATM me chale jaiye. Iske baad neeche bataya hua process follow kijiye.
- Waha apna card ATM machine me “SWIPE” kar le.
- Ab Language wala screen aa jayega. Yaha se apne pasand ka language select kar le.
- Ab aapko bahut sare options dikhaye jayenge. Inme se aap “Registration” ko select kare.
- Isi ke saath aapko apna ATM PIN enter karne ko bola jayega. Yaha apne ATM card ka pin enter kar de.
- Fir se aapke saamne bahut sare options aayenge. Inme se “Mobile Number Update” ko chune.
- Iske baad apna Account type select kar le.
- Ab aapko aapka axis bank account number dikhaya jayega. Agar dikhaya gaya account number sahi hai to “Update” par click kare.
- Iske baad aapko New mobile number daalne ko option mil jayega. Yaha ab aapko jo New number registered karwana hai usko enter kar de aur “Continue” par click kare.
- Fir se verify karne ke liye apne new mobile number “Re-enter” kar de, aur “Continue” par click kare.
- Isi ke saath ATM screen me “Thank You, Your transaction was successful” likha hua aa jayega.
Jaise hi yah likha hua aayega aapka process complete ho jayega. Ab agle 24 hours me axis bank me mobile number change ho jayega. 24 ghanto ke baad apne new number se banking ke sabhi kaam kar sakte hai.
- Axis Bank Balance Enquiry / Check Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
- ATM Pin Bhul Jane Par Ise Forgot / New Pin Set Kaise Kare?
hame umid hai ki aapko bhi ab Axis bank mobile number change karwana aasaan lagne laga hoga. To jaiye aur is kaam ko karke apne banking ko secure kar lijiye.
Agar aapko yah jankari acha laga hai to isko jarur se kisi ko SHARE kare taki usko bhi pata chal sake. Dhanyawad
Leave a Reply