Dosto, Jab bhi ham jaruri information bhul jate hai to usse related pareshani jarur hoti hai. Isi tarah agar ham apna ATM PIN bhul jaye tab to hamare upar money se related problem ka pahad tut padta hai. Pahle mai bhi jab apna idbi bank atm pin bhul jata tha to bahut jyada pareshan ho jata tha. Lekin ab mujhe bilkul bhi tension nahi hoti hai kyoki ab mai IDBI ATM PIN Forgot / Reset karne ka aasaan tarika jaan gaya hu.
Mai jo aasaan tarika istemal karta hu uske bare me is post me puri jankari step – by – step dene ja raha hu. Agar aap bhi apna idbi atm pin bhul gaye hai to bilkul bhi pareshaan na ho kyonki agle 2 minute me aap bhi apna bhula hua ATM PIN Forgot / pata karna sikh jayenge.
Inhe Bhi Jaane:-
- IDBI ATM Card Block Kaise Kare? Through, SMS, Customer Care & Branch
- SBI SMS Banking Ke Liye Mobile Number Register & Enquiry Kaise Kare?
IDBI ATM PIN Forgot / Reset Karne Ke Liye Jaruri Information
Is tarike se apna idbi debit card pin forgot karne ke liye aapke paas apne bank account se jude kuch Informations ka hona jaruri hai. Jaise –
- IDBI ATM Card / Debit Card Jiska PIN aap bhul gaye hai.
- Bank account me registered mobile number.
Ye dono cheejo ko lekar aapko kisi bhi IDBI ATM me chale jana hai. Iske aage ka process wahi par kiya ja sakta hai. Iske baad neeche bataya hua process follow kare.
IDBI Bank ATM PIN Forgot / Reset Karne Ka Process
Iska complete process 2 aasaan bhaago me bata hua hai.
- IDBI ATM Green PIN Generation (OTP Generation)
- OTP ka use karke ATM PIN reset karna.
Ab chaliye bari – bari se dono step ko jaan lete hai.
1. IDBI ATM PIN Generation (OTP Generation) Process
- Jis ATM card ka pin bhul gaye hai usko idbi atm machine me “SWIPE” kar le.
- Iske baad Language wala screen aa jayega. Yaha dikhaye gaye Languages me se aapko jo pasand hai usko select kar le.
- Agle screen ke options me se “Generete ATM PIN” ko select kare.
- Ab aapko 2 options dikhaye jayenge. Inme se abhi aap “Generate OTP” ko select kare.
- Isi ke saath screen me “OTP has been send to your registered mobile number” likha hua aa jayega.
Yaha aapka yah pehla step complete ho jayega. Isi ke saath ab turant aapke registered mobile number me bank ki taraf se ek sms aa jayega. Is sms me aapko ek 6 digit OTP aur ek Request ID likha hua rahega. Jab aapko yah message mil jaye to second step ke liye neeche ka process follow kijiye.
2. OTP Ka Use Karke IDBI ATM PIN Forgot Karne ka process
- SMS milne ke baad dubara se usi card ko ATM Machine me “SWIPE” kar de.
- Apna pasand ka Language chun le.
- Fir se “Generate ATM PIN” ko select kare.
- Abki baar “Validate OTP” ko select kare.
- Iske baad aapko OTP enter karne ko bola jayega. Yaha aapke sms me aaya hua OTP enter kar de aur “Confirm” button jo select kare.
- Ab aapko Request ID manga jayega, Yaha aapke sms me likha hua Request id enter karke “Confirm” button ko select kare.
- Agle screen me “Your OTP is validated successfully”. Press Continue to Generate new PIN likha hua aa jayega. Aap “Continue” button ko select kare.
- Agle step me aapko New PIN enter karne ko bola jayega. Yaha se aap apne us idbi debit card ke liye new pin bana sakte hai. Ab aap koi naya 4 digit ka New PIN soch le jisko baad me bhulne ka dar na ho aur usko enter kar de.
- New PIN ko verify karne ke liye fir se aapko new pin Re-enter karna hoga. Yah aap New PIN dubara se enter kar de.
- Isi ke saath ATM screen me “Your PIN has been changed successfully” likha hua aa jayega.
Jaise hi ATM Screen me ye likh de aap samajh lena ki aapka IDBI Bank ATN PIN Reset ho gaya hai aur abhi – abhi banaya hua New PIN ka use karke aap apne idbi ATM / debit card ka istemal karna start kar sakte hai.
IDBI ATM PIN Forgot / Reset Kaise Kare? Video Tutorial
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
- Canara Bank ATM Green Pin Generate & Activate Kaise Kare?
Aapne dekha idbi atm card pin forgot / reset karna kitna aasaan hai. Hame ummid hai ki ab aap jab bhi apna debit card pin bhul jayenge to tension nahi lenge.
Is blog me banking se related harek tarah ke problem ka solution padh sakte hai aur apne banking ko aasaan bana sakte hai.
Agar aapko yah post pasand aaya hai to is website ke bare me apne dosto aur pariwaar walo ko bhi bataiye taki wo bhi apne problem ka solution yaha se paa sake. Dhanyawad.
KAMAL says
THANKS BROTHER
EMB Team says
Welcome Bhai😊