Dosto aapka swagat hai Explain Me Banking me jaha ham aapke banking ko aasaan banate hai. Agar aap syndicate bank atm card / debit card istemal karte hai to jarur se aapko apna syndicate bank atm pin change karte rahna chahiye.
Hamne paya hai ki maximum log apna syndicate bank debit card pin change isliye nahi karte hai kyoki unko iska process pata nahi hota hai. Agar inhi me se ek aap bhi hai to is post ko pura padhkar agle 2 minute me iska pura process jaan sakte hai.
“ATM PIN change nahi karne se hone wale nuksaan ki puri jaankari ke liye yaha click kare”
Syndicate Bank ATM PIN Change / Debit Card PIN Change Karne Ka Pura Process.
Iske liye apne card ko lekar atm machine me chale jaye aur neeche ka process follow kijiye.
- Apne card ko “SWIPE” kare.
- Agle screen se apne pasand ka ek language select kare.
- Ab apna purana syndicate bank atm pin enter kar de. Jisko abhi tak aap istemal kar rahe hai.
- Abhi aapke saamne bahut sare option aayenge. Inme se “PIN Change” ko select kare.
- Isi ke saath “Please Enter New PIN” likha hua aayega. Ab aap apne card ke liye ek 4 digit ka new pin sochkar usko enter kar de.
- Ab new pin ko verify karne ke liye dubara se usi new pin ko re-enter kar de.
- Screen me “PIN Change Successfully” likha hua aa jayega.
Bas itna sa chota process follow karke aap apna syndicate bank debit card pin change kar lenge. Jab aapka process pura ho jaye to new pin se apna card use karna start kar sakte hai.
Kya aap syndicate bank atm pin online change karne ka process jaanna chahte hai????
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- ATM Card Block Ho Jane Par Ise Unblock / Restart Kaise Kare?
Hame ummid hai ki aap aasaani se ab apna syndicate bank atm pin change kar lenge. Isliye is post ko “SHARE” karna bilkul na bhule.
Isi tarah ke video tutorials dekhe ke liye hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE jarur se kar le, aur paaye sabhi tarah ke banking related problems ke solution.
Leave a Reply