Dosto, Abhi ke samay me hamara life har din badalta rahta hai. Kai aise reason hai jiske wajah se ham ek jagah se dusre jagah par transfer hote rahte hai. Jab bhi ham rahne ke liye kisi naye jagah par jate hai to hame apne banking ke kamo me dikkat na ho isliye apna bank account transfer karwana padta hai.
Agar aapka bank account State Bank Of India me hai aur aapko apna bank account transfer kisi aur branch me karwana hai, Saath hi iske liye agar aapko SBI account transfer application likhne ke liye bola ja raha hai to is post ko last tak padhiye.
Is post me ham aapko SBI Account Transfer Application letter in Hindi aur English dono language me kaise likha jata hai uska complete information dene ja rahe hai. Is post ko padhne ke baad aap aasaani se ye application likhna seekh sakte hai.
Inhe Bhi Jaane:-
- SBI Account Me Registered Mobile Number Ko Change Kaise Kare?
- Bank of Baroda New ATM Card Ka PIN Generate & Activate Kaise Kare?
SBI Account Transfer Application Letter In Hindi Me Kaise Likhe ?
Ham neeche aapko is kaam ke liye Hindi me ek application likhne ka format bata rahe hai.
सेवा में,
श्रीमान शाखा प्रबंधक महोदय,
स्टेट बैंक ऑफ़ इंडिया, (…ब्रांच का नाम…),
बैंक का पता
विषय :- सेविंग बैंक अकाउंट को ब्रांच ……..(अभी का ब्रांच नाम )……… से ……….( बाद का ब्रांच नाम)….. में ट्रान्सफर करनें हेतु आवेदन
महोदय,
सविनय निवेदन यह है कि मेरा नाम ……….(अपना नाम लिखें)………… है मेरा बैंक अकाउंट नंबर ………….(आप अपना बैंक अकाउंट नंबर लिखें )…………. आपके इस शाखा में है | मैं पहले यहाँ………….(अपना पुराना एड्रेस लिखें)………… में रहता था लेकिन अब मैं नए एड्रेस में सिफ्ट हो गया हूँ | अभी मेरा करंट एड्रेस …………(अपना नया एड्रेस लिखें )…………… हो गया है | इसलिए अब मैं अपने अकाउंट को आपके ब्रांच …………..(नया ब्रांच का नाम लिखे)………… और ब्रांच कोड…………. में ट्रान्सफर करवाना चाहता हूँ |
अतः श्री मान से अनुरोध है की मेरा बैंक अकाउंट जितनी जल्दी हो सके ट्रान्सफर करनें की कृप्या करें .
आपका विश्वासी
हस्ताक्षर :-
नाम :-
अकाउंट नम्बर :-
रजिस्टर्ड मोबाइल नंबर :-
SBI Account Transfer Application Letter In Hindi Video Tutorial
upar hamne SBI Account transfer application in hindi ko likhne ka format bataye hai. Is application me aapko apne details ko fill karna padega.
Bahut sare log is application ko english me likhna pasand karenge isliye chaliye ab ham isi letter ko english me kaise likha jata hai uske baare me bhi jan lete hai.
SBI Account Transfer Application Letter In English Me Kaise Likhe?
Ham neeche is letter ko english me kaise likha ja sakta hai uska ek format bata rahe hai.
To,
The Branch Manager
State Bank Of India, (Name Of Branch),
Branch Address
Subject:- Application For Transfer Saving Bank Account From ……(Current Branch)…… To ……(New Branch)……..
Respected Sir,
I am ……….(Name). I have saving bank account number………(account number) in your branch …………(current branch name). I recently moved from …………(old address) To …………..(New address) for reason ………(write your reason). So i want to transfer my account in your Branch ……..(new branch name)…….. and branch code……..
Kindly transfer my account to new branch. I will always be grateful for this.
Thanking You
Your Faithfully
Signature
Name :-
Account Number :-
Registered Mobile Number :-
Upar jo format bataya hai is tarah se aap SBI bank account transfer application english me likh sakte hai. Bas aapko apne account details ko isme put karna padega.
To ab aap SBI account transfer application english and hindi dono Language me likhna sikh chuke hai. Hame ummid hai ki isse aapko apna SBI account transfer karwane me bahut madad milegi.
Isi tarah ke aur bhi banko se related application likhne ki jankari ke liye aap hamare YouTube Channel “Explain Me Banking” ko bhi SUBSCRIBE kar sakte hai.
Agar aapko is post se kisi tarah ki bhi madad hui hai to ise SHARE jarur kare. Dhanyawad
Leave a Reply