Namashkar Dosto, Mujhe nahi lagta hai ki aaj ke time me kisi ko bhi atm card / debit card ke bare me batane ki jarurat hai. Kya aapko union Bank Of India atm card apply karna hai…. ?? Agar “HA” to agle 3 minutes is post ko dhyan se padhiye aapko iska complete process pata ho jayega.
Ubi apne customers ko account opening ke time hi new card de deta hai. Lekin sayad aapko nahi mila hoga ya aapke atm card block or expired ho gaya hoga. Hai na… ??? Ghabraiye nahi neeche bataye process se aap aasaani se union bank of india atm card apply kar lenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- UBI ATM Pin Forget / Reset Kaise Kare? UBI ATM Pin Generation Process
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? Hindi & English
How To Apply Union Bank Of India ATM Card / Debit Card Online?
Agar aapko lagta hai ki ubi atm card apply online karne ka process hai to aap galat hai. Abhi ke time me online union bank atm card apply karna possible nahi hai. Yani ki aapke paas ubi net banking & mobile banking hai to bhi isko online ghar baithe nahi kiya ja sakta hai.
Agar future me aisa koi process aata hai to ham uspar bhi post jarur likhenge.
Union Bank Of India ATM Card Apply / Debit Card Apply Kaise Kare?
Chuki iska abhi tak koi bhi online process available nahi hai isliye aapko offline isko karna padega. Iske liye aap apne branch me chale jaye. Waha jakar union bank atm card application form mang lijiye. Form mil jane ke baad isko properly fill up karna padta hai.
Union Bank Of India ATM Card Application Form Fill up.
Ye bahut hi aasaan kaam hai.
- Sabse pahle aap apne “Branch Ka Name” likh de.
- Ab wah date likhe jab is form ko aap submit karenge.
- Apna full name likhe.
- Apna “Date Of Birth” likh de.
- Ab “Farher’s / Spouse Name” likhe.
- Iske neeche aapko apne card me jo Name print karwana hai wah likh de.
- Ab baari aati hai address likhne ki. Yaha apna address properly likh de. Isme ek valid mobile number and email id jarur likhe.
- Aapko apna card and pin kis address me mangwana hai usko tick kar de.
- Iske neeche aapko jis bhi person ko nominee banana hai usse related details jaise – Name Relationeship, Date of Birth etc fill up kar de.
- Iske 2nd page me aakar date & place likh de.
- Apna signatura kar de. Agar joint account hai to sabhi ke signature hona jaruri hai.
- Iske neeche ke kisi bhi option ko aapko touch nahi karna hai.
“Union Bank Of India ATM Card Apply Form Download Link”
Isi ke saath aapka union bank atm card application form fill up complete ho jayega. Is fill up kiye hue form ko apne branch me submit kar dijiye.
Aapke form ko submit karne ke 25-30 working days me ek new atm card / debit card bankar aa jayega.
Union Bank Of India ATM Card Apply Application Writting
Agar aap branch gaye hai aur form na mile to kya karenge …?????
Is time ek chota sa letter likhkar apna kaam karwa sakte hai.
To,
The Branch Manager
Union Bank Of India.
Branch Name.
Subject :- Application for apply a new ATM card / Debit card.
Respected Sir,
I ……(your name)…… holding a bank account number 2319****9123 ……(your ubi account number)…… in your branch ……(branch name )…… . I want to attract your branch attention that i have a lot of difficulty in money transactions and online transactions. So i want to apply a new ATM card.
I request you to issue a new ATM card for me as soon as possible. I will always be grateful for this.
Your Faithfully
Signature
Name :-
Account Number :-
Contact Number :-
Is simple sa union bank atm card application letter ko likhkar apne branch me jama kar de. Agle 15-30 days me new card bankar aapke registered address me send kar diya jayega.
- Union Bank Of India Me Mobile Number Register / Change Kaise Kare? Puri Jankari
- UBI ATM PIN Generate & Activate Kaise Kare? Complete Information
Hurrrrrrrr Reeeeeee aapne ab union bank of india atm card apply / debit card apply karne ka complete process sikh liya hai. Isliye is post ko jarur se “SHARE” kar de. Dhanyawad.
Leave a Reply