Dosto, Jab bhi hamara bank account me registered mobile number kho jata hai ya band ho jata hai aur ham koi dusra mobile number use karne lagte hai. Is condition me apne bank account se related koi bhi information lena bahut hi muskil wala task ban jata hai. Saath hi digital banking jaise – net banking, mobile banking, sms banking, missed call banking kisi ka istemal ham nahi kar pate hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- OBC New ATM Card Ko Activate Kaise Kare? Detailed Information
- OBC Bank Balance Check / Enquiry Sirf 1 Missed Call Ya SMS Se Kaise Kare?
Is situation me hame apna registered mobile number change karwa lena chahiye. Is post me ham obc bank me mobile number change kaise kare ? How to change mobile bumber in obc bank account ? is topic par complete information dene ja rahe hai.
OBC Bank Me Mobile Number Change Karwane Ke Tarike
Apne oriental Bank of commerce account me mobile number aap kai tariko se change karwa sakte hai. For example –
- OBC me mobile number change karwana through ATM machine.
- Online apne obc account me mobile number update karwana.
- Branch se obc bank mobile number registration karwana.
Ab aap soch rahe honge ki inme se sabse aasaan tarika kon sa hai. Mere anusaar pahla tarika yani ATM machine wala process sabse accha hai. Is post ke ant tak aap bhi is baat ko samajh jayenge.
OBC Bank Mobile Number Change Kaise kare? Through ATM Machine
Iske liye aap obc debit card / ATM card lekar kisi bhi obc bank ATM me chale jaiye.
- Jane ke baad apna card ATM machine me “SWIPE” kar lijiye.
- Agle language wale screen se apna pasand ka bhasha chun lijiye.
- Ab aaye hua screen ke kai options me se “Other Request” ko select kare.
- Iske baad aapko 7 options dikhaye jayenge. Inme se “Self Services” ko click kare
- Isi ke saath fir se kuch option dikhaye jayega. Inme se aap “SMS Mobile Number Change” ko select kare.
- Ab aapko mobile number enter karne ka option mil jayega. Yaha ab aapko apna jo bhi new number register karwana hai usko enter kar de. Iske baad “Press If Yes” ko select kare.
- Turant aapko apna 10 digit mobile number dubara “Re-enter” karna hai aur “Press If Yes” ko select kar lena hai.
- Iske turant bad OBC bank me mobile number change karwane se related “Disclaimer” dikhaye jayega. Aap isko padhkar jaankari le sakte hai, aur aage badhne ke liye “Continue” Button ko click kare.
- Ab apko OBC ATM PIN dalne ko bola jayega. yaha aap apna ATM PIN enter kar de.
- Iske Turant baad ATM screen me “Your Mobile Number has been registered successfully” likha hua aa jayega.
Agar ATM screen me yah likha hua aa gaya to aapka yah process complete ho jayega. Iska matlab yah hai ki aapka obc bank me mobile number change ho gaya hai.
- OBC ATM Card Block Kaise Kare? How To Block OBC ATM Card In Hindi?
- Bank Account Transfer Application Kaise Likhe? In Hindi & English
Iske baad aap apne new number ka use kar sakte hai. Isi tarah ke aur bhi banking se related videos dekhne ke liye aap hamara YouTube Channel “Explain Me Banking” ko Subscribe kar sakte hai.
Aap hame neeche Comment Box me likhkar bataiye ki kya isse aur aasaan tarika OBC me mobile number change karwane ka aapko pata hai ? Dhayawad.
Sandeep rana says
mai jo khoj rha tha wo janakri aapne di bahut bahut dhnywad. Kya aap ye bta skte hai ki internet banking ke dwara mobile number kaise change kar skte hai
Suraj Kumar says
OK, main try karunga ki is topic ke upar post likh kar aapko update kar dunga.
Rajivkumar says
Sir ATM card nhi h iske elava koi hor tarika mobile number register karne ka
Suraj Kumar says
Branch me jakar aap mobile number register karwa sakte hai.
Chanan Singh says
Sir, Bina bank jaaye kya sms service alert ho sakti hai?
Ajay kumar says
Phone number change karna hai
Suraj Kumar says
Is post me bataye process ko follow kare.