Hello friends, KYC ka full form “know your customer” hota hai, iska hindi mein matlab “Apne customer ko Jaanna” hota hai, isse bank apne account holders ko achchhi tarah se janti hai, jaise ki bank account holder ka identity kya hai, uska address kya hai… etc, Is tarah se fraud hone ke chances kam ho jate hai. Isi Karan se bank account mein full KYC hona Jaruri kar diya gaya hai. Is post me aap sbi kyc form pdf download kar sakte hai.
Agar aapka bank account full KYC updated nahi hai to usko temporary close / hold kar diya jata hai, Iske bad aap jab tak usme KYC update nahi karwate hai tabtak Kisi bhi tarah ka banking ka kam nahi kar sakte hai. Agar kisi ko apne bank account me kyc update karwana rahta hai to usko sbi kyc form ki jarurat padti hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- SBI Internet Banking Ghar Baithe Register / Activate Kaise Kare?
- Mutual Fund Kya Hai? Iske Types, Benefits Aur Nuksaan Ki Jankari Detail Me.
Kya aapko bhi apne bank account me kyc update karwana hai aur state bank of india kyc form pdf download karna chahte hai. To aap bilkul sahi jagah par hai. Neeche se aap badi hi aasaani se is sbi kyc application form ko download karke apna problem solve kar sakte hai.
SBI KYC Form Pdf Download
Is form ko download karne ke liye neeche diye hue “SBI KYC Application Form PDF Download” link par click kare. Iske baad yah form aapke device ke screen me khul jayega. Ab yaha se aap isko badi hi aasaani se “Save ya Download” kar sakte hai. Isliye isko aap turant download kar lijiye.
Yaha par aap yah dhyan rakhe ki state bank of india kyc application form 2 tarah ke hote hai– 1. SBI KYC Annexure A Form, 2. SBI KYC Annexure B Form. In dono form ka pdf download link alag alag diya gaya hai to aapko in dono me se jiski jarurat hai usko neeche diye gaye link se download kar le.
“State Bank Of India SBI KYC Annexure A Form PDF Download”
“State Bank Of India SBI KYC Annexure B Form PDF Download”
Is tarah se aapke paas yah SBI KYC form pdf aa jayega. Abhi is form ko aap print karwa lijiye.
Disclamer :- Is form ka copyright related bank ke paas hai. Ham is form ko yaha par kewal education and helping purpose se provide kar rahe hai. Agar yah form change ho gaya hai ya kisi tarah ka problem hai to iske liye ham kisi bhi tarah se responsible nahi honge. Aap apne responsiblity par yaha se is form ko download and use kar rahe hai.
State Bank Of India SBI KYC Application Form Fillup.
Ab is form ki sahayta se kyc karwane ke liye sabse pahle is form ko achchhi tarah fillup karna jaruri hai. Is form me aapko kuch details fillup karne padte hai.
- Aapke sbi account se related details. Jaise- full name, bank account number, customer id — etc
- Aapka occupation and annual income se related details fill kar de.
- Identity proof information sahi jagah par fillup kare.
- Address proof information jaise – correspondence / local address details, current / permanent address details — proper jagah par fill kar de.
- Personal contant details, Jaise- mobile number, valid email id enter kar de.
- Appropriate jagah par apna ek current passport size photo chipka dijiye.
Isi tarah ke simple se infirmation aapko fillup karna padega. Jaise hi ye aap kar lenge aapka sbi bank kyc form fillup complete ho jayega.
How To Update SBI Account KYC
Is tarah se aapke paas yah sbi kyc application form bhi aa gaya hai aur aapne isko achchhe se fillup bhi kar liya hai, Ab iske saath aap apna ek identity proof and ek address proof ka xerox copy self attested karke pinup (attach) kar dijiye.
Ab aapka documentation ka kaam ho gaya hai, Is complete set ko apne branch me submit kar dijiye, Aapke is form ko submit karne ke 1-3 working days me sbi bank account kyc update kar diya jayega.
- SBI Mobile Number Online Change Kaise Kare? Without Visiting Branch
- SBI KYC Updation Documents Complete List In Hindi
We hope aapko sbi kyc form pdf download karna, isko fillup karna and isko use karke full kyc karwana aa gaya hoga. Agar aapko aur bhi kisi bank ke form ki jarurat hai to hame comments me bataiye. Ham usko jaldi-se-jaldi available karwane ki puri kosis karenge.
Agar aapko is post se benefit hua to is post ko SHARE jarur kare aur is website ke baare me kam-se-kam 3 logon ko bataye. Is post ko pura padhne ke liye aapka bahut-bahut Dhanyawad.
Shatrughan Kumar says
Branch visit karane ke baad pata chala ki mini sbi visit karna hoga kyc ke liye return kar diya
Team EMB says
Then visit mini sbi
Kamlesh banjara says
Aplication tor kyc
Baneshwar namata says
Application tor kyc