Dosto, Jaisa ki ham sadhi jaante hai ki dena bank ek jana mana bank hai jo ab bank of baroda me merge ho gaya hai. Lekin sadhi services to waise hi hame mil rahi hai. kya aapke paas is bank ka bank account hai? Aur aap dena bank mobile number register / change karwane ka process jaanna chahte hai?
Agar “HA” to der kis baat ki hai chaliye iska complete jaankari lete hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Gramin Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- SBI Mobile Number Online Change / Register Kaise Kare? Without Visiting Branch
How To Register / Change Mobile Number In Dena Bank Online
Hame dukhi hokar batana pad raha hai ki dena bank mobile number online change karwane ka koi bhi procces abhi available nahi hai. Yani ki aapke paas is bank ka internet banking and mobile banking hone ke bawjud is kaam ko app ghar baithe nahi karwa payenge.
Agar is bank ne iska koi bhi online process banaya to turant ham ispar post likhenge. Hame bhi is service ka intijar rahega.
Dena Bank Mobile Number Register / Change Kaise Karwaye?
Dosto chuki abhi iska koi online tarika nahi hai isliye isko branch se hi karwana padega. Aap iske liye apna dena bank passbook, new mobile no and apna ek id proof lekar apne branch me chale jaye. Iske baad neeche ka steps follow kare.
- Apne branch me jakar dena bank mobile number change from mange.
- Aasaani se yah from waha mil jayege. jab yah from mil jaye to aap isko completely achchhe se fill-up kare. Isme apne bank account ke details, mobile number and other details dhyan se bhare.
- jab yah from pura fill-up ho jaye to iske saath apna ek id proof ka photo copy laga de.
- Ab in dono ko branch me jama kar de.
- Jaise hi aap from ko branch me submit kareng uske 2-3 days me aapka number register kar diya jayega.
- Jab aapka dena bank mobile no. registration complete ho jayega to ek confirmation message bhi aa sakta hai.
Waw kitna aasaan process hai na…? Lekin iska ek aur process hai kya aap usko bhi jaanna chahenge… ????
Dena Bank Mobile Number Register / Change Kaise Karwaye? Through Application.
Ho sakta hai ki aap jab branch me jayenge to bola jaye ki yah form nahi hai aap application letter likhkar submit kariye. Aap ghabraiye nahi letter likhne ka sabse aasaan process ham neeche bata rahe hai.
Dena Bank Mobile Number Change Application Letter Writting
To,
The Branch Manager
Dena Bank, Branch Name
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
I am ____(name)____ . I have bank account number 12974****4792 (write your dena bank A/c no.), in your branch ___ (branch name)____ . My old registered mobile number is 97******12 which is i am not using presently. My new mobile number is 79******05. I want to register my new mobile number with my bank account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Bas isi tarah se aap bhi dena bank mobile no change application likh le. Iske baad aap iske saath apna id proof laga de.
Iske baad in dono ko apne branch me jakar jama kar de. Aap jis din isko jama karenge uske 2-3 days me aapka number update kar diya jayega.
- Bank Account Me Mobile Number Change Application In Hindi & English Kaise Likhe?
- PNB Balance Enquiry Number, PNB Balance Check Through Missed Call & SMS
Upar bataye process se aap dena bank mobile number registration / change aasaani se karwa payenge. Kya aapke man me abhi bhi cunfusion hai hame comment box me likhkar bataiye.
Agar isi tarah apne banking ko aasaan banate rahna chahte hai to hamare channel “Explain Me Banking” ko subscribe kar sakte hai. Dhanyawad.
MITHUN ALDA says
Mobile number dena bank may kaise register kare
EMB Team says
Hamne is post me bataya hai isliye is post ko pura padhe.