Hello friends, mai kai baar apna canara bank ATM card 3 times wrong PIN enter karke block karwa chuka hu. Hota ye hai ki mai apna canara bank ATM PIN kya hai wo bhul jata hu aur yad karke koi bhi wrong PIN enter karke sahi PIN hone ka ummid karta rahta hu. jab aisa 3 times ho jata hai to wah card block kar diya jata hai.
Mujhe lagta hai ki aapne bhi meri hi tarah yah galti kar diya hai aur aapka canara bank debit card block ho gaya hai. Agar aapka jawab hai “HA” to yah post aap ke liye hi likha gaya hai.
Inhe Bhi Jaane:-
Abhi is post me aapko wrong PIN se blocked canara bank ATM card unblock karwane ke 2 sabse aasaan tarike milenge jisse aap turant apna card unblock karwakar use karna start kar sakte hai.
Canara Bank Debit Card Unblock Karwane ke 2 Aasaan Tarike.
Iske liye aap neeche ke 2 method ka istemal kar sakte hai.
- Automatically Canara bank debit card unblock karwana.
- PIN Generation ki sahayta se Canara Bank ATM Card unblock / restart karwana.
Ab hame dono ko detail me janna hoga taki aapko pata chal sake ki aapke liye kon sa method achcha rahega.
1. Automatically Canara Bank ATM Card Unblock Karwana.
Canara bank me wrong PIN se blocked debit card ke liye ek blocking period rakha hai. Yah blocking period 24-48 hours hai. Iska matlad yah hai ki agar aap 24-48 hours tak us card ko use nahi karenge to wah apne aap unblock ho jayega.
Yani ki is method se apna canara bank debit card unblock karwane ke liye bas 24-48 ghane intijar karna hai. Iske baad apne original PIN se us card ko istemal karna start kar sakte hai.
Agar aapko abhi bhi apna original ATM PIN yad nahi hai tab fir neeche bataye 2nd method ko use karke apna canara bank atm unblock karwana padega.
2. ATM PIN Generation Ke Sahayata Se Blocked Canara Bank ATM Card Unblock Karwana.
Iske liye aap apna blocked card registered mobile number and account number lekar najdiki kisi bhi canara ATM machine me chale jaye. Iske baad neeche bataya process step-by-step follow kare.
- Apna blocked debit card ATM machine me “SWIPE” kare.
- Language wale screen se “Generate PIN / Forgot PIN” ko select kare.
- Agle screen se “Generate OTP” ko click kare.
- Ab apna 13 digit ka Account Number enter karke isi screen ke “Correct” ko select kare.
- Agle step me apna Registered Mobile Number enter kare aur “Correct” ko click kare.
- Itna process karne ke turant baad aapke registered mobile number me ek 6 digit ka OTP aayega. Jab aapko OTP mil jaye to usko ATM machine me enter karke “Correct” ko select kare.
- Agle screen me aapko ek NEW PIN banane ka option mil jayega. Iske baad aap ek naya 4 digit PIN soch le jo future me yaad rah sake aur usko enter kar de.
- Iske baad fir se apna New PIN “Re-enter” kar de.
- Screen par “Your PIN is changed successfully” likhkar aa jayega.
Itna process karte hi aapka wah canara bank ATM card unblock ho jayega. Ab aap us card ko new PIN ki sahayta se koi bhi transaction kar sakte hai.
- Canara Bank ATM Pin Forgot / Reset Kaise Kare?
- Wrong Pin Se Blocked Hue ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Aapne apne sawal “how to unblock canara bank ATM card / debit card” ka jawab paa liya hai. Ab in dono me jo bhi method accha lage usko istemal kijiye aur apna canara bank debit card unblock karwa lijiye.
Isi tarah ke problem me bahut sare aur log bhi phase honge unki madad ke liye is post ko jarur se SHARE kare. Dhanyawad.
Naveen Kumar says
अभी के समय में सभी लोग ATM card / Debit Card का उपयोग कर रहे है . लेकिन कई बार हम जाने अनजाने अपने ATM Card का PIN गलत enter कर देते है. इसके कारण हमारा ATM card Block हो जाता है और हम परेशान हो जाते है . अगर आपके साथ ऐसा ही कुछ हुआ है और आपका ATM card Block हो गया है तो इस पोस्ट को पढ़ते रहिये . इस पोस्ट के अंत तक आपको अपने ATM Card ko Unblock करने का तरीका पता चल जायेगा.
Naveen Kumar says
Aapko dusra atm card apply karna hoga, kyunki block hua atm card unblock nahi hoga.
Canara Bank
EMB Team says
Dhanyawad Naveen Ji.
Neha yadav says
Mera ATM card abhi bank se isu December me isu hua tha awr uska pin jenret nhi hua tha awr pin jenret krne ke liye mene tollfree number pe call kiya awr glti se card block ke oftion ki button click ho gai fir awr lookdaun ke wjh se call senter pe fon resive nhi ho rhi me kese dubara card unblock kr ke pin parapt kru kripya help kre
Suraj Kumar says
Aapko dusra atm card apply karna hoga, kyunki block hua atm card unblock nahi hoga.
P.gurumahesh says
Hii my debit card unblock me