Dosto, punjab national bank me online mobile number change / register karwane ka abhi tak koi process available nahi hai. Is condition me agar aap pnb mobile number change or register karwana chahte hai to kewal ek option hamare paas rahta hai. Yah ek option branch me jakar pnb mobile number registration karwana hi available hai.
Is kaam ke liye jab aap apne branch me jate hai to waha aapko pnb mobile number registration form de diya jata hai. Is process me sabse main kaam is form ko achhe se fillup karna hota hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Ghar Baithe Online PNB ATM PIN Generate & Activate Kaise Kare?
- PNB Balance Enquiry Sirf 1 Missed Call / SMS Se Kaise Kare?
Kai log galat – galat form fillup karke jama submit karte hai aur ek hi kaam ke liye baar-baar branch ke chakar kaatte rahte hai. Is tarah se wo paresaan rahte hai.
Is post ko pura padhne ke baad aap ek baar me hi apna pnb bank mobile number change karwa lenge.
PNB Mobile Number Registration / Change Form Fillup Process
Aap is request form ko neeche ke image me dekh sakte hai. Yah do page ka form hota hai.
- Sabse pahle aap is form ke upar left side me apne branch ka name likh de.
- Branch name ke right side me date likh de.
- Ab neeche apna pnd bank account customer id likh de.
- Iske neeche apna name likh de.
- Ab baari aati hai apna mobile number likhne ki. Yaha aap ab jo bhi number register karwana chahte hai usko dhyan se likh de.
- Ab isse neeche ke information ko padhkar jaankari le sakte hai.
- Iske second page ke “Term and condition” padh le.
- Abhi apna signatur kar de.
Bas aapka pnd mobile number change form fillup complete ho jayega.
PNB Bank Me Mobile Number Change / Register Kaise Karwaye?
Ab is form ko fillup karne ke baad aap puri tarah se taiyar hai. Bas iske saath apna ek id proof ka photo copy attach kar de.
“Pnb bank me accepted id proof ka pura list yaha click karke jaane”
Ab is form aur id proof dono ko apne branch me jama kar de. Aapke form ke submit karne ke 3-5 working dino me mobile number pnd bank account me register / change kar diya jayega.
PNB Mobile Number Registration / Change Form Kis Branch Me Submit Kare?
Ab aapke man me ek question aa sakta hai ki is form ko ham apne branch me jama kar sakte hai ki kisi bhi pnb branch me submit kar sakte hai.
Isme 2 condition hota hai:-
- Agar aapka kyc complete hai to aap kisi bhi pnb bank branch me isko jama karke pnb bank me mobile number change karwa sakte hai.
- Agar aapka kyc complete nahi hai tab yah form aapko kewal apne home branch me hi jama karna padega.
Dosto ab hame pura wishwash hai ki aapko pnb mobile number registration / change form fillup karke number update karwane ka pura jaankari mil gaya hai.
Is post ko chahe to apne friends and family members ko “SHARE” kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply