Dosto, Agar aapke paas kisi bhi gramin bank ka ATM card ya Debit card hai to jarur se aapko apna gramin bank ATM PIN change karte rahna chahiye. Aaise karne se aapka detail and saving(money / paisa) safe rahega.
Hamlogo ne paya hai ki bahut sare logo ko gramin bank debit card pin change karne ka process pata nahi rahta hai. Isliye isko ignor karte rahte hai. Agar aapko bhi iska process pata nahi hai to turant sikh sakte hai. Iske liye bas is post ko last tak padhiye.
“ATM PIN change nahi karne se hone wale nukshan ka list”
Gramin Bank ATM PIN Change / Debit Card PIN Change Karne Ka Pura Process
Iske liye apna card lekar kisi bhi ATM me chale jaye.
- Waha jakar apne card ko “SWIPE” kare.
- Apne pasand ka Language select kare.
- Aapko ATM PIN enter karne ko bola jayega, yaha apna purana “ATM PIN” enter kar de.
- Aapke saamne bahut sare option aa jayenge inme se “PIN CHANGE” ko select kare.
- Isi ke saath “Please Enter New PIN” aa jayega. Ab aap apne card ke liye ek 4 digit ka New PIN sochkar usko enter kar de.
- Isi PIN ko verify karne ke liye dubara se usi PIN ko Re-enter kar de.
- Ab screen me “PIN Changed Successfully” likha hua aa jayega.
Isi ke saath aapka gramin bank debit card pin change ho jayega. Ab aap New PIN ka istemal karke kisi bhi tarah ka transaction kar sakte hai.
Gramin Bank ATM PIN Change Online Kaise Kare?
Dosto chuki harek gramin bank ka internet banking and mobile banking ka process. alag-alag rahta hai. Isi tarah se harek gramin bank debit card pin online change karne ka process alag-alag rahta hai.
- Gramin Bank Mobile Number Change Kaise Karwaye? Aasaan Tarike
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
Isi karan se ham is post me iska koi bhi common process nahi bata sakte hai. Aap upar menu se apne gramin bank ko select karke iski jaankari le sakte hai.
Agar aap isi tarah ke Banking related videos dekhna chahte hai to hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE jarur kare.
We hope is topic par aapko jaankari ho gai hai aur aap apna gramin bank atm pin change aasaani se kar lenge. Isliye is post ko “SHARE” karna bilkul na bhule. Dhanyawad.
Leave a Reply