Hello Dosto, Hamare team ko yah batate hue bahut khushi ho rahi hai ki bahut sare banko ki tarah allahabad bank ne bhi atm pin generation and activation ka process available karwa diya hai. Kya aapko pata hai ki is service ka use karke aap apne banking se jude bahut sare kaam bina branch visit kiye khud se kar sakte hai ??????? Agar nahi to koi baat nahi ham neeche isko bata denge. Inhi benefits ke kaaran is post me allahabad bank atm pin generation and debit card green pin generation ka sabse aasaan aur complete process batane jaa rahe hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- Allahabad Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- Blocked ATM Card Ko Unblock / Restart Kaise Kare?
Allahabad Bank New ATM Card PIN Generation Ke Benefits.
Is process ko pura follow karke aap kai tarah ke benefits le sakte hai. Jaise-
- Is process se aap ab khud se allahabad bank new atm card activate kar sakte hai.
- Jab aap atm pin bhul jaye to tension bilkul na le. Kabhi bhi is process ko follow kijiye aur turant apna allahabad bank atm pin forgot / reset khud se kar lijiye.
- Kai bar ham galti se wrong pin enter karke card block karwa lete hai. Agar aap bhi kabhi aisi galti kar baithe to khud se is process ko follow karke apna allahabad bank atm card unblock / restart karwa sakte hai.
Mazaaaaaa aa gaya ek common process aur itne saare benefits. To der kiye bina is kamal ke process ko sikh lete hai.
Allahabad Bank ATM PIN Generate Karne Ke Liye Jaruri Information.
Neeche ham kuch information de rahe hai unki jarurat process ko karne time lagti hai.
- Allahabad bank debit card / atm card
- Bank account me registered mobile number jisme otp receive hoga.
Ye do common si chije hai. Jo aapke paas jarur hongi.
Allahabad Bank ATM PIN Generation / Debit Card PIN Generation Process
Iske liye upar bataye 2 chijo ko lekar kisi bhi nazdiki allahabad bank atm machine me chale jaye.
- Sabse pahle apne card ko waha ke machine me “Swipe / Insert” kar de.
- Ab screen me dikhaye hue lenguage me se apne pasand ka lenguage select kar le.
- Screen me kuch option aa jayenge. Inme se “Generate Green PIN” ko select kar le.
- Abhi 2 option aayenge in me se “Generate OTP” ko select karke “Continue” par click kare.
- Screen me “OTP Sent To Your Registered Mobile Number” is tarah ka ek message likha hua aa jayega.
Yes, Yes, Yes, Yes aapne apna allahabad bank atm pin generate kar liya hai. Abhi turant aapke mobile number me ek message aayega. Is sms me ek otp likha rahta hai.
Yah otp sirf 3 minutes ke liye valid rahta hai. Is 3 minutes me hi neeche ka process complete kar lena hoga taki otp expire na ho.
Allahabad Bank ATM Green PIN Validation (Activation) Process.
Jab aapko otp wala message mil jaye to turant neeche wala process complete kar le.
- Dubara se apne card ko machine me “Swipe / Insert” kare.
- Apne pasand ka lenguage select kar le.
- Dubara se “Generate Green PIN” ko select kar le.
- Fir se 2 option aayenge is baar inme se “Validate OTP” ko select kare.
- Abhi otp enter karne ko bola jayega. Yaha message me aaya 6 digit otp enter karke “Validate OTP” ko select kare.
- Agle step me new pin manga jayega. Abhi apne liye 4 digit ka ek pin soch lijiye jo yaad rah sake iske baad usko enter kar de.
- Ab apna new pin dubara se re-enter kar de.
- ATM screen me “You have successfully change your pin” likha hua aa jayega.
Jaise hi screen me ye likha hua aa jaye aap samajh lena ki process complete ho gaya hai. Aur aap jis purpose se yah process follow kar rahe the wo bhi pura ho gaya hai.
- Allahabad Bank Mobile Number Online Change Kaise Kare?
- ATM Transaction Failed Form PDF Download [Transaction Failed But Amount Debited]
Mazaaaa Aaaaa Gayaaaaa iska matlab hai ki abhi aapne jo new pin banaya hai usse apne card ko use karna start kar sakte hai. Sath hi sabhi tarah ke transaction bhi karna start kar sakte hai.
Kitna simple sa process tha na ????? Allahabad bank atm pin generation and activation ka ?????
We hope aapne pura process achhe se sikha hoga aur isse benefit bhi le payenge. Agar aap chahe to is post ko “SHARE” kar sakte hai. Dhanyawad.
Gurpreet singh says
Sir mobile number Bank account nal link krna hai
EMB Team says
Iske upar humne ek alag se post likha hua uske padh le ya phir aap hamare youtube channel me bhi video dekh sakte hai.