Dosto, Dakshin bihar bank pahle bihar me moujud bihar gramin bank aur madhya bihar gramin bank ke marger se 01 january 2019 ko astitwa me aaya hai. Yah bank bihar ke gramin areas me banking and financial services provide karne ka puri kosis kar rahi hai. Is post me ham dakshin bihar gramin bank mobile number register / change karwane ka complete process batayenge.
Agar aapke paas bhi is bank me account hai aur apna number update karwana chah rahe hai to bilkul sahi jagah par aaye hai. Neeche aapka dakshin bihar gramin bank mobile number registration ka pura process step-by-step milega. Bas aap dhyan se last tak isko padh lijiye.
Inhe Bhi Janne:-
- Gramin Bank ATM Pin Generation & Activation Complete Process
- Application For Closing Bank Account. Bank Account Bank Karne Ke Liye Application
How To Register / Change Mobile Number In Dakshin Bihar Gramin Bank Online?
Ham sabhi chahte hai ki sare kaam ghar baithe online ho jaye. Lekin is bank ke paas abhi tak mobile number update karwane ka koi bhi online process available nahi hai. Agar aapke paas dakshin bihar gramin bank internet banking or mobile banking sare service hai tab bhi isko online kar pana abhi possible nahi hai.
Agar future me aisa koi process aaya to uspar bhi ham post jarur se likhenge.
Dakhin Bihar Gramin Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
Chuki iska koi bhi online process nahi hai isliye aapko isko offilne branch se karwana padega. Iske liye neeche ka process follow kijiye.
- Branch me jakar ek dakshin bihar gramin bank mobile number registration form mang lijiye.
- Form mil jane ke baad usko aap achchhe se fillup kar lijiye. Is form me apne bank account ke details and new mobile number etc dhyan se fillup kare.
- Jab yah form fillup complete ho jaye to isko apne branch me submit kar de.
- Kabhi-kabhi iske saath id proof ka photo copy manga jata hai. Is condition me apna ek photo id proof attach karke dono ko branch me submit kar de.
Jaise hi aap form ko branch me jama karenge uske 3-5 working days me aapka dakshin bihar gramin bank me mobile number register change kar diya jayega.
Dakshin Bihar Gramin Bank Mobile Number Change Application Letter Writting.
Sochiye aap branch gaye hai aur bola jaye ki abhi form available nahi hai tab aap kya karenge.?????
Is condition me aap form ke aane ka wait kar sakte hai ya turant ek chota sa letter likhkar apna kaam karwa sakte hai. Is application ko likhne ka process ham neeche bata rahe hai.
To,
The Branch Manager
Dakshin Bihar Gramin Bank
Name of Branch
Subject :- Application for mobile number change in bank account.
Respected Sir,
My name is ____(your name)____ . I have saving bank account number 1624****4261 (your dbgb account number), in your branch ____(your current branch name)____ . My old registered mobile number is 93******07 which is i am not using presently. My new mobile number is 68******09. I want to register my new mobile number with this account.
I request you to update registered mobile number with my bank account, I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
signature.
Name :-
Account Number :-
New Mobile Number :-
Bas jaise hi aap upar ke format me apne details daalkar likhenge aapka dakshin bihar mobile number change letter, application taiyar ho jayega. Is letter ko likhne ke baad apna ek photo id proof ka xerox iske saath attach kar de.
Ab in dono ko apne branch me submit kar de. Aapke inko submit karne ke 3-5 working days me number update kar diya jayega.
- Gramin Bank Balance Enquiry / Check Karne Ke 4 Sabse Aasaan Tarike
- ATM Card Block Ho Jane Par Ise Unblock / Restart Karne Ka Sabse Aasaan Tarika
Is tarah se ab aapko dakshin bihar gramin bank mobile number register / change karne ka pura process jaan chuke hai.
Is post ke baare me apne sawal and sujhaw hame comment box me liikhkar bata sakte hai. Saath hi apne banking ko aasaan banane ke liye “Explain Me Banking” YouTube Channel ko bhi SUBSCRIBE kar sakte hai. Dhanyawad.
Sagar kumar says
Sir my name is sagar kumar Mera mobile number link kade
Team EMB says
Is post me bataye gaye process ko follow kare
Rohit kumar says
नमस्ते सर मेरा नाम रोहित कुमार है मेरा मोबाइल नंबर रजिस्टर नहीं है कृपया मेरा रजिस्टर कर दें
Sanjeev says
Hiiii sir my name is Sanjeev Kumar my mobile number is not registered please my mobile number is regards kr diy
EMB Team says
Hamne jo bhi process is post me bataya hai usko acche se padhe aur follow kare.
Sriram prasad says
Hi sir my name is sriram Prasad my mobile number is not registered please my mobile number regard kar do
EMB Team says
Sriram ji aapko apne branch me jakar mobile number register karwana hoga, is post me bataye gaye process ko follow kare aapka mobile number register kar diya jayega.
Vicky kumar says
Kya mobile number registered karne ke account holder ka Jana jaruri hai kyonki bank dur hai aur account holder jane me asmarth hai kya thum impression v lagta hi registered karne me please help us
Team EMB says
Yes, account holder ka jana jaruri hota hai kyonki branch me account holder ko verify kiya jata hai aur aapko waha pe thumb impression ya signature karna pad sakta hai.