Dosto hame aapko batate hue bahut khushi ho rahi hai ki andhra bank ne bhi atm card green pin generation ka process available karwa diya hai. Ab is service ka use karke aap bahut saare kaam bina branch visit kiye khud se kar sakte hai. Isliye aaj ka past andhra bank atm pin generation ka complete process ke baare me hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Andhra Bank Balance Enquiry Number, Andhra Bank Balance Check Through Missed Call
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi And English
Andhra Bank New ATM Card PIN Generation Ke Benefits.
Is process ko pura achchhe se follow karke aap kai tarah ke benefits le sakte hai. Jaise-
- Iske sahayta se aap ab khud se andhra bank new atm card activate kar sakte hai.
- ATM PIN bhul jane par ab tension lene ki koi jarurat nahi hai. Is process ko follow kijiye aur turant apna andhra bank atm pin forgot / reset kar lijiye.
- Kai baar ham wrong pin enter karke apna dedit card block karwa lete hai. Agar aap bhi aisa galti kabhi kar baithe to is process se ab khud hi andhra bank atm card unblock or restart karwa sakte hai.
Waaaaawww ek common process aur itne sare benefits. Hai na kamal ki baaaaaaat. To isi baat par chaliye is kamal ke process ko bhi jaante hai.
Andhra Bank ATM PIN Generate Karne Ke Liye Jaruri Information.
Dosto agar is process ko aap karna chah rahe hai to neeche bataya hua chij jama kar le.
- Andhra bank atm card / debit card
- Aapke bank me registered mobile number
Upar ke 2 chije lekar taiyar ho jaiye aur neeche ka process follow kijiye.
Andhra Bank ATM PIN Generation / Debit Card PIN Generation Process.
Iske liye upar bataye chijo ko lekar kisi bhi nazdiki andhra bank atm me chale jaye. Waha jakar neeche ka aasaan process kar sakte hai.
- Apna card “SWIPE” kar lijiye.
- Abhi 3 options aayenge. Inme se “New PIN” wale option ko selece kariye.
- Abhi 2 option aayenge. Inme se “OTP Generation” ko select kar le.
- Screen me isi ke saath otp sent to your mobile number is type ka message likha hua aa jayega.
Congratulations aapne andhra bank debit card pin generate karne ka process complete kar liya hai. Isi ke saath aapke registered mobile number me ek sms aayega. Is sms me ek otp rahta hai. Yahi otp aapka green pin hai.
Abhi aapka aadha kaam complete hua hai. Isko pura karne ke liye andhra bank atm pin validation (activation) ka process karna padta hai.
Andhra Bank ATM PIN Validation (Activation) Process.
Jab aapko yah otp wala message mil jaye tab neeche ka process kar sakte hai.
- Fir se usi card ko atm machine me “SWIPE / INSERT” kar de.
- Abhi aaye options me se “New PIN” ko select kare.
- Fir se wahi 2 option aayenge. Abki baar “OTP Validation” ko select karna hai.
- Agle step me otp enter karne ko bola jayega. Abhi message me aaye 6 digit otp ko enter karke “Correct” option ko select kare.
- Same otp ko re-enter karne ko bola jayega. Yaha fir se message ke 6 digit otp ko enter karke “Correct” ko select kare.
- Isi ke saath new pin enter karne ka option mil jayega. Yah aap apne liye koi bhi 4 digit ka atm pin soch le jo aapko yaad rah sake aur usko machine me enter kar dijiye.
- Abhi upar enter kiye new pin ko dubara se re-enter kar de.
- Screen me “PIN Change Complete” likha hua aa jayega.
Badhaiiiii Hooooooo aapne andhra bank atm pin generation and activation ka pura process successfully complete kar liya hai. Abhi aapne jo new pin banaya hai uska use karke aap apne card se kisi bhi tarah ka transaction (ATM transaction, POS transaction, Online transaction) karna start kar sakte hai.
- Andhra Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Andhra Bank ATM Card / Debit Card Apply Kaise Kare?
To aaya na maza is andhra bank new debit card pin generation ka process sikhne me. Is tarah se aur bhi kai chije is website se sikhkar apne banking ko aasaan banate rah sakte hai.
Saath hi agar aap video dekhkar apne banking ko aasaan banana chahte hai to hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply