Dosto corporation bank hamare desh ka ek jana mana bank hai. Yah bank kai tarah ke banking and financial services provide karta hai. Isliye is bank me lakho login ka bank account hai. Sayad aap bhi inhi me se ek hai, Aur corporation bank me mobile number register / change karwane ka tarika dhundh rahe hai.
Agar aapka jawab hai “HA” to der kis baat ki hai chaliye iske liye kya option available hai uske baare me jaante hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Bank Account Transfer Application In Hindi & English Kaise Likhe?
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike.
Corporation Bank Me Mobile Number Register / Change Karwane Ke Tarike.
Yah bank bahut kam banko me se ek hai jisme alag-alag services ke liye alag-alag tarah se mobile number update karwana padta hai. Jaise
- Corporation bank mobile number registration karwana.
- SMS Banking ke liye mobile number update karwana
- Internet banking otp and alert message ke liye bank account me number link karwana.
Iske upar ke 2 tarah se mobile number register karwane ke process ke bare me hamne alag se bataya hai. un post ko upar ke link me click karke padh sakte hai.
Is post me ham aapko corporation bank internet banking otp and alert message ke liye mobile number link karwane ka process batayenge.
Corporation Bank Me Mobile Number Register / Change Kaise Karwaye ? For Internet Banking OTP Alerts
Iske liye aapko apne branch me jana padega. Branch me jakar aapko corporation bank mobile number registration form mangna hoga. Jab aapko yah form mil jaye to usko pura achhe se bharna padega.
Is form ko aap neeche ke image me dekh sakte hai. Isko fillup karne ke liye neeche ke steps ko follow kare.
- Sabse pahle apne branch ka name likh de.
- Ab apna name jis tarah se bank account me hai usko likh de.
- Iske baad apna account number likhe.
- Apna address bhi likh de.
- jaha column banaye gaya hai waha sabse pahle apne corporation bank net banking ka user id likh de.
- Iske baad apna name likhe.
- Ab aap jo number register karwana chahte hai usko likh de.
- Agar aap email id register karwana chahte hai to usko bhi likh de.
- Ab is form ke neeche aakar date and place likh de.
- Ab apna signature kar de.
Ho gaya aapka corporation bank mobile number registration form fillup pura. Ab is form ko aap apne branch me jama kar de. Is form ko jama karne ke 1-2 days me aapka number bank account me update kar diya jayega. Iska confirmation message bhi aa sakta hai.
Jaise hi aapka yah process complete ho jayega uske baad aapko otp and alert message registered mobile number me milne lagega.
Corporation Bank Mobile Number Change Kaise Karwaye? For Internet Banking OTP Alerts.
Agar aapka dusra koi number pahle se is kaam ke liye registered hai aur usko change karwana chahte hai to upar ke same process ko follow karke usko change bhi karwa sakte hai.
- ATM Transaction Failed Complaint Form PDF Download [Transaction Failed Amount Debited]
- Bank Account Address Proof Documents or Bank Account Address Change Documents Complete List
Abhi aapko corporation bank me mobile number register / change karwane ka process pata chal gaya hai. Is jaankari ka labh uthaiye aur hamare channel “Explain Me Banking” ko SUBSCRIBE kar le. Dhanyawad.
Leave a Reply