Hello dosto, Agar aapke paas canara bank account hai aur aap apne sabhi kaam ghar baithe karna chahte hai. Jaise- balance enquiry, fund transfer, mini statement, cheque book related service …. etc aise aur bhi bahut sare kaam aap online bhi kar sakte hai. Iske liye bas aapko canara bank internet banking registration karke activate karne ki jarurat hai.
Ab again canara bank net banking activation and registration ka process bhi aap abhi turant ghat baithe online kar sakte hai. Iska complete process ham neeche batane jaa rahe hai. Aap bas kaise bhi karke is post ko last tak padh jaiye bas aapka kaam ho jayega.
Inhe Bhi Jaane:-
- Canara Bank Account Address Change Application Letter In Hindi & English Kaise Likhe?
- Bank Account Address Proof Documents or Bank Account Address Change Documents List
Canara Bank Net Banking Activation Ke Liye Jaruri Information
Agar aapko ye kaam ghar baithe karna hai to aapke paas kuch chijo ka hona jaruri hai. Jaise-
- Canara bank customer Id
- Bank account me registered mobile number
- Canara bank ATM card / debit card
Agar aapke paas ye sabhi information hai to aap taiyar hai. Chaliye iske process ko jaante hai.
Canara Bank Internet Banking Registration & Activation Process Kaise Kare?
Yah process bahut hi aasaan hai bas aap neeche bataye steps ko follow kare?
STEP 1
sabse pahle aap canara bank ke official website www.canarabank.in me chale jaye. Yah right side ke sabse upar me ek option “Net banking- Desktop site” milega uspar click kare.
STEP 2
Agle page me net banking wala page khul jayega. Yaha par neeche ke option “>> New Registration” par click kare.
STEP 3
Ab aapke saamne “New Registration Term and Condition” aa jayega. Inko aap padhkar bahut sare information le sakte hai. Iske baad “I Agree” par click kare.
STEP 4
Abhi canara bank internet banking registration wala page aa jayega. Yaha aapko apne kuch information fillup karna hai. Jaise-
- Sabse pahle aap apna 13 digit canara bank account number enter kar de.
- Iske neeche apna canara bank ATM card / debit card ka number enter kar de.
- Aage aapke paas 3 option hai. (a) customer Id (b) Debit Transaction (c) Credit Transaction. Agar aapke paas customer id hai to usko enter kar de. Agar nahi hai to last 5 transaction me se kisi ek debit transaction ya kisi ek credit transaction ko yaha enter kar de.
- Ab neeche me aakar “I Agree” par click kare.
STEP 5
Agle page me aapko OTP manga jayega. Yaha aapke registered mobile number me ek message ke dwara OTP aa jata hai.
- Yaha message me aaye hue OTP ko “OTP Password” wale box me enter kar de.
- Iske baad same OTP ko “Re-enter OTP Password” wale box me enter kar de.
- Ab “Submit” button par click kare.
STEP 6
Agle page me aapko canara bank net banking login password banane ko bola jayega. Yaha aapko ek baat ko dhyaan rakhna hai ki ye password normal password nahi hota hai. Isko banane ka pura process isi page me neeche likha rahta hai. In rules ko padhkar apne liye aap ek strong login password bana lijiye.
- Ab us password ko “Enter login Password” wale box me enter kar de.
- Dubara same password “Re-enter login password” wale box me enter kar de.
- Iske baad “Submit” button par click kare.
STEP 7
Iske baad aapke samne canara bank internet banking registration process ka successful wale message aa jayega. Ab is page ke “OK” button par click kare.
Dosto yaha aapka canara bank net banking new registration ka process complete ho Jayega. Ab baari aati hai Activation process ki.
Canara Bank Internet Banking Activation Process
Jaise hi aap upar ke step me “OK” par click karenge aap sidha home page me aa jayenge. Ab is page ke “Login to Net Banking” wale option par click kare.
Yaha aap apna user id (customer id) and login password jinko abhi-abhi banaya hai unko enter karke “Sign In” par click kare.
Magic hoga aur turant aapka canara bank net banking ka home page khul jayega. Aur isi ke saath canara bank net banking activation process bhi complete ho jayega.
Canara Bank Internet Banking Registration & Activation Full Demo Video In Hindi.
Dosto Yaha aapka canara bank internet banking registration and activation ka process pura ho gaya hai. Ab aap yaha se apna net banking use karna start kar sakte hai.
Lekin abhi yaha se kisi bhi tarah ka fund transfer nahi kar payenge. Iske liye aapko canara bank net banking transaction password ki jarurat padegi. Ye transaction password bhi aap turant online bana sakte hai.
Chaliye ham isko bhi jaan lete hai taki aap is net banking se fund transfer (paise bhejne) ke layak bhi ban sake.
Canara Bank Internet Banking Transaction Password Create Kaise Kare?
Agar aap apna canara bank net banking transaction password generate karna chahte hai to neeche ka steps follow kare.
STEP 1
Sabse pahle apne net banking me login kar le.
- Yaha left side ke option “My Profile” par click kare
- Ab isi ke neeche aaye options me se “Generate transaction Password” wale option par click kar de.
STEP 2
Agle screen me aapko canara bank atm card se related information manga jayega.
- Sabse upar apne ATM card ka number enter kar de.
- Iske neeche apna ATM PIN enter kar de.
- Ab apne card ka expiry date MMYY format me enter kar de.
- Sare information ko fillup karne ke baad “Submit” par click kare.
STEP 3
Next step me OTP manga jayega. Itna process karte hi aapke registered number me OTP aa jata hai. Is aaye hue OTP ko “OTP Password” and “Re-enter OTP Password” wale dono boxes me enter karke “Submit” button par click kar de.
STEP 4
Itna process karte hi ab aapko transaction password banane ka option mil jayega. Dhyan rahe ye bhi login password ki hi tarah banega. Is canara bank net banking transaction password ko banane ka term & condition aapko isi page ke neeche me mil jayega. Inko follow karke ek strong transaction password bana lijiye.
- Isko “Enter Transaction Password” wale box me enter kar de.
- Dubaara se Isko “Re-enter transaction password” wale box me enter kar de.
- Ab “Submit” button par click kare.
STEP 5
Agle page me your transaction password successfully set ka message mil jayega.
Canara Bank Net Banking Transaction Password Online Create / Generate Karne Ka Video Tutorial
Ab aap is transaction password ka use karke kisi bhi tarah ka fund transfer kar sakte hai.
- Canara Bank Mobile Number Register / Change Kaise Kare?
- Canara Bank New ATM Card Activate Kaise Kare? Complete Process
Dosto aapne canara bank internet banking registration,canara bank net banking activation and transaction password generation ka complete information le liya hai. We hope ki aapko ab apne net banking me kisi bhi tarah ki dikkat nahi hogi.
Isi tarah ke banking ko aasaan banane wale video tutorials ke liye “Explain Me Banking” YouTube Channel ko SUBSCRIBE kar sakte hai. Dhanyawad.
Leave a Reply