Hello Friends, Bank Account me mobile number registered nahi rahne se hame banko se aane wale sms alert bhi nahi mil pate hai. Is tarah ke condition me apne bank account se related koi bhi information ham ghar baithe nahi le pate hai.
Agar aap Oriental Bank Of Commerce ke customer hai aur aapka OBC bank me mobile number registered nahi hai to yah kaam aap 5 minute me badi hi aasaani se kar sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- OBC New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? 2 Aasaan Tarike
- OBC Bank Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call ya SMS Se Karna Seekhe
Is post me aage ham isi topic “obc mobile number register kaise kare? How to register mobile number in obc bank account” par complete jankari dene ja rahe hai.
OBC Mobile Number Register Karwane Ke Tarike
Iske liye kai process available hai. Jaise-
- OBC mobile number register through ATM machine
- OBC bank me online mobile number registration karwana.
- Branch se apne obc account me mobile number register karwana.
Abhi aage ham iske sabse aasaan tarike yani ATM machine se obc bank me mobile number registration karwane ke process batayenge.
OBC Mobile Number Register Kaise Kare?
Iske liye aap apna ATM card lekar kisi bhi OBC ATM me chale jaye.
- Waha jakar apna ATM card, ATM machine me “SWIPE” kar de.
- Language wale screen se apna pasand ka Language select kar le.
- Agle screen me aaye options me se “Other Request” ke option ko chune.
- Fir se aaye options me se “Self Services” wale option par click kare.
- Ab aapko 4 option dikhaya jayega. Inme se “SMS Alert Registration” ko select kare.
- Isi ke saath aapko 10 digit mobile number enter karne ko bola jayega. Yaha aapko apna jo bhi number register karwana hai usko enter kar de uske baad “Press if Yes” ko click kar de.
- Apne number ko confirm karne ke liye agle step me dubara se mobile number “Re-enter” kare aur “Press If Yes” ko select kare.
- Ab OBC aapko mobile number registration for sms alert se related “Disclaimer” dikhayega. Isko aap padh sakte hai. Aage badhne ke liye isi screen ke “Continue” ko select kare.
- Ab aapko aapka OBC debit card PIN enter karna padega yaha apna 4 digit ATM PIN enter kar de.
- Isi ke saath ATM screen me “Your Mobile Number Has Been Registered Successfully” likha hua aayega.
Jaise hi ATM Screen me yah likha hua aayega iska matlab yah hai ki aapne safalta purwak apna obc mobile number registration complete kar liya hai.
Ab aap jab chahe apna OBC bank account se related sabhi jankari ghar baithe le sakte hai. Saath hi aapke bank details bank ki taraf se sms alert service ke tahat bhi aapko milta rahega.
- OBC ATM Card Block Kaise Kare? Detail Process
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
To ab hame comment box me likhkar bataiye ki aapko OBC mobile number register karwana through ATM machine ka process aasaan laga ki nahi?
Kya aapko OBC mobile number update karwane ke aur bhi 3 tariko ke bare me jaanna hai. Iske bare me bhi neeche likhkar hame bata sakte hai.
Agar aapko yah process aasaan laga to dusro ko bhi iske baare me batane ke liye SHARE kar sakte hai. Dhanyawad.
Md sajid raza says
Mera baink of broda me khata he or mujhe atm bhi nahi mila or jo nambar dijye the wo nambar bhi gum hogya he
Suraj Kumar says
Apne branch me jakar mobile number change karwaiye, Iske liye humne ek alag se post likha hua hai, Is post ko padhne ke liye yaha click kare